part 2

7 1 0
                                    

Apne office mein aakar usne darwaza band kiya aur kursi par baith kar niddhal sa giraa. Magar waqt mazeed zaya nahi kiya ja sakta tha. Ek nazar apni biwi bachon ki tasweeren ko dekha jo mez par rakhe frames mein lagi thin aur phir phone par number milane laga.

Kya hal hai, Haleem? Jaldi hi usne phone uthalia. Main soch hi raha tha ke abhi tak meri subah khushgawar kyun guzr rahi hai? Koi nahusat kyun nahi ghul rahi is mein? Phone karne ka shukriya, Molya. Ab batao kya kaam hai?

Khushgawari mardana awaz kannon se takrai to Molya ki subah mein sare zamane ki nahusat ghul gai. Chehre ke zaviye bigar gaye, magar woh zabt kar ke muskuraaya." Tumhara shukriya ada karne ke liye phone kiya tha."

" Ho hi nahi sakta. Kaam batao."

Woh ab ke rukhai se bola tha. Magar yadarkhna, agle char din mein masroof hon. Jumma ke baad kar sakunga. Ab batao, phir se kya kho diya hai tum ne?

Wahi laptop. Woh becharagi se bola. Woh kaise nikalun?

Kya matlab? Abhi tak nikalaya nahi hai woh? Kamal aadmi ho yar tum. Do ghante pehle report di thi tumhen. Apne char panch security ke bande le kar jate un ke ghar mein ghuste aur nikal kar yeh ja woh ja.

Haalim...Haalim, Khuda ke liye samjho. Molya apne baal nochna chahta tha. Hum corporate sector ke log hain. Gundey badmash... nahi hain. Jitne achhe hamare security officers hain, us se kahi achhe log Tango Kamal ke paas hon ge.

Woh Tango Kamal hai. Ek amir aur taqatwar aadmi. Na hota, tab bhi hum yeh nahi kar sakte, kyun ke laptop Anwar Sahab ki laparwahi se khoya hai. Hume boss ko batae bagair us ko wapas hasil karna chahte hain. Kal subah se pehle.

"Dekho, agar tumhen yeh ghalat fehmi hai ke main Tango Kamal ke ghar ja kar tumhara laptop churaoon ga, to main yeh nahi karne laga, sorry. Haalim chor nahi hai, sirf investigator hai." Woh be-rukhii se bola tha.

Phir main kya karun? Meri naukri chali jaye gi, yaar. Molya ne becharagi se photo frames ko dekha. Office blind ke se chhan kar aati dhoop mein woh mazeed chipakne lagi thin. Tez dhoop. Be-saiban. Us ka dil baithne laga.

Achha, phir kisi chor ko hire karo, woh rat ko chura laye ga. Haalim ne goya naak se makhi urai.

Main karobari aadmi hoon. Kahan janta honga in chor dakooun ko? Tum kuch karo, please. Main man mangi rakm ada karon ga.

Dusri taraf khamaoshi chha gai. Pehle se dugni rakm do ge? Molya jhatke se seedha hua. Chehra khil utha.

"Haan, bilkul." Magar main teen guna loon ga. Molya ne phone ko kan se hata kar ghora phir zabt karte hue dobara kan se lagaaya. "Jo maango ge, doon ga."

"Phir ek kaam karo." Haalim ka lehja ab ke naram pada, jaise usse Molya par taras aaya ho. "Mujhe do dhai ghante do. Main Tango Kamal ke tamam mulazimoon ki profiles tumhen de deta hoon. Un ki salahiyatien aur un ki kamzoriyan. Tum jis mulazim ko behtar samjho, us ke paas ja kar us ko dara dhamka ke ya paise ka laalch de kar us ko khareed lo. Ghar ka bhedi aasani se laptop nikal kar la dega."

Molya ka munh khol gaya. "Yeh sab main karoonga? Matlab... kya tum khud mulazimoon se baat nahi kar sakte?"

"You know, what Molya... tum is qaabil nahi ho ke tumhari madad ki jaye." Ab phone na karna. Khat se phone band ho gaya. Molya ka sar ghoomne laga. Usne deewana war dobara number milaya. "Please, please Haalim, phone uthao... woh ba awaz buland dua kar raha tha."

(Agar boss ko maloom ho gaya, ke saath woh bhi pes jayega. Balkay woh to sadak par aa jayega. Magar Haleem phone nahi utha raha tha.)

Molya ne ghussay aur be-basi se message likha. "Haalim, phone uthao warna main khudkushi kar loonga."

Haalim Where stories live. Discover now