Seventeen year old boy and girl watched as couples came and adopted children younger than them. It was their daily routine to see this scenario.
“Kitne lucky hain na ye bachay, in ko in ke parents milne walay hain, balkay mil gaye hain, aur ek hum, humari taraf koi dekhta tak nahi Rajkumar.”
R~hum baray bachay hain na isliye, baray bacho’n ko kaun adopt karay ga? Jab hum chhote thay tab kaun sa kisi ne adopt kar liya? Ab toh bohat jald hum 18 ke hongay aur apne own par hongay, phir kaun se parents aur kaisa adoption? Baray bacho’n ko kaabu karna mushkil hota hai na Manmeet, chhotay bacho’n ka dimag geeli mitti jaisa hota hai, baro’n ka nahi
Mn~kaash humein koi adopt kar le, aur us miserable life se bacha le, kaash koi sarr pe haath phiraane wala ho, koi pyaar se beta keh kar bulaane wala ho, Rajkumar, jab logo’n ko bachay chahiye nahi hotay toh usay 9 maheenay garbh mein rakhne se achha unhein maar kiun nahi detay? Paida he kiun kartay hain? Aur jab paida ho gaye toh us galti ki saza bachay ho kiun detay hain jo galti kabhi us bachay ne ki he nahi hoti? Hum toh masoom se bachay thay, paida kar ke apne paas rakh lete toh kya ho jaata?
R~un ki zindagi mushkil hoti aur saath mein humari bhi, poori zindagi humein kostay ke tu paida kiun hua? Tu paida kiun hui? Is liye aisa hone se pehle he door kar diya achha kiya
Mn~kaash paida he na kartay, ye orphans wali life nahi jeeni parti
R~Manmeet, tumhare saath koi rahay na rahay, main rahoon ga humesha, tumhara ye sacha dost humesha rahay ga tumhare saath
Mn~promise?
R~promise
She smiled emotionally and they shared a hug.
On the other side, a woman could be seen sadly caressing pictures of baby and crying. A man came to her.
“Akshara, toh kya hua agar hum maa baap nahi ban sakay? At least itne saalo’n se hum ek saath hain, achhay husband wife hain, bhalay he aaj ye ghar mein bachay nahi hain, chehel pehel nahi hai, lekin humara pyaar hai, humari yaadein hain, hum surrogacy afford nahi kar saktay toh kya hua Akshara? Itne saalo’n se try kiya kuchh nahi hua, ilaaj karte gaye, main apni kismat accept kar chuka hoon, ke humare bachay nahi ho saktay, tum bhi kar lo.”
Ak~Naitik please, jo main 20 saalo’n mein nahi kar paai, qb ek jhatke mein kar loon gi? Ek jhatkay mein ye dard kaise bhoolun jab itne saalo’n mein nahi bhool paai? Logo’n ke taanay sun sun kar thak gayi, doosre couples ki godo’n mein bachay dekhay, doosro’n ke bacho’n ko laad kiya aur us wakt yahi sochti thi ke ek din aise he mera bacha ho ga jis se main kheloon gi, par mera sapna bas ek sapna reh gaya, aaj humari umar ke bohat couples hain jin ke bachay baray bhi ho gaye, un ki shaadian ho rahi hain, aur ek hum hain, humari haath khaali hain, meri kok khaali hai
YOU ARE READING
Beautiful Affection (season 2)
FanfictionNOT A CONTINUATION Rajkumar and Manmeet, two teenagers navigating the challenges of growing up in an orphanage, as they grapple with feelings of abandonment and the desire for a loving family. Meanwhile, Akshara and Naitik, a couple struggling with...