Zindagi akhir itni ulghi hui kiyun hai, ye sawaal aj phir us ne apne se poocha tha, pichle derh mahenay (1.5 mnth) se ye sawaal khud se poochna bund hochuka tha. Ek aur tez Hawa ka jhonka jis ne usey hila k rakh diya hai.
Uski ankhon se ek aansoo bhi nhi beh raha tha wo bs poori raat ek intihayi kamzor shakhs ko dekh rahi thi, ye wo shakhs hai jis se mera baap 20 saal se ana aur zid ki jung larr raha tha aur phir achanak us ne apni beti se kaha k ye shakhs tmhara Dada hai, tmhara in se Khoon ka rishta hai, tumhein ink saye k neechey koi anch nhi ayegi or hmary dermiyaan ki dor bht pukhta aur mazzboot hai. Ye sb baatein kehte waqt usk baap ki ankhon mein jo yaqeen aur mohabbat thi wohi yaqeen aur mohabbat usne apne dada ki kamzor aankhon mein dekhi thi magar pooray 5 saal guzrne k baad.
ICU ka derwaza khula aur Zerminay ne aa kr kaha Jao yahan se, ghar chali jao or kohshish kerna k wapis hospital na aao, ye sunte hi wo uthi aur Khuda Hafiz kehti hui ICU k private room se bahir chali gayi.
Wali aur Fara haweli wapis aa gaye or raaste mein unhon ne ek dosre ek baat tk na ki. Gari se utar kr usne Haweli ki tarf jb dekhna shuru kiya tu apne dono waldayn ki baatein usk kanoon mein goonj rahi thi, pehli baar usy mehsoos hua k usk waaldayn ki baaton mein kitna tazaad tha. Wo khoyi khoyi nashte ki table per aayi fresh ho kay, ussey koi hosh nhi tha k wo kiya kha rahi hai. Wali zar gul se kehta hua breakfast table pe aaya tu wo phir zara alert hui.
Wali wo mein ye kehna chahti thi k (nashta khtam krk us ne apne apko mazboot kr k aahista se bola tha), Wali ne uski baat ko bilqul ignore kiya aur zara sakht awaz mein kaha Mein 1 baje hospital jaounga tmhein jana ho tu 1 baje gari k pass aajana. Uski awaaz se saaf mehsoos horha tha k wo FARA se kitna naraaz hai, ghussa hai aur bht dukhi aur tensed hai.
Ye keh kr wo neechay chala gaya. (Ground Floor pe AJ aur Wali k kamray thay aur First floor pe baqi kamrey thay aur subha k 7 bajh rahe thay)
Fara wahan se uthi aur ab uski ankhein numm thi, wo apne kamre mein chali gayi! Wali apne kamrey mein ja kr leta magar pareshani se usey neend nhi aayi, wo utha aur ammi ko phone krna chaha magar phone usk kamrey mein nhi tha, dhondtay huay wo jb uper dinning hall mein pauhncha to phone wahan tha or wo leke jaisey hi mura tu ussey ronay ki awaz aayi.
Wo faurun se murh kr janay laga aur fara k kamrey k qareeb hi pauhnchne wala tha k phir ultay paoun apne kamray ki tarf chul diya! Phir se baychayn dil ne usey majboor kiya k wapis uper jaye aur wo Fara k kamray mein baghair khatka diye dakhil hua.
Kamray ki halat dekh kr kafi pareshan hua, sb pehla hua tha aur ek konay mein fara bethi hui thi sir jhuka k. Wo usk qareeb gaya aur kaha ye tum neechay kiyun bethi ho aur ye kamre ki halat kiya banayi hai? Koi jawaab nhi...
WO jhuka aur dheeray se fara ka kandha hilaya fara ne darr kr apna chehra uthaya tu uski ankhein Laal thi aur aansoo beh rae thay. Kiya Hua Fara?
Wali mein bht buri poti aur beti hoon, mein ne sb ka dil bht dhukhaya hai aur dekho sb mjh se khafa hain per Wali mein unse maafi maang rahi hoon per wo mjhe maaf nhi ker rahe.
