Chapter 3

21 3 7
                                    


Hunain room

Bhai aap zyada gusse naa ho vese bhi aapne ab tak 2 packet cigarette khatam ki hai aap cigarette na piye sehat ke liye bilkul bhi achi nahi hai (ye kehkar hunain uske paas jaakr usse samja ne laga)

Hunain tu fikr naa kar meri ye cigarettes hi to hai jo sahara hai meri thak chuka hu ab ye silsiley to khatam hi na hote,wo shauk na raha na nishbat wo rahi wo dil bhi na raha na tabiyat wo rahi

Bhai ye kya shayari suru kardi abba ki tarah or ye kya tabiyat,dil kya bol rahe ho breakup nahi hua hai aapka aapki toh engagement hui hai janab
(Ye kehkar hunain hasne laga)

'shayar to hum hai nahi shayarana andaaz kaaha se laaye bus guzarte waqt ne humme kuch esa banadiya hume shayar bana diya hume akela bana diya'
Fahd ne usse dekha aur muskura diya 'rehne de chote tujhe ye samaj nahi aaayega tu jab thoda aur samajdar hojayega fir tu samaj paayega

Hunain ye shayari sunkr wahi beth gaya 'rehne hi do itna dose aaj ke liye kaafi hai ab to lagta hai ke koi gori maam se mohabbat karke aaye hai

Ye sunna tha ke Fahd ne uski taraf jatke se dekha or kaha 'kuch nahi..kuch nahi hai esa tu so ja zyada nind tere sar par sawar hai.

Hunain:- bhai pata to mujhe chal gaya ab tabhi me sochu melissa se ikraar ki jagah inkaar kyu hai. Bhai aap kare jo karna hai me to so ne chala byeee. *ye kehkar wo blanket lekr bed ke right side jaakr so gaya*

Fahd thatka or hunain k alfaz ne usse past me khone ke liye majboor kar diya

Wo sochne laga kyu esa hota hai jab kisise pyaar karte hai toh wo kyu dur hota hai?kya me dikhne me thik nahi? Kya mere me koi kami hai? Magr kyu esa? Kaas me America hi na jata na waha gaya hota or na hi mujhe Sara se mulaaqat hoti

Jab fahd America me gaya waha uske college me ek  sunehri baal gulabi color ke frock me khubsurat si ek ladki uske paas bethi jiski aakhon ka rang halka halka blue tha fahd ko pehli nazr me uski khubsurti achi lagne lagi Sara ko bhi fahd se pyaar hogaya tha

Sara:- Hi! I'm sara
Fahd:- Hi! I'm fahd khan,nice to meet you!
Sara:- Nice to meet you too.would u like to be my bf
Uske direct u kehne pe fahd ko ek jatka sa laga ke pehli hi mulaqat me
Fahd:- Really in just first meeting? I mean like we don't know each other
Sara:- I'll take it as yes
Fahd ko samaj nahi aaraha tha ke ye achanak or ye ladki me kitne guts hai
Fahd:- umm ok I am in
Usse pata na chala wo kya bole to usne haa kehdiya or tab kuch kaam ki wajah se wo waha se pehle hi lecture me chali gay
Sara:-sorry i have to go back some important work came so meet you soon dear
Fahd ko laga jese wo koi sapna dekh raha ho wo khush bhi tha or confuse bhi.

Fahd roz uska college me intazaar karta magr wo pehle din ke baad ab tag aayihi nahi,na number tha na koi address usne har jagah se pata karne ki try ki magr college me bhi kisiko pata nahi professor kavin ko puchne par pata chala ke wo to family ke saath koi or country me chali gayi magr unhe batane se na kaha hai

Usne ese hi waha 4 saal usko yaado me guzare magr uska ek pakistani dost tha jiska naam Ahsan tha jo shayar tha jiske saath reh rehkr usse shayari karne ki aadat si hogy thi unki dosti bhi ussi din hui thi jis din sara se mulaqaat hui thi

Ahsan acha tha uske saath harwaqt rehta or usse samja ta ke wo uske liye achi nahi thi kyuki mohabbat esi nahi hoti jab hogi to tujhe pata chal jaayega ye baat wo harbar kehta

Jab usse pata chala uske Taiya abba ka to wo pakistan jaane ki tayari karne laga tab Ahsan ne usse kaha 'Jaa rahe ho ghalib to lot ke zaroor aana saare gum ko lejana mere liye thori khusiya le aana tu bhul jaana usse jisne tujhe chora hai tu le aana usse jisne tujhe chaha hai!

ILLALIKA'Where stories live. Discover now