chapter 11

40 3 1
                                    

Intizar e yaar ab ikhtimam hua
Dono ki nazre mili thi
anjnabiyet aur zakham ne aahh bhari thi
Kon kehta hai muhabbat Karne wale Anjan nhi ho sakte
Koi toh kabhi toh puchei un sunheri aankho se
Bhala Kya jurm tha humara ka tumne humei anjnabi karar de diya

************

Woh aasman mei chamaktei dagmagatei sitaro ke jahan mei khoya tha
Usi ka pichei ek wajud khara apne mazii mei khoya tha
Sitaroo se bharei aasman mei
Zameen ki sabz wadiiyo talei do sitarei kharei the
Ek ki aankhein naami se chamak Rahi thi toh dusre ki aankhoo ne Chand ki thandak apni aankho mei basa rakhi thi
Usne besakta Apne qadam uthai or us sitaro ki wadiyo mei khoyei Zain se bas kuch hi false pr aa khari hui "Tum aj bhi sitaro ko dekh kar kho jatei ho" awaz rondhi hui thi magar lehja mazbut tha
Zain ne gardan ghuma kar zara se faasle par khari us larki ko dekha
Gehri bhuri aankhein

Lambe ghane Baal jo wahan ki madham roshni mei bhurei lag rahe the
Achanak Zain ka zahen ka pardo pe ek dhundla sa manzar chaya
Zain ne be-sakta apni aankhein mond kar manzar wazeh dekhna chaha magar kuch woh dhundla manzar dhundla hi Raha aur phir mit gaya
Zain ne aankhein Khol li
Manzar toh gayab hogaya tha
Magar woh larki abhi bhi wahin khari usey hi dekh Rahi thi
Uski aankhein bheegi thi
Aur in bheegi aankho ko dekh Zain ko apne seene mei Kuch ajeeb sa mehsoos hua tha
Dil ka pass
Dil ka behad pass, usey Kuch bhot zor se chub raha ho
Zain ne halke se apne sar ko nafii mei janbish de kar apne tamam khayalat ko jhatkaya jese woh khudse keh raha ho 'yeh Kya soch Rahe ho zain... Aesa bhala kese ho sakta hai tum TOH mile bhi pehli dafa ho isse'
"Yehi soch rahe ho nah tum ka achanak itne saalo bad tumhari itni koshisho ka bawajud bhi mei tumhare samne kese aagyi" Zain ko khamosh dekh usne kaha
Z

