PROJECT - LISA

16 1 2
                                    

🚽 use karte samay Harry ko ek jabardast idea aaya ....

Usne socha ki kyu na ek AI model develop Kiya Jaye Jo uske sbhi kaam me uski help karega .

Fir Harry sofa pe baith ke thodi der sochne lgta hai .....

Ai to software hota hai wo meri help karega kaise ?
Uske liye mujhe uska ek hardware form banana padega but mujhe to mechanicals utni aati bhi nhi hai ...

Kya karu kya karu kya karu....

Acha Aisa krta hu ki sbse pehle mai AI ko develop kar leta hu uske baad uske baare me socha jayega ....

Fir Harry uthta hai or apne home library me ek book dhundne ki kosis karta hai
But usko wo book nhi milti hai ..

Fir wo apne 💻 pe web kholta hai or pata krta hai ki usko ek software develop krne ke liye kya kya chahiye

Fir wo market se ek best publication ki coding book le ke aata hai and apna kaam suru kar deta hai

Pehle do din to usne khub programing ki but kucch khaas us se ban nhi pa rha tha

Fir uske dimag me ek idea aaya ki wo ek aisa device banaye jo kisi bhi machine ko apne ai software se connect kar ke usko ek jagah se hi run kar paye
Just like bluetooth..

Ye uske dimag me aaya hua abhi tak ka sbse best idea tha..

Usne 3 din ki mehnat ke baad aakhir kar ek badhiya ai software develop kar hi liya
Ye ai software audio form me output bhi de skti thi
Harry ne iski programing is tarah se ki, ki ye bht friendly hai

But abhi device banana baaki tha

Wo market se kuchh motherboards laya
Usme solding kar ke kuchh controlers Dale
Usme location detect krne ke liye gps lagaye
Data transfer krne ke liye transmitter lagaye and signal attend krne ke liye signal detector lagaye
Uska device ban ke taiyaar tha
Harry ne ise naam diya :- d¹

Usne apni project ko lagbhag complete kar liya tha

But dikkat ye ho rhi thi ki usko command dene ke liye baar baar pc ke paas Jana pad rha tha

Fir usko ek or idea aaya....

Usne apne smart watch ko khol ke uska mother board hataya or ek new motherboard lagaya jo uske software se connect rehta tha...

Ab usne socha ki kb tk written prompt diya jaye
Kyu na wo audio prompt se ai ko ctrl kare ?

Usne d¹ ki tarah ek micro device create Kiya
Or ek earbud me dala

Wo earbud modify ho chuka hai or iska kaam tha
Software ko prompt dena or us se baat krna

Ab Harry ke paas exibition me le jane ke liye 3 chij ka ek bht behtar project hai ...

Earbud for giving out put
The watch for processing data and main body of software
And the d¹ device for giving output

Usne apne ai ka naam rkha LISA*
And pure project ke file paper ka pdf banaya jiska naam rkha PROJECT - LISA

Itna sb krte hue Harry ko 5 din ho gye the and do din baad university campus me usko exibition attend krna tha

Usne apne project ko ek ache se suitcase me dala or rkh diya ....

Usne apni tv 📺 on ki.
Chanel change krte krte uska haath ek news channel pe ruka

Tv pe news aa rhi thi
Sehar ke kuchh hisse me kuchh unidentified objects ko ghumte dekha gya hai or inki sankhya badhti ja rhi hai ...

Kya hai wo unidentified objects?
Wo cities me kya kar rhi hai ?
Jan ne ke liye Jude rahiye hamare saath

NATURE MAN :- THE ALIEO ATTACK рдЬрд╣рд╛рдБ рдХрд╣рд╛рдирд┐рдпрд╛рдБ рд░рд╣рддреА рд╣реИрдВред рдЕрднреА рдЦреЛрдЬреЗрдВ