Wo zaro qataar ser jhukaye roye ja rahi thi, mein kisi ko takleef nhi dena chahti, WALI sab mjhse door horahein hain, please door na hoon. Iss waqt Fara ne apne apko Wali mein chupaya hua tha, wo uss se mazbooti se lipti hui, roye ja rahi thi aur bus yehi keh rahi thi mjhe maaf kerdo, AJ ko theek kerdo Wali please wali please.Mein AJ ko koi dukh nhi dongi mein waada kerti hoon. Sakht sard hawayein chul rahein thein aur Fara tez bukhaar mein tup rahi thi aur iski waja se wo kaanp rahi thi.
Wali intehayi pareshan, hayraan, ghumgheen tha. uski ankhon se bhi aanso beh rahe thay. Fara bilqul hi toot gayi thi aur Wali ko kch smjh nhi aarha tha k wo us se kiya kahe, bs wo uski kaanpti hui awaaz ko sun rha tha. (Wali ne apni shawl k aadhe hissey ko Fara per daal chuka tha)
Jahan uska dil Fara ki ye halat dekh kr shadeed ghum mein tha aur uska her aanso usey chulni ker raha tha wahin uska Dimagh fara ko jhoota keh raha tha, wo pehle hi fara se bht sakht naraaz tha, uska dimagh baar baar usey keh raha tha k tmhara dil tu fara se badzun ho chuka hai or ye wo larki hai jo apne burhay aur kamzor dada ko 5 saal se azyat de rahi hai.
Is k beraks Wali ka Dil Fara ki sachayi ki gawahi diye ja raha tha, ye hr behta hua ansoo ye sb baatein such hain, aj fara bht kamzor perh gayi hai wo AJ se beintiha mhbbt kerti hai bs nafraton mein ghiri hui thi isi waja se nafrat kerti thi, Fara ka Dil saaf hai.
Dil or Dimagh ki jung larte larte usey mehsoos hua k Fara jaise khamosh hogyi hai, wo kaanp tu rahi thi aur abhi bhi Wali se lipti hui thi, usne jaisey hi neechay dekha tu Fara behosh hogyi thi. us ne fara ko utha ker Bed pe litaya aur doctor ne Fara ko injections diye aur drip lagayi. Pichle 2 din se usne kch nhi khaya tha aur nashte mein bhi kch nhi khaya tha.
Bohat dair se phone bajh raha tha Wali ne uthaya tu Ammi thein. "Wali AJ ki tabiyat thori behtr hai hai beta tm asr ki namaz k baad ajaana. Apni eend poori kerlo...." YE keh kr us ne jb time dekha tu dopeher k 2 bajh rahe thay. Doctor k jaane k baad Wali Fara k sirhaane usk pass hi beth gaya tha Fara k ser pe hath rakha tha or bs isi trhan hi uski aankh lag gayi thi.
Fara k bukhar mein bht kum behtri aayi thi, wo utha or Zar gul ko kaha k fara ki thandi pattiyan kare or khaana bhi khila de.
Namaz Khatam kerne kay baad jb usne dua k liye haath uthaye tu zindagi mein pehli baar uski zabaan se nikli pehli dua FARA k liye thi. Ya ALLAH fara ko theek kerdein or ussey sabr dein. Uski aankhon mein ansoo thay, wo aj Fara ki halat dekh kr bht pareshan hogya tha, dua khatam ki aur tayyar ho k wapis Fara k kamrey mein gaya.
Gumaan ye tha k Fara so rahi hogi mgr wo uth k gir per kr Tayyari ker rahi, Arey Wali bht dair hogyi hai meri waja se bs 2 min do mein aarhi hoon. Wali k dil mein tha k usey roke, usey kahe k uski tabyat theek nhi hai, na jaye wo magar us ne aisa nhi kaha aur wo hospital tak k pooray safar mein bilqul khamosh halank Fara ne ussey baat kerni ki kohshish ki thi...
YOU ARE READING
Fara's BreakDown In the Arms Of Wali!
Fiksi PenggemarRe-creating WaFa Hug Scene....