part 12

1.2K 25 6
                                    

Woh kitchen se wapas lounge mein aa gayi thi aur wahan aakar us ne Shehla ko us ke mobile par call kiya tha.

“Halo Shehla! Main Aliza hoon,” us ne rabita qaim hote hi kaha tha.

“Haan Aliza! Tum aaj university kyun nahi aayi?”

“Nahi, aaj main university nahi aaungi.”

“Kyun bhai, kya hua? Tabiyat to theek hai?”

Shehla ki awaaz mein tashweesh thi.

“Main bilkul theek hoon, bas der se jaagi hoon. University ka time nikal gaya.”

“Raat ko parhti rahi ho?”

“Nahi yaar! Parhti kahan rahi hoon, tumhein bataya to tha ke Umar aa raha hai aur saari raat main aur Nano uska intezaar karti rahin.”

“Accha to kya woh aa gaya hai?”

“Haan, bohat late aaya tha.”

“Kya haal hai uska?”

“Abhi to meri us se mulaqat bhi nahi hui. Main to intezaar karte hue so gayi thi. Woh mere sonay ke baad hi aaya aur abhi main jaagi hoon to woh so raha hai. Panch se kuch der pehle uthega to baat hogi. Main ne tumhein is liye phone kiya tha ta ke tumhein inform kar doon. Warna tum khuwamkhwah pareshan hoti rahtein.” Aliza ne wazahat ki thi.

“Kal to university aaogi na?”

“Haan! Kal to zarur aaungi, Khuda Hafiz!”

“Khuda Hafiz.” Shehla ne doosri taraf se mobile off kar diya tha. Shehla ko phone karne ke baad woh apne kamre mein aa gayi thi aur us ne do din pehle milne wali ek assignment par kaam karna shuru kar diya tha magar baar baar us ka zehan Umar ki jaanib hi ja raha tha. Kisi na kisi tarah bara baje tak woh us assignment ko likhti rahi thi aur phir uth kar ek baar phir kitchen mein aa gayi.

Nano Shami kebabon ke liye banaya jane wala masala check kar rahi thin. Aliza ne bohat arse ke baad unhein is josh o kharosh ke sath kitchen mein kaam karte hue dekha tha. Woh muskurati hui bahar lawn mein aa gayi, kuch phool aur shakhain kaatne ke baad woh ek baar phir dining room mein aa gayi thi aur wahan us ne unhein dining table par pare hue guldaan mein arrange karna shuru kar diya tha. Tarteeb mukammal kar chuki thi aur table se faltoo phool aur shaakhain akathi kar rahi thi jab us ne dining room mein wohi makhsoos mardana awaaz suni.

"Halo Aliza!" Woh kuch gad bada gayi thi.

Dining table ki doosri taraf ek kursi ki pusht par woh apna coat latka raha tha. Woh dum sadhe usay dekh rahi thi. Woh ab table par apna mobile aur sunglasses rakh raha tha. Guzray hue chand saalon ne us mein kuch tabdeeliyan kar di thin. Us ka hairstyle badal gaya tha. Civil servants ke haircut mein woh bohot sober lag raha tha. White shirt ke sath neeli tie lagaye woh bohot formal getup mein tha. Aliza ne dining room mein phaili hui cologne ki mehak ko mehsoos karne ki koshish ki thi. Woh apna cologne tabdeel kar chuka tha.

............

"Kaisi ho tum?"

Woh ek baar phir us ki taraf mutawajeh ho chuka tha. Aliza ne us ke chehre par bohat madhim si muskurahat dekhi thi.

"Main theek hoon, aap kaise hain?"

Aliza ne ek gehri saans lete hue us se poocha tha.

Aur woh ek baar phir jawab mein muskuraya tha.

"Perfectly alright. Granny kahan hain?"

Us ne us ke sawal ka jawab dete hi poocha tha.

"Woh kitchen mein hain!"

Aur woh kuch kahe baghair kitchen ki taraf chala gaya.

"Kya usay mujh se sirf itni hi baat karni thi?"

Amarbail Where stories live. Discover now