ain ki bhuve na-samjhi se sukar si gayi "kya matlab hai apka" woh puri taraf se iski taraf mur gaya
Na-janey kyu Zain ki bat par uska haasa be-sakta hua
Woh hasne lagi
Aur woh hasti gayi
Yahan tak ka uski aankhein jo naami ka ba'is bheegi hui thi ab unme se ek do aansu bhi nikle the jisey usne apni shahadat ki ungli se saf kiya
"What a crazy girl" Zain shadeed na-pasandidgi se barbaraya aur janei ko mur gaya
Usne bhi Zain ki barbarahat sun li thi or Zain ko murtei hue jata dekh woh yakdam agei barhi or zain kei bazuu ki aasteen pakarte usey rokne ki Koshish ki
Zain ka uthtei qadam apni jagah jamad hogai
Uske dimgh par phir ek manzur Chane laga
Dhundla sa manzar
Sayah aur safaid sa manzar
Usey Laga jese Kisi ne pehle bhi usey aese hi bazuu ki aasteen pakartei hue rokne ki Koshish ki hai jese abhi is larki ne ki
Woh ab Zain ke samne aa khari hui
uske bilkul aain samne
"am I crazy Zain?" Usne sawal Kiya
"Am I crazy" woh apne qadam pichei leti chillai "Pagal mei Hun ya Tum han" woh ab aagei barhti shadeed ghusse ka alam mei Zain ka collar pakri thi
Zain ka dimgh bhak se urha aur usne ek jhatkei se uska bazu pakra "how. dare. you...."
"Zainnnnnnn" isse pehle woh Kuch aur bolta Azan ki gunjti awaz un dono ki samaat se takrai
"Amairah" leyla ki awaz bhi us sunsan si jagah par gunji
Amairah ne gardan ghuma kar Azan aur Leyla ko dekha albatta zain aankho mei had darja ki na-pasandidgi Liye usey hi dekh Raha tha sath usne amairah ke bazuu pe apni giraft bhi mazbut kardi thi jisse woh karrah uthi
Usne Zain ki aankho mei dekha
Sadme se... Dukh se... Pal bhar ka liye usey yeh sab ek bura khuwab laga tha
kyu kei jis zain ko woh janti thi woh kabhi itni jarhana harqat nhi kar sakta tha
Woh nah kabhi aesa tha jesa es pal es lamhe amairah ko lag raha tha
Magar woh Kuch bhi kar sakta tha
Usse Kisi bat ki achi tawwaqa rakhna bekar tha
Woh Zain Ahmed tha
Amairah ne apni aankhein mond li
Azan bhag kar aaya aur amairah ko Zain ki mazbut giraft se Azad Karne ki Koshish Karne Laga jisse Zain ne ek jhatke se chor dia aur woh pichei hoti lar-khara gayi
Isse pehle woh zameen-bos Hoti ka Leyla ne usey sambhal liya
"Yeh kya kar rahe the tum, pagal hogai ho" Azan dhara tha
Zain ne Azan ko bhi apni na-gawar nazro ke hasar mei liya "yeh tum mujhse puch rahe ho ... Isse pucho yeh hai kon mujhpe chillane wali ya mera collar pakarne wali" ab ka Zain ki awaz bhi unchi thi aur apni shola-bar nigaho se amairah ko hi dekh raha tha
Amairah jo kabse sadme jesi kaifiyet mei thi Zain ka alfaz sun kar uski aankhein pheil si gayi
Usne nazrei utha kar usey dekha
Woh bhi usey hi dekh raha tha
Bhuri aankho aur sunheri aankho ka takrar hua tha
Bhuri aankho mei sadma tha aur Sunheri aankho mei ajnabiyet aur na-pasandeedgi thi
"Kya yeh.... Kya yeh muj... Mujhe bhul chuka hai" uske hont hilei the
Behad ahistagi se
Lekin pass khari leyla ne uski barbarahat sun li thi magar kaha kuch nhi
"Zain tum....." Azan kuch kehta ka Zain lambe dag bharta raftar pakarta wahan se chala gaya
Azan gehri sans le kar reh gaya
Amairah nidhal si nichei girnei si lagi thi
Woh ab khali Khali nazro se zameen ko dekh rahi thi
Azan ne amairah aur Leyla ko dekha aur inki janib qadam barhane laga
Phir nichei amairah ka pass beithta usey pukarna chaha magar na-janei uske lab the ya uski awaz thi jisne uska sath dene se inkaar kar diya
Azan ki nazro ne amairah ka chehre ka jaiza liya
Woh roo nhi rahi thi
Woh sadme mei thi
"Woh ... Mujhe ... Bhul gaya" woh barbarai.... Sadme se.... Taqleef se....
Leyla aur Azan ki nazroo ka apas mei tabadla hua
Leyla ki num aankhei uski bebasi ki gawahi de rahi rahi thi
"Amairah" Azan ne behad dheemi awaz mei usey pukara
Amairah ne nazrei utha kar usey dekha "woh mujhe bhul kese gaya Azan" usne phir sawal kia
Pata nhi kyu, azan ka seene pe churriya chalne lagi thi
Azan ka lie amairah bilkul uski sagi bhen thi
Usne hamesha amairah ko bhaiyo ki tarah piyar Kiya tha
Usey kabhi Bhai ki kami mehsoos nhi honei di
Aur aj ek Bhai ka samne uski bhen ki aesi keyfiyet thi ka woh bebas bas tamashai bana khara raha
Woh apni bhen ka liye kuch nhi kar saka
Amairah usey dekhte Apne jawab ki talab mei thi magar Azan ne kuch nah kaha
Uski aankho se ansuo Azad honei lagei toh usne jarhana tareeqe se saf kiya
"Gunah Karne ka bad koi gunahgar kese apne gunah bhul sakta hai Azan" usne kaha
"Woh gunahgar nahi hai amairah" azan ne aankhein mondli, uske lab beyhad ahistagi se hilei the magar itne bhi nhi ka amairah uski awaz nah sun pati
"Woh gunahgar nahi hai Azan?" Usne bhuve sukri thi "Woh Mera gunahgar tha azan .... mera.... magar phir bhi meine usey maaf kar diya aur humne apne raaste badal liye .... Aur ab woh mere samne khara tha .... Dekha nah tumne kese anjan ban raha tha woh mujhse, meri zaat se, yun jese hum kabhi milei hi nah ho, hum anjan ho bilkul,,, aur iski gawahi uske alfaz nhi de raha the, balke uski aankheim derahi thi,, un aankho mei hamesha mere lie apnayet thi magar ab unme ajnabiyet hai azan" uske aansuo ne apni raftar pakarli
Azan ne zabt se aankhein band Karli
Amairah ki siskiyoo ki awaz us sunsan jagah pe gunjne lagi thi
Leyla ne besakta usey apne galei lagate bhinch liya
"Woh kyu aaya mere samne... Itne saalo se dur tha toh aj bhi rehta... Aj... Aj kyu aaya woh" siskiyoo ka darmiyaan uski shikaytei bhi jari thi "5 Saal pehle usne mujhse mera sab kuch cheen liya tha, magar meine usey maaf kardia ... Aur ab 5 Saal bad ..... Woh kyuuu aaaayaaaaa" woh dard ki keyfiyet mei chilla uthi thi
Leyla ne zabt se nafii mei gardan ko janbish diya aur amairah ko phirse khudmei bhinch gayi
Kuch dair bad amairah sambhal gayi toh usne pichei hotei hue khudko leyla se alag Kiya aur Bina kuch kahei wahan se chali gayi
Leyla apni jagah baraf si hogyi thi
Azan uske pass aaya or uske kandhe par hath rakh kar apni mojudgi ka ehsas dilaya toh Leyla ek jhatke se uske galei se lagti siskiyaa bharne lagi thi
Woh Leyla jo kabse Apne opar zabt kiye hue thi woh ab phut phut kar roone lagi thi
Aur Azan beyhadh narmi aur muhabbat se uski pith sehlata yakin-dahni karwata usey comfort karne ki Koshish kar raha tha "kuch nahi hua Leyla, sab thik hojaiga, bas thora aur sabar rakho... Sab bhot jald thik hojaiga"

