part 9

979 18 0
                                    

Us ne israr kiya tha.

Dene ke liye keh dena. "Application" theek hai tum Shehla ko phone par college mein.

Nano usay hidayat deti hui uth khadi hui thin. Us raat woh be had khush thi aur yeh khushi kisi se bhi chhupi nahi reh saki thi hatta ke Umar se bhi. Raat ke khane par Nano ne Nana ko us ke Karachi jane ke bare mein bata diya tha. Umar ne us waqt ghour se us ka chehra dekha tha. Woh aaj pehli baar khane ki table par muskurah rahi thi. Nana kuch der us se us ke Papa ka haal ahwal poochte rahe. Woh bade josh o kharosh se program ke

bare mein batati rahi. Raat ko woh apna samaan pack kar rahi thi jab Nano us ke kamre mein aayi thin. "Kal subah nau baje ki flight hai, tum saat baje tak tayar ho jana. Main ne Umar ko keh diya hai woh tumhe airport drop kar dega."

Unho ne usay ittila dete hue kaha tha.

"Umar drop karega, magar Umar kyun Nano? Driver ko kahen na!"

Woh kuch staptayi thi.

"Driver aaj nahi aaya, mujhe nahi pata kal bhi aata hai ya nahi, waise bhi driver saade aath baje aata hai aur tumhe aath baje

tak airport par pohnch jana chahiye. Aaj driver aa jata to main usay kal jaldi aane ka keh deti."

"Aap Nana se keh den na mujhe drop karne ke liye!"

Us ne phir israr kiya tha.

...............

" Tumhare Nana ko main itni subah kahan uthaoon, tumhein Umar ke saath jane mein kya problem hai?"

"Nahi, bas waise hi!"

"Kuch kehne ki zarurat nahi, bas wohi tumhein subah chhodne jayega."

Nano ne hatmi tor par kaha tha.

Alizey ne hont bheench liye the.

"Woh to subah uthte hi nahi, to phir kal..."

Nano ne uski baat kaat di thi.

"Yeh tumhara nahi mera problem hai, kal woh uth jayega aur nahi bhi utha to main usay utha doon gi."

Nano kehte hue kamre se nikal gayeen.

Agli subah woh bohot aik side thi. Apna bag le kar jab woh lounge mein aayi to wahan Umar nahi tha.

"Tum baith kar nashta kar lo."

Nano ne usay dekhte hi kaha tha.

"Nahi Nano! Mujhe kuch bhi nahi khana, bas aap mulazim se kahein, mera bag gaari mein rakh de."

Usne bag farsh par rakhte hue kaha tha.

"Kuch khaye piye baghair ghar se nikalna theek nahi hai, nashta kar lo."

"Nano! Mujhe bhook nahi hai."

"Bhook hai ya nahi, tumhein kuch na kuch zarur khana hai."

"Main plane mein khaa loon gi."

"Plane mein pata nahi kya mile aur kya nahi, bas tum yahin khao."

Nano ki zid barqarar thi.

"Please Nano, mera dil nahi cha raha, believe me. Mera dil waqai nahi cha raha."

Woh munmanai thi.

"Chalo yeh juice hi pi lo."

Alizey ne kuch soch kar juice ka glass utha liya tha.

..............

Nano ne mulazim ko awaaz de kar bag gaari mein rakhne ke liye kaha tha.

"Aap dekh len ke Umar abhi tak nahi aaya. Main ne aap se kaha tha na."

Amarbail Where stories live. Discover now