Novel padhte hue usse khayal aaya ke usne abhi tak ish aki namaz adaa nahi ki toh wo fat se bhaagi or wudu kar ke wo namaz ke liye khari hogy or namaz khatam karne ke baad uske zehen me aaya ki 'wo is waqt kya kar raha hoga or abhi wo kaha hoga'.Kya abhi wo so raha hoga ya meri tarah dua kar raha hoga?allah miya me thak gy hu allah miya ab or inteezar nahi hota kya karu me ab aap hi mujhe iss sabar ka badla de me aaj jo aapse itna nazdeek hu uske piche uska bara haat hai
Usne allah se boht sikwe kiye or bohot kuch uske rab se maanga dua maangte maangte usse 30 minute hogy thi ke achanak uske room ke bahar se awaaz aay
'Ufara chudail aaj hi sab maanglo gi kuch hamare liye bhi rehne do'
Ufara chirkar uske piche bhaagne lagi 'Tu mera naam bigaad ne se pehle jahanum ka rasta kyu nahi maap leta naam ka sirf bhai hai warna tere hote hue to saytan bhi ghuna karna chor de'
'Zyada zabaan na chalaya kar achi nahi lagti ammi ko teri sikaayat na lagau to mera naam bhi Hunain nahi'
Ufara:- jaa kehde or raatko baba ko aane de fir daat na khilau to mera naam bhi Ufara Daniyal Khan nahi or ammi ko kya chugli lagaye ga larkiyo ki tarah,wese bhi tu to jaanwar jesa hi hai ooh sorry jaanwar ki bezati nahi kar sakti
Hunain:- zyada zabaan na chala or baba ki dhamki mujhe naa dena warna me Azran ke baare me pure khaandan ko bata dunga ke tu usko pasand karti hai or jaha tak baat chugli ki hai to bol le jo bolna ho mujhe koi parwa nahi hai or jaanwar wafadar hote hai tere jese ehsaanfaramosh nahi Ufara Azrankhan Pathan
Ufara:- Astagfirullah saram karle behen ko ese kehte hue saram nahi aati or wese bhi ye Az-zran bha-i k-o me ko-i pasa-nd was-and nhi kar-ti evi kuch na bolya kar
(Cheeks turned into red like tomato)
Hunain:-Mohatarma me andha to hu nahi ki aapke ye blushing karte hue gaal pe meri nazar naa jaaye or dekho to zara naam sun ke hi kitna noor aaya hai agar wo agaya to kya hi hoga wese blush ki bhi zaroorat nahi Azran ka naam hi tumhare liye kaafi hai.
(Ufara ko kuch samaj na aya ke ab wo kya kare to wo fatse waaha se bhaag gay use pagal,genda,jaahil kehkr waha se 9 do 11 hogy)
Hunain:- Arre oooo chirkut ye sab kisko bol kr gay batau ammi ko kya bola tune
Dhire se wo haste hue dusre room me chala gaya usse pata tha uski behen thodi si pagal hai or usse pata bhi hai ki wo Azran ko pasand karti hai isi liye wo usse uske naam se boht tang krta hai or wo ghusse ho bhi jaati hai.Dono bhai behn me boht jagre hote ha Ufara ka khayal tha ki usko Hunain boht naa pasand karta hai. Lage bhi kyu na Hunain ki harkate hi kuch esi thi Ke uski chaai me mirchi daal deta or kabhi uske baal me chewing gum laga deta or har baar koina koi esi harkat karta ke wo aag babula hojaati.
Daniyal khan ki gaari ke horn ki awaaz sun kr Maryam Bibi fatse paani ka glass lekr bahar ki or bhaagi,Unhe dekh kr Yousra begum ne kehkaha lagaya
Jab Daniyal khan ghar me daakhil hue to Maryam bibi ko aata dekh unke labo se 'Haaye meri Hosh-rubaa' nikla jisse Maryam bibi ne ache se suna tha unhe paani ka glass dete hue kaha
Maryam:-ab bass bhi karde koi hamari nay nay shaadi nahi hui hai or kisine sun liya to kya kahege wese bhi ab aap 45 ke hone waale hain zara soche ammi ne dekhliya to
Daniyal:-Begum aap to kuch ese naaraz ho rahi hai jese me naa mehram hu aapka shaadi ki hai humne are ammi ne bhi dekhliya to kya he unhi ki marzi ki bahu laaya hu or me 45 ka hu to kya hua ab bhi mujhe movie ke offer aate rehte hai.Wese aaj mene kuch likha hai hamari begum ke liye kya sunaye?