*************
Kuch dair bad Leyla ko kamre mei chor kar Azan Apne kamre ki janib Jane laga toh uska phone baj utha
U

sne jaib se mobile Nikal kr caller id dekhte hue video call receive ki aur mobile apne chehre ka samne le gaya
"Assalamualaikum mummy"
"Walaikumsalam kesa Raha sab" unke puchne par Azan ne ek Thandi aahh bhari
"Kuch acha nhi hua" unhone khud hi andaza lagatei hue kaha toh Azan ne nafii mei sar hilaya
"Koi bat nhi... Barey sayanei kehte hai ka Jab ek darwaza band hojai toh dusre 100 darwaze khol jate hai... Wese hi Hum bhi ab apne dusre plan ki janib chalte hai"
Azan ne na-samjhi se bhuve uchkayi "dusra plan??"
"Han, dusra plan... Tum bhul kese gai, tumhara hi toh plan tha nah" unhone Azan ki yaddasht par koft khate hue kaha
"Ohh hannn" uske lab sukrei aur phir chehre pe ek dilkash aur Zindagi se bharpur muskurahat ne jagah gair karli
Han wohi muskurahat jisey dekh log usey khubsurat chehre wala shaytan karar dete the
"Bas phir toh koi tension nhi, ab sara kam apka hai bas kuch garbar mat kijiyega" galban usne apni nummy ko cheirha tha
"Ek jutti lagaugi aqal thikane aajaigi Teri khotei" unhone bhi Apna Punjabi mummy wala andaz apna liya
Aur Azan ki hasii umath gayi "good good yeh Punjabi Andaz ap pe bara hi changa lagda hai mummy"
"Chalo niklo yahan se... Amairah thik hai" unki aankho mei Fikar jhalak rahi thi
"Jab apka bura mazi apke haal mei aa khara ho toh bhala koi kesa ho sakta hai mummy"
"Hmm... Bas allah pak jald sari galat fehmiyaa dur karei aur mere sarey bacho ko bepanah khushiyo se nawaze Ameen" unhone bhot dil se dua ki thi aur azan muskura gaya
"Acha chale bhot raat hogyi hai ap bhi soo jai, mei bhi fresh hoke soonei jata hun" usne apne kamre ka darwaza kholte andar dakhil hotei hue kaha
"Han sahi keh Rahe ho bhot waqt hogaya mujhe toh aj kal waqt ka andaza hi nhi rehta hai" unhone jese apni hi shikayet ki thi
Azan ka tasrat yakdam sanjida hogai "mummy"
"Hmm"
"Ap phir un batoo ko sochne lagi hai"
Woh apni jagah sakt hogayi
Unhone apni aankhein utha kar mobile screen pe namudar apne bete ko dekha
Unki aankho mei karb sa tasir ubhra
"Beta Zindagi mei kuch hadsat aese hotei hai jo bhulane ki itni koshishei karne ka bawajud bhi nahi bhultei... Woh bas humare zahen ka pardo mei apni chap chor jatei hai jo waqt ka Sath Sath gehre hotei hue humei apna adii bana jatei hai.... Aur Mei bhi toh itne arse se un hadsat ko bhulne ki Koshish Karti Rahi hun... Aur shayad aj bhi kar hi rahi hun... Magar dekho nah , un hadsat ko bhulne ka chakkar mei mein unse dosti kar beithi hun... Ab jab tak mei apni aankhein band karka maazi ki un taqleef-dah yaado ke us manzar ko apne zahen mei zinda nah karlu tab tak ek ajeeb si keyfiyet Hoti hai... Ya shayad mujhe adad hogyi hai unhe yad Karne ki isi liye aesa mehsoos hota hai..." Unhone kandhe uchka kar akhiri jumla kaha tha "baher haal bhot Raat hogyi hai soo jao Tum bhi, Allah Hafiz" kehte unhone call band kardi
Chand lamha Azan mobile screen ko ghurta Raha jese Kisi soch mei ho aur phir uske lab hilei "Kya buri yadoo ko bhulanei ka waqai koi tareeqa nhi hota dunya mei" aur yeh woh sawal tha Jo Azan Ahmed har raat khudse puchta, Har din janei iska jawab talab Karne ka khuwahish-mand rehta tha.....

****************

ishq ka rang (ROMAN URDU/HINDI)Where stories live. Discover now