2. marriage fixed

127 6 0
                                    

kamlesh : baba woh hum soch rahe hai ki sumedh ki shadi karade

they 3 got shocked

Kalpana : dekha maa meine kaha na yeh bhabhi kuch na kuch bhaval banwake hi rahegi lo hogaya bhawal
Uss anaath ki shadi ke baat kar rahe hai

yashoda *furiously* : sumedh anaath nahi mera beta hai
Bhale hi usko mein 9mehne pet mein rakhke janam nahi diya bhale hi woh humare khun ka rishta nahi hai lekin woh humara beta hai aur mai uski maa hu
Koi bhi maa apne bachcho ki bhalayi hi sochti hai
Sumedh ab badha hogaya hai
Usko job hai achhe qualities hai sab kuch hai
Isiliye uski shadi karadena chahiye

Chandan : chuppp...........
iss ghar mein logo ko aajadi mil gayi hai har koi apna Mann maani karte aa rahe hai itne saalon se
Pehle tum isse shadi karke laaye ho
Aur fir uss sumedh aur aanchal ko ghar mein bithaaya
Aham ke barabar sab kuch kiya aur diya
Uss sumedh ko humare company ke member kiya ab shadi bhi
Kaisa dikh raha hu mai ha
dekho kamlesh aaj tak tum kaise na kaise mujhe manaya aur maan bhi liya lekin iss baar nahi

kamlesh : lekin baba woh bhi toh insan hai agar humare khun ke rishte nahi hote toh kya woh insan hi nahi hai
Usko kuch nahi mil sakta jo usko milna chahiye
Humne aham keliye har gali dhund dhundkar itni dhum dham se shadi kiya sumedh bhi woh sabki layak hai

Rajeswari : na jaane Teri biwi dawayi dediya tumko
Aree woh dono bhai behen ka bojh hi sir pe rakhe hai
Ab uske patni bhi

Yashoda : nahi maaji mai nahi maanungi sumedh ke shadi karenge toh karenge

Then aham, aleya and sumedh arrived there

Sumedh : maa....
Kya hua maa

Yashoda : a.......b... Kuch nahi beta bohot thakke aaye ho na tumlog jaao jaake fresh ho jao
Aham aleya tum dono bhi jaao
Bohot raat bhi hogayi seedha dinner bana deti hu

Aham : chalo aleya

Then they 3 left from there

Chandan : yeh Mera Ghar hai
Jaisa mai kahunga waisa hi hona chahiye
Abse iss ghar mein koi bhi apna Mann maani nahi karenge

By saying this he left from there

kalpana : apna energy waste mat karo bhabhi... Ab yaha jhagadke koi faida nahi hoga behtar hoga agar aap apne hoshiyat ko apne paas hi rakhle
Chalo maa

Then kalpana left from there with rajeswari

kamlesh : yashoda zyada pareshan mat hojao mai baba ko kaise na kaise convince karunga
Tum jaake khana banao

She nodded
On the other side

Revathi : aap bhi na sharma ji ka baaton mein aagaye humari beti hi hum hi nahi paal sakte usse

Pankaj : revathi mallika meri bhi beti hai
mere liye wahi meri duniya hai
Agar woh meri saamne nahi rehti toh bohot adhura sa lagta hai
Lekin humare paas rakhke uska life barbad hojayega
Tum hi socho aaj uske dawayi keliye sharma ji se paise liye fir kal kya
Uski dawaiyan firse khatam honge
Tab kya usko achhe se khana bhi nahi khila paa rahe hai aaj kaise na kaise manage karlenge lekin kal ka kya
Kaise karenge humare paas woh khush nahi reh sakti kya tum chahti ho ki humare beti aise bhuke tadpe dard ko zhele

Revathi thought for a while

Revathi : baat toh sahi hai hum mallika ke college fees tak nahi bhar paayenge
Usko dawayi bhi nahi de paa rahe hai khana bhi achhe se nahi de paa rahe hai
Shayad agar uski shadi kisi well settled aur achhe insan se hojaye toh woh khush rahegi

pankaj : wahi toh wahi toh mai keh raha hu

Revathi : karna bohot mushkil hai lekin karlenge uske khushi keliye

A knot tied by god Where stories live. Discover now