Fizza kamre mein bathi apne lambe nakhoon par nailpolish laga rhi uske kamre ka darwaza khula " chudail kya kr rhi tum " qasim ne hass kar kaha aur apni bhen k bistar par let gaya " bhai yhi baat na apni biwi ko bolna " fizza ne gurra kar kaha  qasim zor se hassa " acha ji theek hai yeh bhi hojaega par itni saj sawar kyu baithi ho tum " qasim ne fizza ko dekha jisne purple colour ka suit pehena tha full face done and baal khule thae " u-um w-woh toh mai a-aise hi taiyar hojati hun na kabhi kabar acha lagne kliye " usne hass kar kaha qasim ne ankhe squint kri " acha aise hi taiyar hoti ho , pagal ho tum " uski nazar callender par padhi " fizza" usne stren avaz mein kaha " j-ji bhai kya hua "  qasim ne fizza ko dkeha " aaj toh thursday aqilah college  gyi tum kyu yahan baithi ho ?" fizza ne stutter krte hue kaha "b-bhai woh girls problem " qasim chup hogya aur ne sar hilaya usne socha wakai hoga tabhi woh nailpolish laga rhi aur fir  woh utha aur kamre se bahar chala gaya .........


" haider tumhe meri zara si fikr nhi hai maine tumhara kitna intezar kia tum ho ke sunte hi nhi meri koi bhi baat " tuba ne  udas muh se kaha uss ladke ko dekhte hue jisko kisi cheez ki fikr hi nhi thi " toh kaunsa tum meri biwi ho jo fikr krun tumhari"haider ne ankhe roll kari, tuba ne muh fulaya " par biwi toh hongi na tumhari " haider ne usse dekha " ye wahiyat baat kisne krri tusme" tuba ne muskurakar kaha" apki ammi ne aur kisne woh mere ghar rikhta leakr aii thi  na " haider ne muh kuch badbadaya" ek kam kro abhi jao theek hai meri class hoen wali hai im busy" wo uth khada hua aur apne dost k sath bahar chala gaya........harshit zor zor se hasne laga " b-bhai tumahara hha ahaha sahi hai hahahaa aabhi se hi biwi bngyi woh " haider ne usse ghoora " salle muh bandh rkh dimag kharab kr k rkh diya hai usne yarr maine nhi krni usse shadi na mummy ko itni si baat nhi samjh aati " usne gusse se kaha uska dost chup hokar use dkehen laga " ek kam kar bhag kar shadi krle " aur woh hasne laga " han to bhai bhag kr shadi krne k liye bhi toh koi hona chaiye na " haider uske sath hasne laga 


zehra sink k pass khadi bartan dhoo rhi thi shagufta ne usse dekha aur bolaa" suno ladki "zehra mudi aur boli" jii" shagufta ne kaha " dekho aaj haider k hawale se log aarhe toh beta sab dhyan se krna theek hai " zehra ne turant sar hilaya aur fir bartan dhone lagi                                                         munawwar ne apni beti ko dekha aur sochne lagi kash uske pass itne paise hote ki aur apni beti ko ek ache college bhej sake zehra ka khwab tha ki history professor banne par na hi uske pass itne paise bante aur na hi ghar mein kisi se wo mangti woh bhot sharminda hojati toh usne zehra ki shadi ka socha par iss bat bar uski beti bhot naraz hogyi usne ye khwahish zahir krii ki woh tution padaegi aur paise kama legi par taiyyaba ne kahan hamare ghr ki ladkiyan bahar nhi jayengi woh bhi mohalle mein aur na hi koi bacha ghar ayega iss par bhi woh apni beti k liye nhi lad payi woh zehra ko dekh kr boli " tum jao mai kar lungi " zehra ne munawwar ko dekha " mumma mai kr lungi na apko tension kyu ho rhi hai" zehra ne kaha usne heavy chinabone plates ko saf kapde se poch kar kaha, munawwar shant hogyi aur fir boli" bass tumhe kam krte dekh kr mujhe mayusi hoti hai " zehra ne eyes squint krri " kyu bhai kyu hoti hai "  munawwar boli " fizza ya aqilah toh kam nhi krti chalo aqilah tohra hi krti hai par fizza toh hath nhi lagati uske bhai k liye aarhe log usko toh krna chaiye kam ki nhi " zehra hassi


" areeeeee zehra lao lao chai lao jaldi beta " akram ne zor se bola, zehra jaldi se bahar aai tray lekar aur usne sabhi mehman ko salam kiya aur jaldi se waois andar kitchen mein gayi , " bhai aap yaha kya kr rhe apko toh bahar hona chaiye ??" woh confusion mein ahider ko dekh rhi thi joh box se gulab jamun nikal kar kha rha tha " umm bhai mujhe mehman k sath nhi acha lgta hai aur mai inko janta bhi nhi " zehra ne usko confusion se dekah " kya matlab aapko nhi pta ?" haider ne usko munch krte hue dekha" kya nhi pata" " ki woh log apke rishta confirmation k liye aaye hai " haider ki ankhein badi hogyi " k-kya kaha tumne" " jji sahi kaha maine apko nhi pata woh saima khala ki nand ki dusri beti huda se" haider ne ankhe squint krri " woh tuba thi na " zehra en sar ko hilaya " nhi nhi woh badi hai huda choti hai woh darsal tuba k liye unke khalzad bhai ke bete ka rishta aagye unhone uske sath fix krdiya uska aur woh apka huda k sath krna cha rhae " haider ne usko sutff muh k sath shock se dkeha " suno beta ek kam karoge mera tum ice cream khilaunga pkka " zehra ne smile kiya aur pucha " kya krna hai bhai " haider ne smirk kiya aur kaha" bss mere kamre se meri bike ki chabi lee ao zehra ne usse eyes squint krke dekha " kyun ?? apko toh waahan sbke samne hazir hona hai " haider ne eye roll kri " beta jitna bola hai na utna hi kiya kro " zehra ne sar hilaya aur chup chap uske kamrein mein gyi   aur chabi lii aur neeche aagyi "lein apki chabi" haider ne muskurakar uska par thap thapaya " jab roti bana kar tum free hojao na tab ek kam krna bahar aajana theek hai !!" 


" qasim app meri sun rhe hain? " faraz ne qasim ko pout k sath kaha qasim muskuraya usne usske hath thame " han meri jan sun rha hun mai " faraz  muskurai qasim ne dusre hath se apni biwi ka pet seh laya jog 8months pregnant thi woh apni maa k ghar aai thi waha par uski abbu uski 2badi behen aur maa bhi thi beheno ki shadi cousins mein heu toh woh bhi wahin thi  " qasim ye baat fizza se related hai " qasim ne ankhein squint krri " kya matlab kya hai tumhara " faraz thoda hichkichai aur qasim ka hath pakad kr boli " ye k mai jab zeeshan bhai k sath doctor pass gyi thi na maine fizza ko ek ladke k sath dkeha " qasim muskuraya " han hoga koi classmate uss pagal k toh bhot se dost hai " faraz fir bhi serious thi " woh koi student nhi lag rha acha khasa haider se bhi umar se bada lag rha tha " qasim thodi ser shant raha " tum fir tmne usko uske tution teacher k sath dekha hoga " faraz ne usse dekha " hmm  shayad ........ chalein chode in sbko apko pata hai maine firstcry par yye  onsie dkehi thi " wo dono uss baat se dhyan hata kar dusri baat krne lage par andar hi andar qasim ko ajeeb feel hota raha.

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Sep 20 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

RAFIQ~Where stories live. Discover now