Mere Pyaare Buddu
Kaise ho… Waise muje Lagta to nahi ha ke tum muje yaad karte hoge. Lakin Tume Yaad karne ke Alawa Mere pass kuch bi nahi ha. To sochte hu ke apne kaam ko apne Zimmedari samaj ke Pura karte rahu. Yeh Alag baat ha ke tum apne Zimmedari se Bhagte rehte ho… jaise tumare Purane Adat ha.
Apne Adat Badlo Samje Mere Buddu warna Bahoot pajtaoge. Ha ha Muje Pata ha Tume Gussa a raha ha ke mein tume Buddu Bolte ho. Ab tum ho he Buddu mein Kya kar sakte ho. Tum Kitna Chirte te they na Jab mein Tume Buddu Bolte te.
Dekho Zoya Muje Buddu na Bola Karo mein Buddu nahi hu. Accha Tum Buddu nahi ho to fir kya ho. Zara Hum bhi sune kis naam se nawaza ha aap ne apne aap ko. Haii Kasam se Gusse me hume tum pe aur Zayda Pyaar ata ha. Dil karta ha hum tume Gulab Jamun Bana kar Kha jaye.
Tum They he Buddu. Pehle Nazar me Tum mere pyaar ko Samaje he nahi te, Hazar Cheher Tume Nazar ate te lakin mere Chehra Tume kahe dekhta he nahi ta. School me Sub se baat karne ka Waqt ta lakin Muje se Haal chal tak Nahi Puchte te. Aur yaad ha wo larki wo Peechay ke bench me Beth te the Uska naam ta Aanchal uska Tiffin Tum kitne maze se Khate te.. lakin Roz Mein Tumare Liye ek Pratha Zayda late te is Umeed pe aaj Tum mere pass ake mere Saat Khana Kahoge.. lakin Tum Kabhi nahi aye …Aur Jab wo Paratha Bach jata ta tume Pata ha Kitne daat parte te Ghar pe.. Agar tuje Khana nahi hota to leke kiu jate ha Yeh Risq ha is ke Izzat karna Seekh, Agar Ab nahi sekege to kya Sasural mein Naak Katayege. Kasam se Mere Ammi ke Lecture.. Mare Dar ke mein Zabardarti uske Khate te. Lakin Tume kya pata Tum the he Buddu
Bahoot Himmat karke mene Faisla kiya ke aaj mein apne Pyaar ka Izhar tume se kar he dunge…Jo Boj dil pe ha use lekar Jena ab Muskil hogaya ta.. Raat Bhar Jag ke Tume mene Khat likha aur use me har wo baat likhe jo mein tum se kehna Chahte te. Aaj ke Raat Kuch Zayda he lambi lag rahe te. Aanko mein bus Subha ka Intezar ta. Raat aur subha ke bech har Peher ko mene apne aakho se Guzrta hua dekha ta. Khat ko Apne Seene se laga ke Dil-o- demag par tume Hukumat deke apne Khirki par mene Pura raat Guzar de. Subha kuch Zayda he Gabrahat Bhari te, Theek se mene Nasta bhi nahi Kiya ta. Jaldi se apne Bag Utha ke mein School Nikal gaye… Aanke tumare intezar me Bechaye hue te. Na kisi se baat karne ka man ta bus Tumara Intezar ta.. Lakin tum ho he Buddu.. Kiu nahi aye aaj.. kiu… Tum bhi na.. ab mein Kya bolo kiu tum…. Jane do
Bebas Chere pe Udasi ke Parchaye saaf nazar a rahe te. Muh Dhoya Acche se take Gharwalo ko Shaq na ho. Warna uske Sawalo ka Samna mein nahi kar pate. Ghar par ane bad Mein Apne Kamre me Chale gaye. Apne Bistar pe let kar Bahoot der tak Chat ke Taraf dekhte rahe aur apne Demag ko Sawalo aur jawabo ke beech gher liya. Ajeeb Kashmakash ka lamha ta khud he sawal aur khud he jawab. Socha ke Kya mein theek kar rahe ho wo larka mere Liye theek ha. Mere itne bada faisla me koi saat nahi ha. Soch rahe hu ke Ammi ko Bata du lakin Dar lagta ha wo Naraz hojayenge Yaken Khatam ho jaye ga unka mere Upar se. Yeh Faisla Muje Khud he karna ta aur wo bhi akele. Ek raat aur Guzarne the aur fir ek aur Subha ka Intezar mano jaise kisi qaide ko subha rehaye mile wale ha aur wo raat uspe Bhari ha.