Maryam:-Saari baat yaaha khare khare hi karenge yaa ghar me bhi daakhil honge or ye sero saayri to hum aapki fir bhi sun lenge abhi aap fresh hokr khaane ke liye aaye
Daniyalkhan unhe aakh maarte hue kamre kaa darwaza ban kardiya jisse Hunain ne dekh kr astagfar parne laga 'Ammi ye abbu ki aakh me koi infection hua he kya??
Maryam-Esa kyu keh rahe ho ache khaase to he (maryam bibi ko pata nahi tha ke Hunain ne Daniyalkhan ko aakh marte dekha kyuki usne boht dhimme se astagfar jo para tha)
Kya hua he?'Wo unki aakhe boht japak rahi thi na'
Ye kehr wo kitchen me bhaaga or maryam bibi usse besharam aulad kehr kr uske piche bhaagne lagi,Tab hi
Zumra begum kitchen me daakhil huiYe kya ho raha hai bache to bache Maryam tum bhi ye achi baat nahi hai bahar khelo or Maryam beta kya kiya mere ladoo ne ,unke ladoo kehne par Hunain Zumra begum ke piche chup gaya.
Maryam begum wahi khari hogy or usse ghuse waali nazar se dekhne lagi 'Ammi aap hatte iski zaban zyada nikl gy hai isse aaj to me maar kar hi rahungi wese bhi arsa hogaya hai isse mene maara nahi hai
Zumra begum:- Allahuakbar ye kya ool fooll bakke jaa rahi ho mere ladoo ke bare me! or kya kiya hai mere ladoo ne batao to zara.
Ye sunkr Maryam bibi thode lamho ke liye khamoos rehgyi ke amma ko batati hi kya
'Are bologi bhi yaa ese hi murti ki tarah khari rahogi'
Haan haan ammi bolo to Dadoo ko bhi pata chale ke muj jese masoom par ye haat kyu chal ne waale theMaryam:-Ammi chore wese bhi baate banani to isse sikni chaahiye aap bethe me unhe bulakr laati hu khana thanda ho raha hai
Hunain:-Ammi abu ko eye drop dena na bhulna kahi fir se naa aakh far fara ne lage ( maryam bibi usse ghuse waali nazar se dekhne lagi jese abhi usse aakho se maar daalegi) or hunain ye dekh kar chup chap plate me khana nikal kr khaane laga)
Zumra begum tension ke maare bolne lagi 'Haye mere dil ke tukde nu ki hua? Kahi wo eye infection to nahi hua
'Zumra begum kuch ese hi samaj le wese bhi ammi to aapko batane se naa rahi bichare abbu ki aakhe farfaraye jaa rahi thi or ammi ko unka khayal hi nhi hai ye kehr bicharo waala muh bana kar Hunain khana khane laga'
Daadi hu me teri,tere baap ne bhi aaj tak mere naam se na bulaya or tu badtameez ladoo or meri bahu ke baare me kuch bhi na bol menu pata hai meri bahu mera kinna khayal rakhdi hai
Hunain hasne laga 'wese Zumra begum I mean dado aap ye konsi tarah ki punjabi bol ne lag jaati ho?'Zumra begum ne usse dekh kr uske muh par aage rakha paani ka glass ka saara paani uske sar par daal diya
Zumra begum :- le mere jigar ka tukda, Tune na meri punjabi ke baare me esa age kuch bhi esa wesa bola na me tenu chaddaga ni
Ye dekh kar maryam bibi zor zor se hasne lagi kamre se Ufara or Melissa,hunain ki chilati aawaz se bahar aayi
Melissa yu Hunain ko bhiga hua dekh kr boli 'Ya allah ye kisne kiya Hunain bhai?' Or kon ho sakta hai ye khunkhar Zumra Begum ke siwaa
Melissa:-Astagfirullah bhai hamari pyaari daado ko ese to naa kahe ye kehr wo daado ke gale se lag gayi
Or sab ye dekh kar hasne lageThodi der me Yousra begum or Daniyal khan bhi khaane ke table par aagaye tab hi Zumra begum ko Hunain ki baat yaad aay to wo puchne lagi 'Daniyal putr teri aakh nu ki hua? Ye sun kr maryam bibi jo haat dho rahi thi wo kuch lamho ke liye wahi khari rehgy
Daniyal:- Amma mujhe kya hona hai me to ekdam thik thak hu Allah ka karam hai aap ye achanak meri aakho ke baare me kyu puchne lagi?
YOU ARE READING
ILLALIKA'
Teen FictionFunny and very cute story of two couple. In which the bonding of sibling,parents,mother in law is shown and it's a funny,romantic,unique,religious type of story is written in it. (One sided love,rude hero,religious hero,cousin based,happy family) H...