🥀Girre hue phool 🥀
Mae bhi ek phool hua krti thi, Aur Aas ye kia krti thi .Ki niyati Aisi mil jaye,
Ek bar prabhu.......apke sharan sparsh ho jaye.Phir ek roz tufaane aaya krti thi,
Aur mujhe zameen pr "giraya" krti thi.Ki chamatkar aisa ho jaye,
Ek bar kisi ka sringhar ban
Apki bss ek jhalak mil jaye.__✨____✨_____✨______✨_____
_______________________________Mujhe lagta hai ki hum sabhi mae se sabse zyada naasib wale ye phool hi toh hai......
Kyu ?Kyuki ye sabhi phool toh hum insaano ki tarah apni puri zindagi khilne ki koshish krte hai aur akhir mae dheko toh inhe ...ye khushnasib toh bhagwan ke gaale ka har baan sukh ka bhog le lete hai . Aur hum inka zariya.
Lekin un phulo ka kya jinhone apni puri zindagi khilne mae laga diya aur phir khuch pal kamzor ho jaane pr "girre" hue phool ho gye ?
Mera sawal ye hai ki , kya bhagwaan unhe apni sharan mae jagah nhi denge ?
Maanna toh ye hai ki ...prabhu apni sharan mae har ek ko lete hai.
Lekin hum insan hi toh hai , jo girre hue phulo ke jarya se badha mae ban jaate hai .
Aur bilkul
Insaan hone ke taur pr , jaane anjaane mae hi sahi inko humdardi bhi dikha dete hai .
Koi inhe apne bhagwan swaroop mata pita ke charno mae rakh deta hai ,
Toh koi apne jeevan se bhi priye sathi ke gale ka haar bana kar pehna deta hai .
Gharo mae roonak laane ka shrey ye le jate hai .
Toh kisi ke baalo mae saaj unki muskane ban jaate hai .
Aakhir mae yhi kahungi ——> " toh kya hua agr tum gira hua phool hue toh ?"
Kahi na kahi aur kisi na kisi roop mae in Girre hue phulo ki tarah tum bhi khushiya dhundh hi looge . Ho sakta hai Bhagwan tumhe bhi unique tarike se apna bana lein.
Samay lagega lekin deri nhi
आप पढ़ रहे हैं
🥀GIRRE HUE PHOOL 🥀
PoésieKuch nhi bas ek jagah ki talaash hai , Mil jaaye toh muskurane ki ek aas hai. Try giving it a read , Maybe you feel the same way ? Disclaimer: all the images and videos used in this book is taken from internet and I don't own any of them. All the...