Ishan's POV
Main jab theatre ke bahar nikla to maine apne bachpan ke friend Akash ko dekha usko dekh kar main itna excited ho gaya tha ki main bina bataye kisiko sidha jakar usko hug kar liya. Usne bhi mujhe hug kiya kyuki hum dono bahut saal baad mil rahe the. Main usse baatein karne laga. Main usse baat karte karte bhool hi gya ki mere saath meri family bhi yaha aayi hai isliye jab main piche mur kar un sab ko bulane hi wala tha ki maine dekha wo log already mere pichhe hi khare the. Aur Shubh Aakas ko bahut gusse mein dekh raha tha aur mujhe pata hai ki shubh jealous feel kar raha hai. Lekin Akash to mera friend hai na phir usse kya jealous feel karna. Raj bhaiya shubh ko Kuchh bata rahe the jise sunkar Shubh aur gusse mein lag raha tha isliye maine Shubh ko awaaz diya. Maine sab ko introduce karwaya Akash se. Sab log pata nahi kyu Akash ko gusse se dekh rahe the.Akash - Ishu tumhari family mujhe gusse mein kyu dekh rahi hai. Tumhare pati ka to samajh aata hai ki wo shayad jealous hoga.
Ishu - Mujhe khud nahi pata kya ho gaya in logo ko.
Raj - Hii Aakash kaisa hai tu. Kitna bada ho gaya hai tu.
Akash - Main thik hu bhaiya.
Shubh - Ishu ko ghar chalne ke liye bolta hai.
Ishu - Thodi der ruko na mujhe Akash se baat karna hai.
Akash - Haa Shubh ruk jao thodi der.
Shubh - Tum mujhe Shubhman bulao Shubh sirf meri family bula sakti hai.
Ishu - Shubh itna rudely baat mat karo Akash. Sorry bolo usse abhi.
Abhi - Bhabhi bhaiya maafi kyu mangenge bhaiya ko to waise bhi pasand nahi ki koi aur unko shubh bole.
Akash - Are koi baat nahi Ishu itna chalta hai. Waise Shubhman tum itna gussa mat karo main tumhare pati ko kahi lekar nahi bhag raha hu. Ishu to mere bhai jaisa hai.
Raj se bardas nahi hota aur hasne lagta hai shubh ko.
Ishu - Bhayia aap aise kyu has rahe hai achanak se.
Raj - Ishu maine shubh ko bola ki tum aur Akash bachpan mein kaafi close the usse aur jealous karne ke liye. Kyuki mujhe maja aa raha tha Shubh ko pareshan karne mein.
Ishu - Kya bhayia aap bhi kya karte hai. Shubh tumhe mujh par bharosa nahi hai.
Shubh - Tum par to main khud se bhi jyada bharosa karta hu lekin dusre ladko par nahi karta hu main.
Abhi - Raj bhaiya aap ko aisa nahi karna chahiye tha kyuki hume bhi bura laga tha sunkar.
Ishu - Tum logo ko kis baat ka bura lag gaya aur tum log Akash ko aise gusse mein kyu dekh rahe the.
Avik - Maa aap apna pura dhyan is uncle ko de rahe the hum par nahi isliye hume gussa aa raha tha.
Akash - Ishu tumhari family to bada over possesive hai tumhare liye. Wait Ishu tumhara itna bada beta kaise.
Ishu - Akash Avik mere Jeth ji ka beta hai. Aur bachpan se maine hi Avik ko sambhala hai isliye wo mujhe maa bulata hai.
Akash - Oo. Waise aap log ko tension lene ki koi jarurat nahi hai main aap sab ki jagah nahi lene wala hu.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
In Kishan's mensionIshu - aap log baccho jaisi harkate kyu kar rahe the Akash ke samne mujhe kitna embrament hua uske samne mein.
Avik - Maa hume pasand nahi ki aap humse jyada kisi aur par dhyan de.
Shubh - Tum uss Akash se dur rahoge.
Ishu - Aap sab se baaton mein main kabhi nahi jeet sakta hu main.
Rohit - Ishu mujhe bhook lagi hai kuchh accha sa bana lo.
Ishu - Thik hai main bana deta hu. Waise aap log kya khana pasand karenge.
Abhi - Mujhe Chhole Bhature khane hai.
Avik - Nahi, Maa mujhe rajma chawal khana hai.
Abhi - Aap chhole banayie.
Avik - Nahi, rajma chawal banega.