Subha dekha to Class room me Nawab Shahab Pehle se Mojud te. Kas ke apne Haato ke Mutthi ko Band Kiya aur kaha ke Muje Tum se Baat karne ha. Kya Tum mere saat Bahar a sakte ho. Humare school ke Peecay ek sport ground tha waha bethene ke liye pattar ke kuch Bench te. Hum Wahe ja ke Beth gaye. Aur mene apne Bade hosle se tum se kaha ke yeh Khat Paro aur muje abhi Jawab do. In do raato me mere andar sabar aur Intezar karne ke taqat tooth gaye te. Ab Muje Jawab Chahye ta.. shayd Jawab bhi mere Marzi ka.
Kehte ha Jab Koi larki kisi larkey ke saat Pyaar ka Izhar karte ha to Larka Kuch zayda he Itla jata ha. Shayd Use lagta ha duniya ke Sare Khubi sirf Mujh me ha. Jis ka use Khud pata na ho. Aisa he reaction Kuch ap ne bhi Diya ta. Kiuke Tum Buddu jo te. Wo alag baat ha ap ne jawab Mere Marzi ka diya ha.
Lakin Tum ne yeh kya kiya. Mene Kabhi Soch bhi na ta ke Tum aisa kar sakte ho.. wo bhi mere saat. Tum ne aisa karne se pehle ek baar bhi nahi socha ke mera kya hoga.. Kya tym wakai itne Khudgarz ho.. . Mere Khat ko Istehar Bana ke Tum ne apne dosto ko dekhaya.Kiu tum ne aisa kiya. Tume pata ha Pure School ne mera Mazak Bana diya ta… wo Mehez ek Khat nahi ta balke Mere Har lafz me Chupe hue Jasabt te jo ek 16 saal ke Larki ne tume likhe te bahoot Sacchai ke saat. Kya mein Ghalat te ya Mera Faisla Ghalat ta.. Itne Bare Saza muje tum ne de te. Wo bi sirf Is liye ke mene Tum se Pyaar kiya aur us ka Izhar kiya.. Apne Kam umar me us dard ko mene apne seene me ek nezey ke tarha utra ta. Dar ta muje kahe mere Ghar pe Baat na Pata Chal jaye. Us raat apne Bistar pe Mein raat Bhar roye. School ke Har Bacche ke Hasi me apne kano me mehsus kar rahe te.
Subha ek dari se sehmi se Larki Khare te Jise har negahe ek teer ke tarha lag rahe te. Wo Saza mehsus kar rahe te jis ke wo Haqdar bhi nahi te. Dare Dare Pao se Negahe neechay karke Agey bar rahe te. Tabi tum samne agaye. Mein Soch nahi pa rahe te ke Tum se kya Bolo. Tume dekh ke mere aanko me Aansu Bhar aye te… shyad mere aansu he bahoot ke mere dard ko bayan karne ke liye… Bejan buth ke tarha samne Khare te tumare. Mein Mar he jate agar tum yeh na Kehte ke.. Muje Maaf karo Zoya. Mein Bhul gaya ta ke ek larki ke kya Jasbat hote ha. Apne aap ko dosto ke samne Mahan Sabit karne ke liye jo mene kadam Uthaya wo Ghalat ta. Muje tumare Jasbato ke Kadar karne Chahye te na ke unke saat khilvar karna ta. Mein har Saza ke liye Tyaar hu.. Tumare In baato ne mere Gusse aur Narazgi ke jami Barf ko Piglane pe majboor kar diya ta… Aur Pigalte bhi kiu nahi kiuke mein ek larki jo te..
