Wo khali ankhon ki ek roshni bhi ban jaenge hum ,
Wo khali kitaab ka ek rang bhi ban jaenge hum ,
Wo andheri raat ka ek mehtaab bhi ban jaenge hum ,
Wo subh ki pheli ek kiran bhi ban jaenge hum ,
Wo tut te sapno ki ek nayi umeed bhi ban jaenge hum ,
Wo lagi us chot ka ek marham bhi ban jaenge hum ,
Wo muraad ka ek jasba bhi ban jaenge hum ,
Wo jhuki ankhon ka ek karan bhi ban jaenge hum ,
Wo aasman ki ek inayat bhi ban jaenge hum ,
Wo Madira ka ek suroor bhi ban jaenge hum ,
Wo tut te taron ki ek tammana bhi ban jaenge hum ,
Wo mohabbat ka ek guroor bhi ban jaenge hum ,
Shayad ek din us bajirao ki mastani bhi ban jaenge hum ....
YOU ARE READING
Bus Wo Shaks (hinglish)
Poetryek kitaab.... kuch kitabein padhne ke baad bhi man sa nhi bharta , kuch yadein jee kar bhi man sa nhi bharta , kuch batein likh kar bhi man sa nhi bharta , kuch vaadein kar ke bhi man sa nhi bharta .... kuch meri likhi mai shayad man sa bhar aae~ le...