Chapter - 2

753 68 6
                                    

In office

Shubh apne office mein kaam kar raha hota hai lekin baar baar uska dimag Ishu ke subah wale baat par ja raha tha.

Shubh ka to kya Charo bas issi soch mein doobe hue the ki wo log Ishu bagair kaise rahenge woh bhi pure ek hafte tak. Ishu thodi der baat na kar un logo se to charo ke charo pure ghar par utha lete hai. Shubh ke mom dad nahi hai sirf wo tin bhai hi hai. Ishu jab un sab ki zindagi mein aaya tab se wo sab khush rahne lage hai. Ishu Rohit ke liye uske bhai jaisa hai aur Ishu Abhi aur Avik ke liye maa jaisa hai. Bhale hi Abhi usse bas kuchh saal chhota ho lekin phir bhi Ishu Abhi ko maa jaise pyaar karta hai aur Avik ko bhi bachpan se usne hi sambhala hai. Sidha sidha kahe to Ishu ke bina Gill mension mein kuchh nahi ho sakta.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
In college

Abhi college ke campus mein ghum hi raha hota hai tabhi mayank uske paas aata hai lekin abhi usko ignore karke chala jata. Mayu usko follow karte rehta hai aur jab abhi irritate ho jata hai wo usse pucchta hai

Abhi - Tum mera pichha kyu kar rahe ho.

Mayank - main tumse maafi mangne aaya hu. Uss din jab maine tumhe gusse mein kitna kuchh nahi bol diya tha.

Abhi - Maafi to tum mujhse maango hi mat kyuki tumne jo mere bhabhi ko itna hurt Kiya hai na uske baad main kabhi maaf nahi karunga tumhe.

Mayank - Maine jo bhi kaha wo sab sirf gusse mein kaha tha.

Abhi - Gusse mein tum kuchh bhi bologe tumne ek baar bhi nahi socha ki mere bhabhi ko kitna bura laga hoga.

Mayank ke dimag mein uske friend ki baat dimag mein baar baar aa raha tha wo keh raha tha ki Abhi kuchh jyada hi bhabhi bhabhi nahi karta hai kya pta devar aur bhabhi ke rishta ke alawa bhi kuchh aur ho isliye gusse mein mayank abhi ko bol deta hai

Mayank - Kya bhabhi bhabhi karte rahte ho kya wo mujhse better hai kya. Uski figure acchi hai kya mere se jyada kya

Mayank bol hi raha hota hai ki Abhi usko jor ka thappad marta hai aur bolta hai

Abhi - Tum kabhi nahi sudhar sakte aur tum to mere bhabhi ke aage kuchh bhi nahi ho. Mere bhabhi mere maa jaise hai.

Itna keh kar wo waha se chala jata hai. Mayank bas waha rote hue rahta hai.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
In Kholi mension

Virat's dad - Beta maine tumhare liye ladka dekha hai.

Vi - Dad mujhe shadi nahi karni hai maine kitni baar kaha hai aap samjhte kyu nahi hai.

Virat's mom - Beta tumhare dad thik ho to keh rahe hai tumhe dusri shadi kar leni chahiye. Tum uss insaan ke baare mein kyu soch rahe jisne tumhare baare mein ek baar bhi nahi socha.

Vi - Mujhe uss insaan se ab koi fark nahi padta hai. Main bas apni zindagi dobara kharab nahi karna chahta hu shadi karke.

Virat's dad - Ek baar mil to lo ladke se.

Vi - Nahi mujhe kisi se nahi milna hai.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
In Kishan mension

Ishu apne ghar ke ander jaise hi jata hai uske parivar wale usko tightly hug kar lete hai.

Ishu - Are aap log bas bhi kijiye mujhe thoda relax to ho jane dijiye.

Ishan's mom - Sorry beta wo tumhe itne dino baad dekh kar hum excited ho gaye the. Aur waise bhi wo charo to tumhe hamare saath rehne nahi dete hai.

Raj - maa sahi keh rahi hai kitne din baad main tujhe dekh raha hu.

Ishu - Dadu aap to bilkul thik lag rahe ho.

Dadu - Beta main to bilkul thik hu mujhe kya hoga.

Ishan's mom - Isse pehle tu kuchh puchhe main pehle hi bata deti hu ki humne tujhse jhooth bola tha tujhe apne pass bulane ke liye.

Ishu - Maa aap log bhi na ekdum bacchon jaise harkate karte hai.

Ishu phir apne kamre mein chala jata hai fresh hone ke liye. Ishu apne family ke saath time spend kar hi raha hota hai tabhi usko call aata hai charo  ka ye puchhne ke liye agar uske dada ji tabiyat ab thik hai to wo ghar wapas aa jaye. Ishu ye sab sunkar apne mann mein apne sir par haath marta hai. Aur sochta hai ye log kabhi nahi sudhrenge. Jab phone cut jata hai to Ishu ki maa usse phone chhin leti hai aur kehti hai

Ishan's mom - Phone tumhe tab milega jab tum ghar wapas jaoge.

Ishu - Ye kya baat hui. Ye to galat hai maa. Dad samjhai na Maa ko kuchh.

Ishan's dad - Tumhari maa bilkul thik kar rahi hai. Hume bhi to apne bacche ke saath rahne ka mann karta hai. Tum chinta mat karo wo sab chhote bacche nahi hai.

Ishu - Dad kaise na chinta karu main. Wo charo bacche hi hai bad body bara ho gaya hai un sabka.

Ishan's mom - Tu tension mat le.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
In college

Avik - Chachu mere dimag mein ek idea aaya hai jisse hum Maa ke saath reh sakte hai.

Abhi - kya idea hai.

Avik - Maa nahi aa sakte to kya hua lekin hum to Maa ke pass ja sakte hai.

Abhi - Idea bura nahi hai main abhi bhaiya ko call karke kehta hu chalne ke liye.
.
.
.
.
.
.
Charo phir Ishu ke ghar pahuchte hai lekin tab tak raat ho gaya tha. Shubh doorbell bajata hai.

Ishu soya hua tha lekin jab doorbell ki awaaz sunta hai to uska neend tut jata hai wo darwaza kholne ke liye jata hai. Jaise hi wo darwaza kholta hai uske muh se chikh nikal jata hai.

Ishu - Aap log is waqt yaha kya kar rahe hai.

Ishu ke chikh ke wajah se uske ghar wale bhi jag jate hai. Wo log jab charo ko dekhte hai to mann mein sochte saara kiye karye par paani phir gaya. Ye log ab pakka Ishu ko le jayenge.

Ishan's mom - Aap sab Ishu ko lene aaye hai kya.

Rohit - Nahi hum to uske saath yahan rehne aaye hai. Jab Ishu ko wapas jane ka mann hoga tab hi hum jaayenge.

Shubh - Maa aapko koi problem to nahi hai agar hum yaha ruke to.

Ishan's dad - Nahi beta koi dikkat nahi hai tum sab jitna chahe utna din yaha raho lekin Ishu ko mat lekar jao itni jaldi.
.
.
.
.
.
.
Phir Ishu sabko unka room dikha deta hai aur sab so jate hai.














Bye that's it for today

Gill Family Where stories live. Discover now