Jab halki si dhoop mere chehre pe padhti hogi,
Meri aankhein chat-patake adhi band aur adhi khulti hongi,
Najane,
Uske aankhon mein meri tasveer kaisi lagti hogi !!Jab main khidkiyon se bahar dekhti hongi,
Chehre pe meri thodi nazakat aur hamdardi jhalakti hogi,
Najane,
Uske aankhon mein meri tasveer kaisi lagti hogi !!Jab main baarish mein baahein failaye khub bhigti hongi,
Aur kichad mein thap-thapate hue pair dhoti hongi,
Najane,
Uske aankhon mein meri tasveer kaisi lagti hogi !!Jab main chatt pe gile baal sukhati hongi,
Apne bikhre lat ko dheere se kaan ke piche daalti hongi,
Najane,
Uske aankhon mein meri tasveer kaisi lagti hogi !!Jab mai khulke hasti hongi,
Halke se mere labon se masumiyat aur naino se haya fisalti hogi,
Najane,
Uske aankhon mein meri tasveer kaisi lagti hogi !!Jab main bewakufo jaisi sawal puchti hongi,
Aur uske "arehh pgli" bolne pe chidd jati hongi,
Najane,
Uske aankhon mein meri tasveer tab kaisi lagti hogi !!Jab mein ruth ke kahin door baithi hongi,
Mere naak pe thoda gussa aur honthon pe sikayat rakhi hongi,
Najane,
Uske aankhon mein meri tasveer kaisi lagti hogi !!Use lagta hoga ki main roj sajti-sawarti hongi,
Jab main muskurati hoon, kya main acchi lgti hongi !?
Najane,
Uske aankhon mein meri tasveer kaisi lagti hogi !!Jab main aaine mein khud ko dekh ke muskurati hongi,
Sawarte hue, parakhte hue baar baar sarmati hongi,
Najane,
Uske aankhon mein meri tasveer kaisi lagti hogi !!Jab main bolti hoon, kya use meri baatein acchi lagti hongi ?
Mere harkaton mein thodi naadani aur bachpana kya use jachti hogi ?
Najane,
Uske aankhon mein meri tasveer kaisi lagti hogi !!Jab khubsurat ladkiyan uske pass se guzarti hongi,
Aur main bikhre baal leke kahin door saadgi se chalti hongi,
Najane,
Uske aankhon mein meri tasveer kaisi lagti hogi !!Jab main uske sapno mein aati hongi,
Uske sath ankh-micholi khelke use khub satati hongi
Najane,
Uske aankhon mein meri tasveer kaisi lagti hogi !!Jab usse judaa hoke main uske yaadon mein aati hongi,
Mere saamne na hote hue bhi,main uske band ankhon mein dikhti hongi
Najane,
Uske aankhon mein meri tasveer kaisi lagti hogi !!Jab main sirf main hoti hongi,
Khud se chup chup ke baat krti hongi,
Jab wo mujhe kahin se dekh rha ho aur main iss baat se anjaan rehti hongi,
Najane,
Uske aankhon mein meri tasveer kaisi lagti hogi !!Jab main mulakat ki jagah sirf faasle deti hongi,
Meri barso purani wo tasveer kya usne sambhal ke rakhi hogi !?
Kya aaj bhi wo tasveer uske liye koi maaine rakhti hogi !?
Najane,
Uske aankhon mein meri tasveer ab kaisi lagti hogi !!**************************************
Jab wo mujhe aur main uss chand ko, dekhte honge,
Anjaan hum dono bekhabar iss baat ko sochte honge-
Jab hum saath hote honge,
Khush hote honge,
Sukoon se rehte honge,
Ruthna- manana, narazgiya-naadaniyan aur marziyan-manmaniyan hoti hogi,
Rooh se rooh ki mulakat hoti hogi,
Bina kuch bole bhi baat hoti hogi,
Raaton ko jag ke taare ginte honge,
Din mein so ke sapne dekhte honge,
Hum dono ek hi aasman ke hisse mein baithe honge,
Aur khuda humein dekhta hoga !
Najane,
Uske aankhon mein humari tasveer kaisi lagti hogi !! --Saare rang bikhre honge na !
Najane,
Konse rang bikhre honge,
Jo humari tasveer ko uss Khuda ke aankhon mein basati hogi,
Jise chah ke bhi bhulaya nhi jaa sakta!
Najane,
Uss Khuda ke aankhon mein humari tasveer kaisi lagti hogi !!