"Kitabon ko log to sirf kagaz par syahi se utre hue shabd samajhte hai
Par uski keemat to sirf likhne or usse padhne wala hi samajh sakta hai
Warna likhne wala apne jazbat yun hi kagaz par utar kar use sari duniya me pesh na karta
Or padhne wala us kagaz me apne aapko or apne har ankahe jazbat ko na dhundta
Or agar wo sirf kagaz par shabd hota to wo kisi ki aakhon me ashk to kisi ke adhron par muskan na chodta
Or kitab agar sirf chalawa hota to likhne or padhne walon ke liye ye alag jahan na hota"
आप पढ़ रहे हैं
Eloquence of Books
PoetryNot a story but some poetries I am not a writer but a student and this just a try from a girl who loves and wants to live in her fictional world