Chapter - 4

7 1 0
                                    

Sab kuch bahut aacha chal rha tha meri zindagi me,

Main apni ghar ki wo larki hoon jo beti kamm beta zyada hai..

I mean ghar ke saare kaam karna, bahar ke saare kaam krna everything..

Mere ghar ke jitne bhi MaALE person hai wo job pe jaate hai or ek job hi unlog ke liye bahut bara kaam hai, jise office me full on AC or apne chamber me comfortable chair pe baithna hi unlog ko bahut bara or mahan kaam lagta hai...

Ghar aakar wo aysa feel karate hai jaise kisi construction side pe apne sir pe bricks rakh kar stairs se 10th floor pe jaate hai...

In shot office ke alawa ghar ka koi kaam nhi krte sara kaam mujhe hi krna parta hai..

Jisse mujhe bhi koi problem nhi thi...
_________________________________________

Meri khushi, mere jeena ka sahara or har problems ko paar krne ki himmat mujhe meri AMMA se aati thi..

Meri AMMA or main, hum dono ki bonding bahut aachi thi, wo meri AMMA se zyada meri FRIEND meri CRIME PARTNER thi..

Meri AMMA widow thi but " SHE IS A VERY STRONG PERSONALITY " unka faisla hamesha sahi or satik hota tha..

Unki age Around 55+ thi isliye, isliye main or RANI hi unka khayal rakhte the..

Main, RANI OR AMMA ke saath sote the, kabhi main or kabhi RANI AMMA ko nehlate the...

Hum hamesha AMMA ko freshnup krke unka hair comb krte phir unka basic skin care krte unko kajal lagate or wo hamesha apne ear ring me flower attach krke pehenti thi unke 2 favourite flowers the 1. Jasmin 2. Crepe jasmine ( chandini ), to main har roz unke earing me flower attach krti unki nazar utaarti or ek mast saaree pehna kar jhakas bana deti thi....

Ye mere life ka daily routine tha..

In middle unko kuch health issue bhi hone lage.. Jab doctor ne diagnosed kiya to pata chala unko kidney me issue ho gaya hai...

Jiske wajah se doctor ne unhe precautions lene ko keh diya or bahut saari aysi cheezen thi jo unki favourite thi or wo unko doctor ne kahaane se mana kar diya 😖..

Mango unka favourite fruit hai or doctor ne strictly use kaahe se mana kr diya tha iske wajah se baaki ghar wale mango khaate or AMMA bass unhe dekhti...

Mujhe bahut bad feel hota tha unke liye to maine bhi unka saath dene ke liye MANGO khana band kr diya or ghar walon ko request kiya ki please aap log AMMA ke saamne mangoes nhi khaao..

Jo bhi food items AMMA ko khana mana tha wo maine bhi kahana chor diya. kyuki main khaaon or wo na khaaye ye mujhe tolerate nhi hota tha..

BEYOND THE TEARSWhere stories live. Discover now