Aayat. Chapter 6

2.9K 172 310
                                    

❤️Main us k Haathon me tha
Tutay huway Sheeshe ki trha "Faraz",

Bari Umeed thi k bikhrne nhi dega.

Bus giraya kuch is Ada se ,

K Simatne ki Aaas hi na rahi.💔💔

🍁🍁Ahmed faraz 🍁🍁

*~~**~~**~~**~~**~~**~~**~~

"Ami please bhai ko samjhain na ...jub sub jaa rahe hain to main kyun nahi jas sakti....."

Aayat Rehana beghum ka haath thaamtay huway kisi ziddi bachay ki tarha boli.

"Kyun fuzool ki zid kar rahi ho Aayat , ek baar ye baat samajh main nahi aayi tumhain....!..Tum Dubai nahi jao gi!!..aur ye mera aakhri faisla hai. "Aashir ne tv ka remote side main patakh kar Aayat ki taraf gussay main dekhtay huway kaha tha.

Aayat ke second year kay exam khatam ho chukay thay aur kuchh hi mahinon main usay medical ke liye Entry test dena tha. Jis ki tayaari wo Fiest year se hi shuroo kar chuki thi. Aur is wajah se Aayat , uski best friend Rabia aur nki chaar Aur class fellows  , ne Dubai jaanay ka program banaya tha.

Aur is ke liye Wo do dinon se apni ammi aur bhai se apnay jaanay ki permission maang rahi thi par Aashir usay yun akelay dosto'n ke aasray  nahi chhorna chata tha , aur uskay pehli baar poochhnay ke saath hi Aashir ne usay sakhti se manaa kar diya tha. par Aayat abhi bhi apni zid par qaim thi , aur pichhlay ek ghantay se unhain minnatay kar rahi thi. Lekin Aashir apnay faislay se jiun ka tiun honay ka naam nahie le raha tha.

"Main akelay thori jaa rahi hoon... Poora group hoga..aur wesay bhi sirf dus din ka tour hai koyi ek mahinay ke liye thori jaa rahi hoon." Aashir ko ghussay aur naaraazgise dekhtay huway Aayat ne halki awaz main bar-baratay huway kaha aur phir dobaara bheegi ankhon se apni maa ki taraf madad ke liye dekhnay lagi.

Aayat ko rotay dekh Rehana beghum bhi neem raazi ho gayien thien par apni bachi ko is tarhaa paraye mulk akela chhorna unhain sahi nahi lag raha tha , aur phir wo ye bhi jaanti thien ke Aashir ab unki bhi nahien sunay gaa.

lekin doosri taraf Aayat thi jo apni zid se hatne ka naam tak nahi le rahi thi.  Wo  dil hi dil main  Aayat ki un ameer zaadi doston ko bura bhala kehnay lagien jinhon ne Aayat ke dimaag main ye fuzool khayaal daalay thay.

" Aayat..."

Apni ladli behan ko is tarhan rotay dekh ab Aashir ko bhi bura lag raha tha , par wo Aayat ki ye be jaa zid nahi maan skta tha.

Hakli aah bhartay huway Wo sofa se uth kar paas hi khari Aayat ke paas aa gaya. Pehlay Aayat ke ansuon se bheegay chehray ko apnay haathon main bhar kar uska jhuka sar upar kiya , aur apnay angoothon se uskay ansoo ponchtay usay apnay seenay se laga liya.

"Mujhay muaaf kar do Aayat, mujhay tum pe aisay chilla-na nahi chahiye tha"

Aashir ko yum dekh kar Aayat ne ek baar phir koshish karnay ka socha aur Aashir ke seenay se sar utha kar uski taraf maasumiyat aur ilt-jaayi lehzay main boli . "Please bhai ... Mera bohat dil hai whaaan jaanay ka... "

Sazaye  ishq. سزائے عشق  Completed ✔️Where stories live. Discover now