Book 2 , chap 18

1.5K 108 74
                                    

book 2 chap 18

huī hai shaam to āñkhoñ meñ bas gayā phir tū kahāñ gayā hai mire shahr ke musāfir tū

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.




huī hai shaam to āñkhoñ meñ bas gayā phir tū
kahāñ gayā hai mire shahr ke musāfir tū

mirī misāl ki ik naḳhl-e-ḳhushk-e-sahrā huuñ
tirā ḳhayāl ki shāḳh-e-chaman kā taa.ir tū

maiñ jāntā huuñ ki duniyā tujhe badal degī
maiñ māntā huuñ ki aisā nahīñ ba-zāhir tū

hañsī-ḳhushī se bichhaḌ jā agar bichhaḌnā hai
ye har maqām pe kyā sochtā hai āḳhir tū

fazā udaas hai rut muzmahil hai maiñ chup huuñ
jo ho sake to chalā aa kisī kī ḳhātir tū

'farāz' tū ne use mushkiloñ meñ Daal diyā
zamāna sāhab-e-zar aur sirf shā.er tū

            AHMED FARAZ

💗💗💗💗💗💗💗💗💗💗

Wo dekh sakta tha ke Aayat ke qadam dagmaga rahay hain, wo dekh sakta tha ke  uski aankhain hosh ki dunya se ghaafil ho rahien hain, aur isi liye usnay har cheez bhula kar usay thaamna chaaha. Par Aayat ke usay is tarhaan khud se door dhakailnay se Mateen ke dil ko thais lagi thi.

Par usay is baaray main mazeed kuchh sochnay ka waqt bhi nahien mila tha ke uski aankhon ke saamnay Aayat ki aankhain bund huwien aur wo Zameen par girnay hi waali thi ke Us ne ek lumhay ki bhi dair kiye bagair ek qadam main hi usay apnay baazuain main thaam liya tha.

Usay is tarhaan behosh dekh Mateen ki saans atak gayi .  apna har dard aur takleef bhool kar wo  Aayat ki khairiyat ke liye pareshan ho gaya. Wo ek gurya ki tarhaan uski baahon main jhool rahi thi. Aur Mateen uski taraf heraangi o fikar mandi se dekhta raha.

us  ne apna doosra baazu uski kamar se hataya aur uskay zard gaal par thapaktay uska naam letee usay hosh main laane laga. Par Aayat phir bhi hosh main na aayi.

Mateen ne usay apni baahon main utha liya aur phoolon se sajay bed par lita diya.

Wo khud bhi uskay barabar beth gaya, aur phir se uska naam letay huway usay uthaanay ki koshish karnay laga. par Aayat hunooz wesi hi behosh rahi.

Uskay gaalon par aansoo sookh kar nishaan chhor gaye thay. Aur aankhain sooj ke surkhi maayil ho gayi thien. Mateen ko samajh nahien aa raha tha ke wo ab kya karay ,,kisi ki madad le ya phir Aayat ko isi haalat main chhor de.

Par usay dar tha ke kahien ye behoshi uski sehat ke liye nuqsaan daa na ho.

" Aayat please hosh main aa jao.. utho mujh se laro , mujhay bura bhalaa kaho , par please kuchh to bolo...!.." Wo bebasi se bola.

aankhain Aayat ke chehray par jami huwien thien. Agar uski chalti saanson ko nazar andaaz kar liya jaaye to wo ek laash ki tarhaan lag rahi thi . Mateen ne uskay sard hotay haath ko apnay haathon main liya aur apni aankhon ko kucch pal ke liye moond liya.

Sazaye  ishq. سزائے عشق  Completed ✔️Where stories live. Discover now