Dozakh ki Gardish

232 8 4
                                    

Dushman-aashna-numaa nazar aatey ho,
Tanhai mein bass tum nazar aatey ho,
Jaantey hain bahaa doge harr qatraa zehn se,
Phir bhi dil dene ko tum nazar aatey ho;
Dost'on ne diyay hain fareb itnay,
Sitamgarr tum ab dost nazar aatey ho;
Zyada nahee, bass kuch kadam'on ka nibaana saath,
Dagmagatey ko sahara nazar aatey ho;
Dozaakh mein bhi mill gaya sukoon',
Mujhay dafnaaney waale tum nazar aatey ho;

Dozakh Ki GardishWhere stories live. Discover now