Part-15

264 25 7
                                    

Pawan Kumar naam tha uska ...!

Comedy ki chalti firti dukaan tha wo, nick name tha "Pappu"

Itna hi bataya tha  usne ,baki to waqt batayega ki kya partner mila hai ..!

Abhi mera dhyan Pappu pe nhi Nafisa pe tha,parso pahuchegi ,pta nhi milegi kab..?

Pappu-"Bhayya ji ,aapne kuch bataya nhi apne baare me..?"

Mai-"yar kuch khaas hai nhi batane ko,ghar pe sab aarmy n policewale hai ,ek mai hi nikmma tha ,to utha ke Delhi patak diya"

Pappu-"gharwalo se naraz lagte hai,kharcha warcha diye nhi kya thik se,chalo koi na ,chalo niche chalke chay sutta marte hai sab thik ho jayega"

Hum niche gye, gate pe security wale se suru ho gya -"to nandu bhai ,yaha akele ho ya bhojai bhi rakhe ho sath ma..??"

Wakai mai namoona mila tha mujhe...

Hamare hostel se thoda aage ek chai ka khokha tha,Khusboo Pan Bhandaar ab ye agle kuch saalon tak hamara adda banne ja raha tha.

Pappu-"to Bhayya ji,kono londiya wondiya fasaye ho ya abhi tak ####$$ ....."

Mai-"are ladki koi machhali thodi hai ,ki chara daala fas gyi"

Pappu-"are bilkul hai Bhayya, kahe nhi hai bas aapke chare aur kaante me jor hona chahiye hihihihihi"

Mai-"..."

Mai bas chupchap smile deke chup ho gya,mai jabarjasti topic me ghusna nhi chahta tha,per use sakoon kaha..?

Pappu-"kya hua sarma bye..?,are bhayya ji pahle hume bhi aise hi lagta tha,fir ek din ek love guru ne hamari life hi badal daali"

Mai-"achha...?"

Pappu-"ha,wo hamre ghar ke pass nadi bhi hai aur talaab bhi,Nadi me machhli pakadne ke liye bahut taam jham chahiye,per talaab me ek kaanta bas, machhli talaab se jaldi fasti hai,khane peene ka jugad jaldi ho jata hai ,bujhe..???

Mai-"mtlb..???"

Pappu-"are bujhe mtlb samjhe kya..??"

Mai-"are Jo pahle gyan diya machhli wala WO samjh nhi aaya"

Pappu-"are simple hai Bhayya ji,jyda standard pe mat jao ,ladki ladki hoti hai talaab ki ho ya nadi ki hihihihihihi"

Bhai abbu ke paise sahi me waste hone wale the,kyuki aisa partner mila tha Jo aate hi chai cigarette aur ladki ke chakkakar me daal raha tha....!

A hated love story . . . !जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें