Suabh ka suraj sar par tha,woh apne ghar k angan par bethi musalsal ro rahi thi,samne hi darwaza tha jahan se gali sidha aslam hasan k ghar pe jake rukti thi.yeh moholla unka hi to tha.har koi unki baat ka mohtaj tha,woh sabke sardar the,sab unke mulazim,aslam hasan apni ma aur biwi k sath rehta tha,Allah ne aulad ki mohobbat se unhe dur kiya tha.woh bin aulad aur karve ho chuke the,aj rashmi ki rone ki wajah bhi wahi the.rashmi k baba usi moholle mein ak choti si kitabon ki dukan k malik thein.
rashmi ki ammi ka inteqal bohot pehle ho chuka tha,sauteli ma thi magar is sauteli ma se behtar uske parosi thein khair aj woh ro rahi thi kyunki uski parhai band ho gai thi.yaqeenan aslam hasan ka koi bhai araha hai lahore se aur woh yahan par ak banglow banana chahta hai jiski wajah se rashmi k abbu ki dukan bhi unhone le li.isse bara dard uske liye aur kya ho sakta hai.
akhir kar woh parhna chahti hai.apne ansun o ko pochkar apne babajaan ki fikar karne lagi.woh tin din se gayab thein yaqeenan woh chinta mein thein ki ab woh kya kare,har koi mukhaalif kam karraha tha,lekin is umer mein woh mukhtalif kya karte?
Rashmi ne apne sunheri ankhon ko zor se ragra aur ab woh sujhe huye thein.usne apne kamre se chadar uthaya aur use apne sar pe dekar hi chalne lagi,uske lambe bal abhi bhi uski shawl se niche ja rahe thein,ankhon k rang k ilawa uske bal bhi sunehre rang k thein,woh behat khubsurat thi.
Apne dehliz par karke woh apne baba kiliye larne ja rahi thi isse bari baat uske liye aur kya ho sakti hai,Woh apne lagatar kadmon se ate jate har kisiko khaufsada karrahi thi.gali k akhir mein haveli mein ja khari hui.darwaze par 2 mulazim khare thein.unki taraf dekh kar usne himmat se kahan
" Apne malik ko bulao!jaldi"
Woh dono mulazim pehle second use dekhne lage aur phir un dono ka kehka hawa mein gunja.
"Maine kahan darwaza kholo "
"Bibi jab chahe tab ake ap unse nehi mil sakti ! Woh aslam hasan hai,apki gali mein rehne wala koi am sa admi nehi"
" Woh shaqs am admi ban bhi nehi sakta!woh to am admio k ghar ko barbad karta hai!woh kaise am hoga? "
Samne khare dono mulazim ne apne hat ki chai ki cup fek di aur uske kareeb akar kehne lage
" Agar apni zindagi pyari hai to yahan se nikal ja larki! Aslam hasan mein rehem nehi hai ! Woh jaan leta hai " akhri alfaz kuch dheeme se bola gaya tha jisse rashmi ka jism kap utha.
Usne khud pe kabu kiya aur dusre hi lamhe" Are woh rahe aslam hasan !'
Dono mulazim ka chehra uski ungli k ishare ki taraf mura to usne dono ko dhakka deke darwaze dhakka dekar agle hi lamhe woh andar thi.
Alishan sa mehel,woh jahan se andar ayi thi wahan par hi don kursi rakhi thi jinme safed gulab aur ak kitab rakhi thi.
Usne nazrein age barhai to use darwaza nazar aya woh bhi bohot bara,usi darwaze k behad kareeb ak khubsurat behad khubsurat larki bethi thi,
usne ak saree pehni thi jisse pehchana ja sakta tha ki woh zamidar yani aslam hasan ki koi khas rishtedar hai.kyunki itne ameer to wahi ho sakte hein.uske baalon pe bhi safed gulab lage the.uski jheel jaisi neeli ankhon par nazar ja thehri to rashmi tham si gayi kyunki woh use hi dekh rahi thi.Piche se woh dono mulazim daur k aye tabhi rashmi ak raftar sirio ko par karke pehli siri mein benthi us haseen aurat k kadmon mein ja bethi.
" Apko Allah ka wasta meri baat sun lijiye!meri madat kijiye! "
Unhone use tawajju se dekha phir dusre hi lamhe jab woh mulazim use lene kilye siri charkar aye to unhone apne hat se unko dur jane ka ishara kiya." Bibi saheba yeh zabardasti andar chali ayi.humne rokne ki koshish ki magar bohot jangli hai! Sahan dekhle usse pehle mein ise bahar chor ata hun "
Ak mulazim ne kahan to unki ankhen jo abhi rashmi par jami thi woh un mulazim k par uthi." Mujhe iski galti kahi se nazar nehi arahi!haan magar tumhari nazar arahi hai"
Unki baat par samne khari huye mulazim ki nazar jhuk gayi." Jao.mein is mohtarma se baat karke dekhu.kaun hai yeh aur inhe kya chahiye "
![](https://img.wattpad.com/cover/371398366-288-k872111.jpg)
YOU ARE READING
Ishq-e-marham ( roman urdu ver)
Narrativa StoricaThis is a 90s love story,where you will experience heartbreaks,sorrows,pain and happiness of love,the newphw of zamidar fells in love with an ordinary girl rashmi✨ and there love costs them everything.love is pure and this is a story which proves th...