Part -6

2 1 0
                                    

"Hum wardaat ki jagah se chand cheezein hi churate hain, har cheez to nahin utha sakte na, Talia."

' Baat yeh nahin hai. Masla yeh hai ke pichhle saal aisa hi sikka Najib bin Salamat ke paas tha. Us ka box bhi yehi tha. Datin... Datin... Najib bin Salamat hamari wajah se diwaliya ho gaya tha aur us ne apni bahut si art collection ko auction par daal diya tha. Us ka record public ho ga, zara maloom karo yeh sikka us auction mein tha ya nahin?"

"Magar kyun?"

"Kyunkay Tango Kamal aur Najib bin Salamat dost hain aur maine Musar Kamal se suna tha ke jab Najib par bra time aya tha to Tango Kamal ne us ki madad ki thi. Us ki auction se koriyon ke bhaav milne wali cheezein mehengi khareed ke. Kuch paintings aur...
Us ne kaghaz utha ke dekha. "Shayad yehi sikka."
"tumhara matlab hai ke yeh ek jaise bohot sare sikke nahin hain, balkay yeh ek hi sikka hai jo baar baar tumhare khwab mein aata hai?"

"Haan. Mere gyarah khwab... yaani barah, un mein se teen mein yeh sikka tha. Shayad mazeed mein bhi ho, magar us ke saath rakhe jewelry, zevar, paintings aur nadir ashia ne meri aankho ko hamesha itna khaira kar diya ke main ne us ki taraf tawajjah nahin ki."

Woh hairan pareeshan nazar aa rahi thi. "Main is sikke ka record trace karne ki koshish karti hoon, lekin agar tum yeh keh rahe ho ke yeh ek sikka pichhle kai saal se ek shakhs se dusre ki tehweel mein jaa raha hai aur qismat tumhein baar baar khwab mein ishara de rahi hai ke isay hasil karo, to yeh bahut ajeeb baat hai."

"Magar woh sun si khala mein dekhti rahi." "Main hamesha apne khwabon ki tabeer ghalat karti hoon. Kisi ko pani mein doobte dekhoon to samajhti hoon woh marne wala hai, magar kuch din baad maloom hota hai ke us ko koi aali taleemi kamyabi mili hai, kyunkay pani 'ilm' ka symbol hai. Kisi ka zevar chori hota dekhoon to samajhti hoon ke us ke yahn daka padne wala hai, magar us ko talaaq ho jati hai. Aur woh grocery store wali roz meri... maine dekha us ke bazoo mein sona ka naya kada hai, to maine tumhein kaha tha ke woh ameer hone wali hai, magar us ke yahn beta paida hua. Ghareeb woh abhi bhi waisi hi hai."

"Main hamesha apne vision ya khwab ki ghalat tabeer karti hoon, lekin in barah khwabon ke baare mein mujhe yakeen tha ke woh maine sahi samjhe hain, kyunkay unhi ki wajah se hum ameer hue, lekin shayad woh bhi maine ghalat samjhe the. Us ki rangat tareek pad rahi thi. Datin ko afsos hua. Tum kaam par jao, main is sikke ko trace karti hoon."

Us ne us ka sar thapak ke tasalli di, to woh be-dili se uthi aur sar hila diya. Phir thehri. "Main itne saal samajhti rahi hoon ke meri taqdeer mujh se yehi sab kuch chahti hai ke main chori karo. Yeh andekhe ko dekhnay ka tohfa mujhe is liye mila hai, lekin shayad aisa nahin tha. Shayad main ne is tohfe ko ghalat istemaal kiya."

Us ki aankh ka kinara bhig gaya.

"Talia, “Datin ne aage badh ke use shanoon se tham liya. Hum us sikke ko dhoond leinge aur usay hasil bhi kar leinge. Tum fikr na karo. Ab kaam par jao aur mujhe mera kaam karne do.” Talia ne sar uthaya aur gatheli ki peeth se aankhein ragar lein. Usay kaam se der ho rahi thi.

Tango Kamal ki rahaeish gah par subah subah se rozmarah ke kaam shuru ho chuke the. Kitchen mein Talia aur ek dusri mulazima khari kaam mein masroof thin. Butler tray ko apni nigraani mein set kar raha tha aur saath mein phone par baat bhi kar raha tha. Aise mein Talia be-dili se jug mein se juice undel rahi . Chehre pe abhi tk uljhan chai thi. Mare bandhe us ne jug ko tray mein rakh diya aur aage badh gayi. Dining table par Tango Kamal sar barahi kursi par baithay khush mijazi se dain hath pe apni biwi se muho gutfugo kr rhe the. Bacchay bhi nashta kar rahe the. Aise mein woh juice le kar aayi to dono miyan biwi ne khushgawar muskarahat se usay dekha.

“Kaisi hotaTaliya? Aur tumhare ghar walay kaisay hain?”
“Theek hain, sab thank you, sir!” Us ne adab se sar jhukaya.
“Main begum se keh raha tha ke is mah se Talia ki tankhawah barhadi jaye.”

Haalim Where stories live. Discover now