Teen saal ka safar tha kamaal,
Shararat aur masti thi bemisaal.
Har class mein humara ek drama tha,
Aur har dosti ka apna ek daawa tha.Har period ke baad corridors mein hum ghooma karte the,
Suleman sir ke chilane par hum sab chup ho jaate the.
Shararat koi bhi kare, ilzaam Aijaz par hi aata,
Aur hum sab bas hans kar yeh natak dekhte jaate.Farhina ma'am ka accounting ko A se samjhaana,
Har sawal ko itne pyaar se dimaag mein bithana.
Aur agar hum shararat karein,
Toh Zeba ma'am ka un aankhon se darana. 😅Asiya ma'am ka har baat ko gehraai se samjhaana,
Unke har lecture mein tha ilm ka khazaana.
Yousuf sir ke pehle hi lecture se mind ho jaata fresh,
Unka har dars tha jaise ek nayi subah ka aadesh.Hameed sir ka computers ka gyaan dena,
Har concept ko aasan se aasan tareeke se samjhaana.
Bilqis ma'am ki daant mein chhupa tha ek alag pyaar,
Unka doston jaisa bartao tha hamare liye ek tohfa hamesha tayyar.Wo last bench ka mazaak udaana,
Chhupke se doston ko tang kar jaana.
Lectures mein kabhi na dhyaan diya,
Sirf yaaron ke saath waqt bitaya.Group studies mein kab padhai hui?
Woh toh bas masti ki ek wajah thi.
Records ko aakhri din pr submit karna,
Mehnat ek ki, baaki sab bas copy karna.Aur doston ka wo kehna, "Bhai iss baar toh pakka fail hoon,"
Phir sabse zyada marks le aana, un sab mein machti shor. 😅
Exams se pehle ka wo panic mode,
Aur ussi mein bhi jokes ka overload.Ab sabko shukriya kehna bhi toh banta hai,
Jo humesha humare liye maujood rahe, apni mehnat ka rang dikhate rahe.
Aaya, receptionist, fees collector ya attendance manager,
Sabne apni jagah humare liye asaan banayi, har kaam sambhala.Principal aur lecturers ko bhi shukriya,
Jo har kadam par humein sahi raasta dikhate rahe.
Unki guidance ne banayi yeh safar khaas,
Jo hamesha rahegi hamare dil ke paas.Har pal mein thi yaariyon ki gehraai,
Aur har muskaan mein chhupi thi ladaai.
Aaj jab hum alvida keh rahe hain,
Dil mein yaadein le jaa rahe hain.Kehne ko aaj aakhri mulaqat hai humari,
Par iske baad bhi milte rahenge humari yaari.
Humari dosti, vo masti, vo baatein,
Hamesha dil ke kareeb rahengi ye yaadein.Koi juda toh na hoga, magar sab busy ho jaayenge,
Mulaqat zaroor hogi, par shayad waqt kam ho jaayenge.
Yeh yaadein, yeh lamhe dil mein bas jayengi,
Jab bhi yaad karenge, aankhein zaroor nam ho jaayengi. 💗
YOU ARE READING
Graduation Day Memorial Poem in Roman urdu
PoetryWelcome to my Graduation Day Speech collection! As we come to the end of an unforgettable journey, I wanted to share with you a heartfelt speech that captures the essence of our time together. This speech is a tribute to the laughter, friendships, a...