MAIN SHART JEET GAYA

184 26 1
                                    

Bala: bhai ji aapki cheenta ho rahi thi isliye

Karan: main toh thik hoon meri cheenta kyu

Bala: jabse ye bhaiji aye hain aap kisi aur se baat hee nahi karte ho bas ek dusre main lage rehte ho na hee Faizi bhai se baat karte ho aur uss din ye bhaiji aur ek ladki jo ayi thi woh bhi mille thea lekin ye dono waha se aise nikle ki inhone bhoot dekh liya ho aur aapka ata pata nahi toh dekhne aa gaya ki aap logo ne gher liya

Arjun(smiling): isse teri parwah toh bohot hain

Karan: tuh ghar kyu nahi gaya

Bala: mujh jaise anaat ka ghar thori na hota hain bhaiji

Arjun: Karan ye toh galat hain

Rohit: not expected from you

Karan: abey gadhe mujhe bhaiji bulata hain aur phir bolta hain pariwaar nahi hain meri baat dhank se sun aur kisi ki bola toh lene ke dene kar dunga teri

Bala: bhaiji ye Bala shaitaan ka saala aap jo bhi bolo ge kisi ko nahi bolunga

Karan: pehle toh ye hoodie khol aur yaha rakh warna chottu bhaiyaan jagrate ke bich main hee tamasha kardenge

Arjun: isko dekh kar Chintu ki yaad nahi aati

Karan: haan

Rohit: ye Chintu wahi hain na Chottu bhaiyaan se jo pehle kaam karte thea unka beta

Arjun: haan

Bala comes back

Karan: main jo bhi bol raha hoon dhyaan se sun wapas nahi dhourayunga baat samagh ayi

Bala: ji bahiji

Karan,Arjun and Rohit take him to the garden make him sit and tell him the whole story about Arjun and Rohit how Sandy is connected to them his roka with Monami and Manjeete his father, chachu-chachi leaving out the part about Sid and why he was avoiding Faizi’s call and also not telling him about the fight between Monami and Manjeet

Karan: toh bas itna hee hain

Bala: arey bate ki itna sabkuch hogaya main matlab shart jeet gaya

Arjun: kaisi shart Bala

Bala: puri academy ki shart lagi thi ki bhaiji aur Monu di kab date karna shuru karenge aapne toh seedha rishta paka karliya

Rohit: aur tum jeete kaise

Bala: sabne ek time taq bola tha maine 1 mahina bola tha Aneesh ke aane ke baad

Rohit: ye Aneesh kon hain

Karan: Aneesh nahi Aneech hain woh

Arjun: arey iss baare main toh mujhe bhi nahi pata

Karan: woh alag character jab dekho tab Monu se chipka rehta hain

Bala: arey baba

Karan: ab kya hua

Bala: aap Monami se Monu pe aa gaye

Karan: ab hone waali biwi ko pet name se nahi bulayunga toh kis naam se bulayunga

Bala: woh bhi sahi hain shart toh Arjun Bhaiji ke upar bhi lagi thi

Arjun: mere upar kis cheez ki

Bala: ki aap Niyati ma’am se pyaar ka izhaar kab karoge

Arjun: woh toh 15 saal pehle hee hogaya tha

Bala: aapki aur Faizi sir ki harkate dekh ke alag hee lag raha tha

Rohit: ab ye Faizi kon hain

Arjun: mat puch bhai haat dhokar Niyu ke peeche par gaya tha

Bala: ab yeh Niyu kon hain

Rohit: Arjun bhaiyan ki biwi na kaam kya

Bala: Niyati ma’am

Rohit: toh pet name kya hua

Bala: Niyu

Karan: chal ab andar chal yaha tak aa gay hain toh

Bala: par bhaiji

Karan: bhaiji bula raha hain aur andar tak nahi ayega aur ghar ki puja main bhi nahi bathega

Bala(almost crying) and hugs Karan

Karan: chal rula mat

And they go inside

SHERGILL FAMILY Where stories live. Discover now