After the reception party ...
Raghav's bedroom...
Pallavi:- looks at her reflection in the mirror.. she has worn a white saree but decked up with all the souvenir of a married woman .
Her inner voice:- yeh kya haal bana rakha hai tune apna ....samjh hi nahi aa raha hai ki tu Mandar ki vidwa hai ya Raghav ki suhagan ...Tere maathe per sindoor aur gale me mangalsutra toh Raghav ke naam ka hai per yeh safed saree toh Mandar ke naam ki hai . Kyu khud ko itna uljha ke rakha hai , tujhe en dono me se koi ek rishta chunna padega ..
P:- Mandar ki suhagan banne ka mujhe mauka nahi mila aur Raghav ki suhagan banne ki meri chaah nahi hai .
IV:- toh phir kyu kari yeh shadi
P:- mai majboor thi isiliye mujhe yeh samjhaute ka rishta karna pada
IV:- per kya saari jindagi tu es samjhaute ke rishte ko nibha paane ki himmat rakhti hai. Kab tak ladti rahegi tu Raghav se ....ek mahina ...do mahina ...6 mahina ya phir ek saal .... Kabhi na kabhi toh tujhe yeh ladai khatam karni hi padegi.
P:- toh mai kya karu ....apni self respect ko aag lagakar Raghav ke sath yeh jabarjasti ki shadi nibhau
IV:- apni self respect ko aag toh tune usi waqt laga di thi jab Raghav ke sath tune pavitra agni ke saat phere liye the. Agar tujhe yeh rishta nibhana hi nahi tha toh nahi karni chahiye thi yeh shadi
P:- us insan ke sath mai kaise rishta nibhau jisne meri izzat ka tamasha bana diya
IV:- toh phir kuch aisa kar jisse ki woh tujhe izzat de
P:- gives a strange look
IV:- jab tune pehli baar shadi kari thi toh kya ummeedein thi teri apne pati se
P:- yahi ki woh mujhe barabari ka haq de , meri izzat kare , mujhe pyaar de
IV:- toh bas ab tujhe yeh koshish karni hai ki Raghav bhi tujhe es shadi me barabari ka haq , izzat aur pyaar de
P:- aisa kabhi nahi ho sakta ...woh insan apni daulat ke nashe me choor hai ...usko dusro ke jazbaaton ki koi parwah nahi hai ..woh sirf apne baare me sochta hai
IV:- kya usme sirf burai hi hai ..achhai kuch bhi nahi ??
P:- kya matlab hai tumhara
IV:- kya tujhme sirf achhai hi hai , bura kuch bhi nahi .. koi bhi insan perfect nahi hota . Haan tujhme 90 achhai hogi toh 10 burai bhi hogi ... aur Raghav me agar 90 burai hogi toh 10 achhai bhi toh hai . Tujhe bas uski un 10 achhaiyon ko itna bada kar dena hai ki jisse uski woh 90 burai chhoti lagne lag jaaye .
Agar tune yeh shadi kari hai , toh ek koshish toh banti hai na ki tu es rishte me khud ke liye izzat , pyaar aur barabari ka darza haasil kar sake . Lekin agar tu koshish hi nahi karegi aur sirf shikayat karti rahegi toh phir tujhe kabhi koi khushi nahi mil payegi . Tu fighter hai Pallavi, tujhe apni khushiyan paane ke liye ladna hoga , aise himmat haar ke nahi baith sakti .