In the hall ..
Jaya:- toh bolo kab ja raha hai tum log honeymoon per aur kahan jayega
Pallavi:- amma honeymoon per jaane ki kya jarurat hai
J:- arey kaiko nahi jarurat hai ...tum dono wahan akela ek sath time spend karega na
P:- amma bhale hi mera aur Raghav ka rishta jud gaya ho magar humare dil abhi bhi nahi jude hai . Hum abhi ek dusre ko sahi se samjhte hi nahi hai , aap ko toh pata hi hai na ki kin haalaaton me yeh shadi huyi hai . Mera maan-na hai ki abhi mujhe aur Raghav ko ek dusre ko samjhne me , humari beech ki misunderstandings clear karne ke liye time chahiye. Jab humare beech sab normal ho jaayega tab hum jarur jayenge honeymoon per. Lekin abhi koi jaldibaazi nahi karni hai . Mai sahi keh rahi ho na Raghav
Raghav:- just nods his head in agreement
LWR:- ab kisko sunaye mai yeh dukhda
Sapna tut-te hi latak gaya hai yeh Chand sa mukhdaJ:- agar tum dono ka yahi merji hai toh theek hai ...lekin honeymoon per jaana jarur
P:- ji amma . Kuch aur du Raghav
R:- nahi
P:- kaisa bana tha khana
R:- achha bana hai
P:- smiles . Chalo ab tum mujhe apni dance academy le chalo .
J:- Raghav ka dance academy bhi hai ?
P:- haan amma aapko pata hai Raghav ki dance academy bhi hai aur Raghav bahut achha bharatnatyam bhi karta hai .
Kirti:- yeh toh hume hamesa se pata hai ki Raghav ko bharatnatyam aata hai ... Amma ne hi toh seekhaya hai
P:- kyaa....amma aapko bhi bharatnatyam aata hai . Es ghar me toh ek se badhkar ek talented log hai . Kirti tumhara bhi koi talent hai toh bata do .
J:- hai na, baatein banane ka aur khane ka
K:- hunhhh 😏 😼
P:- chuckles, chalo Raghav hum chalte hai
R:- hmm
Inside the car ...
P:- waise tumhe bura toh nahi laga ki maine tumse bina puche hi honeymoon ke liye mana kar diya . Woh kya hai ki ab toh hum pati patni hai toh her decision, ek dusre se discuss kar ke lene chahiye na . Per aaj maine tumhara opinion jaane bina hi mana kar diya .
R:- tum jo kiya bilkul sahi kiya
P:- smiles , mai puri koshish karungi ki next time hum dono se juda hua decision mai hamesa tumse discuss karne ke baad hi lu , kyuki jaruri toh nahi hai ki es baar ki tarah tum her baar hi meri baat se agree karo ..
R:- applies brake ... academy aa gaya
P:- toh phir chalte hai ander
R:- hmm .. he walks towards the entrance of the academy & before entering he bends down & touches the doorpost & then keeps his hand on his forehead...just like he always does before entering any temple
P:- looks at him strangely
R:- kya hua
P:- tum toh academy ki chaukhat ke aage matha tek rahe ho ..lagta hai bahut lagaw hai tumhe es academy se
R:- haan , amma ka sapna tha ki woh ek dance school khole . Jab mera paas paisa aaya toh mai yeh academy khola , mai chahta tha ki Amma es academy ka inauguration kare per us waqt amma mera se naraz tha isiliye nahi aaya . Mera liye yeh academy mandir jaisa hai .