Chapter - 6

819 68 7
                                    

Ishu ko kishan mansion se aaye hue ek hafta ho gaya hai aur sab abhi gill mansion mein hai. Ishu apne kamre mein soya hua tha tabhi usko pyaas lagta hai isliye wo uthata hai paani pine ke liye tabhi dekhta hai ki paani nahi hai khatam ho gaya hai. Ishu niche jata hai kitchen mein paani lene ke liye. Lekin Ishu dekhta hai ki koi kitchen mein already hai lights off tha isliye wo us person ko dekh nahi paya. Ishu ko laga ki wo chor hai isliye wo flower vase haath mein lekar uske taraf badhne lagta hai lekin tabhi pichhe se koi Ishu ke kandhe par haath rakhta hai Ishu dar jata hai aur jaise hi wo pichhe murta hai to Ishu ke saath saath wo dono person bhi chillane lag jaate hai. Ishu phir shant hota hai aur dekhta hai ki kitchen se chor abhi tak bhaga to nahi hai lekin wo chor abhi tak wahi tha isliye Ishu dobara un dono ki taraf murta hai aur puchhta hai

Ishu - Avik aur Abhi tum dono yaha iss waqt kya kar rahe ho. Maine tum dono ko mana kiya tha na ki der raat tak jagna nahi.

Abhi - Bhabhi hum to yaha ice cream lene aaye the.

Avik - Maa aap aise dar kyu gaye the hume dekh kar.

Ishu - Wo dekho uss taraf kitchen mein koi chor hai.

Abhi - Bhabhi aap pichhe rahiye hum dekh kar aate hai.

Abhi aur Avik aage chal raha hota hai aur Ishu unke pichhe hota hai. Jab wo tino uss person ke kareeb pahuch jaata hai to Abhi aur Avik uss person ko bahut pitne lagte hai. Tabhi Ishu jakar lights on kar deta hai lekin jaise hi Ishu uss insaan ka chehra dekhta hai to wo shocked reh jata hai. Ishu un dono ko chhorne ke liye kehta uss person ko.

Avik - Maa hum chor ko aise kaise chhod sakte hai.

Ishu - Jara tum chehra to dekho jisse tum chor keh rahe ho.

Abhi aur Avik dono uss person ko dekhta hai aur wo dono ek saath bolte hai

Avik and Abhi - Dad,Bhayia aap yaha kya kar rahe hai.

Rohit - Achha dhoya hai tum dono ne apne baap ko aur bhai ko.

Abhi aur Avik dono awkward wali smile karte hai.

Abhi - Bhabhi ne bola ki chor hai ghar mein hume kya pata tha ki aap ho.

Ishu - Waise Bhayia aap yaha choro ki tarah kitchen mein kya kar rahe the.

Ro - Wo main main

Ishu - Main main kya kar rahe hai bhaiya aage bhi boliye.

Ro - Ishu tum mujhe daatoge to nahi na tabhi main bataunga.

Ishu - Main gussa nahi karunga ab batayiye.

Itna awaaz sunkar shubh ka bhi neend khul jaata hai aur wo bhi neeche aa jata hai.

Shubh - Aap sab itna shor kyu macha rahe hai. Chain se mujhe koi sone bhi nahi deta hai.

Abhi shubh ko sara baat bata deta hai jiske karan Shubh ko hasi aa jata hai wo control karne ki koshish karta hai lekin nahi ho pata hai usse. Aur Shubh hasne lagta hai.

Ishu - Shubh bas karo ab Ro bhai ko bolne do.

Ro - Ishu mujhe icecream khane ke bahut mann tha isliye main yaha aaya tha.

Ishu - Bhayia kuchh dino pehle hi aapko itna tez fever tha aur ab aapko icecream khana hai.

Ro - Ishu tumne to bola tha ki tum gussa nhi karoge to ab kyu tum mujhe daat rahe ho.

Ishu - Aapne kaam hi daat sunane wala kiya hai.

Abhi, Shubh aur Avik, Rohit ke haal par has rahe the. Aur Rohit un tino ko gusse se dekh raha tha. Tabhi Avik aur Abhi apne liye icecream lene jaate hai aur Rohit ke saamne khane lagte hai usko chidhane ke liye.

Ro - Ishu agar ye dono mere saamne icecream khayenge to main bhi khaunga.

Ishu - Abhi aur Avik dono abhi ke abhi icecream rakho.

Abhi - Bhabhi please aisa mat kijiye na hamare saath.

Avik - Maa waise bhi hume kon sa fever tha.

Ishu - Koi please nahi rakho chup chap se.

Wo dono bhi rakh dete hai aur Ro ko gusse se dekhne lagta hai. Ro hasne lagta hai lekin phir uska chehra utar jata hai. Dusri taraf humara shubh ab un tino ke haal par has raha hota hai.

Abhi - Has lijiye Bhayia jitna hasna hai aapko abhi. Humara bhi time aayega.

Tino ka utra hua chehra dekh kar Ishu bolta hai

Ishu - Ab bas kijiye aap log aur aisa udaas mat rahiye. Main icecream ki jagah pasta bana deta hu. Sab log maan jaate hai. Thodi der baad Ishu pasta bana kar lata hai aur sab log khane ke baad phir apne apne kamre mein chale jaate hai.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
In morning

Ab un janabo ko uthane mein phir Ishu ko mehnat karna padta hai. Sab log uthne ke baad dinning table par aate hai breakfast ke liye. Aur sab ke sab baccho ki tarah kar rahe hote hai ki Ishu ne un logo ko kyu utha diya unke pyaare neend se.

Ishu - Aap sabko kisne kaha tha raat ko ye sab karne ko. Agar nahi karte to aap log kal jaldi so jaate aur aaj jaldi uth jaate.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
On the other side

Virat ke friend ki tabiyat thik nahi lag raha tha isliye Virat usko hospital lekar jata hai. Aur waha Virat ko dekh kar ek nurse usko rok deti hai.

Nurse - Ek minute rukiye mujhe aapko bahut jaruri baat batana hai.

Vi - Kya batana hai. Boliye main sun raha hu.

Nurse - Aapka baccha jinda hai use kuchh bhi nahi hua hai.

Vi - Ye aap kya keh rahi hai.

Nurse - Main sach bol rahi hu aapke dad ne mujhe paise diye the jhoot bolne ke liye ki aapka bachha mara janm liya hai.

Vi - Main aapke baat par bharosa kyu karu. Aur agar ye sach bhi hai to mujhe aap ab kyu bata rahi hai.

Nurse - Mujhe mere galtiyon ka ehsaas ho gaya hai aur ab to main marne bhi wali hu. Maine tumhare dad ko help karne ke liye bola to unhone mujhe inkaar kar diya help karne se.

Vi - Mera baccha abhi kaha hai. Aapko kuchh pata hai.

Nurse - Tumhare pati ke pass hai tumhara beta.












Hey guys that's it for today

Bye

Gill Family Where stories live. Discover now