Ishu - Bas karo tum dono main dono hi bana dunga. Aur aap tino ko bhi kuchh aur khana hai.
Shubhman - Baby tum jo banoge main wo khalunga.
Ishu chala jata apne kamre mein fresh hone ke liye. Jab wo fresh ho jata hai to wo kitchen mein jata hai to uski maa hoti hai jo kaam kar rahi thi.
Ishu - Maa aap jayie aaram kijiye main ye sab kar lunga.
Ishan ki maa pehle mana Karti hai lekin Ishu ke jidd karne par maan jaati hai. Ishu kitchen kaam kar hi raha hota hai tabhi Avik, Abhi aur Shubh kitchen mein aa jaate hai Ishu ke pass aur bolte hai ki wo aaj Ishu ka help karenge khana banane mein. Ishu hichkicha raha hota hai kyuki usko pata hai agar ye log kitchen mein kaam karna suru karenge to kitchen ko barbaad karke rakh denge. Ishu mana karne hi wala hota hai tabhi Abhi bolta hai
Abhi - Bhaabhi please mana mat kijiyega.
Shubh - Iss baar hum Kuchh bhi gadbad nahi karenge.
Ishu - Thik hai. Shubh aap chawal ko dho lijiye. Abhi tum maida ko goondo Bhature ke liye.
Avik - Maa main kya karu.
Ishu - Tum sabji kaat lo.
.
.
.
.
.
.
.
Thodi der mein hi un logo ne kitchen ko pura barbaad kar rakha tha. Kyuki Ishu bahar gaya tha kaam se. Jab Ishu laut kar aata hai to kitchen ko dekh kar jor se chillata hai kyuki Shubh ke upar aata gira hua tha. Aur Abhi ne maida ko goondane ki jagah usme paani bahut daal diya tha. Avik ne had hi kar di wo pyaaz, tamatar ye sab kaatne ki jagah wo aalo kaat raha tha.Ishu - Main do min ke liye bahar kya gaya. Aap sab ne mere kitchen ko barbaad kar diya. Galti meri hi hai jo maine aap sab par bharosa karke aap logo ko kaam karne diya.
Shubh - Bhaby suno to maine jaan bich kar nahi kiya hai. Wo to main chawal dhoond raha tha ussi ke karan aata mere upar gir gya.
Abhi - Bhabhi galti se maine thoda jyada paani daal diya. Meri isme galti nahi hai kyuki main Shubh bhaiya ko dekhne laga tha.
Ishu - Ho gaya aap sab ka to ab aap sab jaa sakte hai. Mujhe mera kaam karne de.
Shubh - Baby gussa mat ho na please.
Ishu - Aap jaa rahe hai ki nahi abhi ke abhi.
Shubh, Avik aur Abhi tino kitchen se nikal jaate hai dar ke maare. Kyuki Ishu ko apna kitchen bahut pyara hai aur un sab ne Ishu ke kitchen ko hi barbaad kar diya. Thodi der baad Ishu khana banane ke baad aur kitchen saaf karne ke baad sab ko dinner table par bula leta hai. Sab log ekdum shanti se khana kha rahe the kyuki agar wo log abhi ek shabd bhi bolenge to Ishu ko aur gussa aa jayega.
Rohit ko kitchen ke baare mein kuchh nahi pata tha kyuki wo soya hua tha isliye wo Ishu se puchhta hai ki aaj itna shanti kyu hai table par.
Avik abhi ke kaan mein bolta hai Dad to aaj gaye lagta hai kyuki Maa bahut gusse mein lag rahe hai.
Ishu - Mujhse kyun puchh rahe hai aap. Aap in tino se hi khud puchh lijiye.
Rohit chup rehne mein hi apna bhalai samjhta hai isliye wo bhi chup chap khana khane lagta hai lekin hamare shubh ko to Ishu ko ghar lekar jana hai isliye wo Ishu se bolta hai
Shubh - Ishu tumhare dadaji ki tabiyat to bilkul thik hai to ab hume ghar chale jana chahiye.
Ishu Shubh ko gusse se ghurta hai aur Shubh apne mann mein apne aap gaali de raha hota hai ki usne kyu abhi kuchh bola.
Hey sweetheart that's it for today
Bye

YOU ARE READING
Gill Family
RomanceIshan - Aaj hai mere bade devar ji ka birthday aur abhi tak tayari bhi nahi hui hai. Shubh - Ishu tum itne pareshan kyu ho rahe ho sab time per ho jayega.