Humare Pyaar Pure Tarha Parwaz char chuka ta. Mera laya hua Zayda Paratha ab muje Nahi Khana parta ta.. Tumare aanko me mein apne aap ko kuch zayda Khas Mehsus karte te. Roz subha Tum se Milne ke Chahat muje Chain se soone nahi dete te. Har Kitab mein tumara Tasvvur karte te. Chehre pe hasi aur aanko me Chamak ab mere Gharwalo ko bhi Mehsus hone lage te. Yeh wo Badlava a raha ta jo Har Gharwalo ke liye ek Pareshani ka Sabab ta. Jasus ke tarha unhone mujh pe nazar rakhne Shuru kar de. Aur mein Nadan Mujrim apne Jurm ko Chupane me nakambyab Sabit hue.
Kaun Kaun se wastey nahi diye gaye muje… kaun kaun se Raste nahi apnaye gharwalo ne muje tum se alag karne ke liye. Jab mene yeh Suna ke Wo muje kahe aur Bej rahe ha mere agey ke studies ke liye yeh baat batane ke liye mene Jab tum ko Chup chap Phone karke Batana Chaha to wo bhi nai kar pa rahe te. Har Taraf Andhera aur Bebasi te. Ek raat Jab mere Mummy Papa mere Mama ke Ghar gaye to Chup Chap me Ghar se Nikal kar tumare ghar tak agaye. Itne Dino bad tume dekh ke mera Man Bhar agaya ta. Na jane kab mein Apne Jasbato ke agey Har gaye aur tumare Baaho me mein apne ap ko mehfuz Mehsus karne lage. Har Khauf aur Dar ko mein Peechay Chor aye ta. Tumare Nasdekiya muje har shart aur har Dairo ko torne pe majbur kar rahe te. Lagta ta ke Zindigi ab Itne he Khubsoorat hojaye jaise ab ha. Wo Kuch Aise pal te jine mene apne Zindigi me Kabhi Mehsus nahi kiye.
Tumare is Wade pe mein apne Ghar Laut aye ke tum Muje apne saat bahoot jald Le jaoge. Tumare Is wade ko haqeqt me badalta dekne ke liye mere aanko ne Khwab Bunna shuru kar diye te… Lakin muje kya pata ta mere Khusi mein ek toofan ana ta jiska muje Humesha ke tarha Akele he samna karna ta.. Wo Tufan jo mere chote se Duniya he badal dega..
Achanak muje pata chalta ha ke mein unbeyahe Maa Banne wali hu.
Mene jab tum ko phone karke bataya to Tumare Khamoshi ne mere har sawal ka jawab de diya ta. Mein Akele Par chuki te. Ruswayi ka Dard, maa baap ke Izzat, Bahoot Kuch cheezo ka Samna karna ta. Jis ke liye mein akele Tyaar nahi te.. Achanak socha ke Mein Abortion karva lu. Apne ap ko pure tarha Tyaar kar liya ta mene. Lakin fir socha ke Mein itne Khudgarz nahi hosakte ke apne ghalti chupane ke liye apne Bacche ka gala Got du…. Apne Bacche ke Qatal ka Ilzam leke mein Pure Zindigi nahi jee sakte te Bahoot sakth Imtehan ta wo mere is raaz ka Koi razdar bhi na ta jis se mein apne dard Bayan kar sakte…
Lakin is sub sawalo ke Beech ek aise Cheez te jo Zindigi bhar muje Muskil lagte te.. aur wo aaj Muje utne he Asan Lag lage. Wo te KHUDKHUSI.
Mere Pyaare Buddu. Mere Andar yeh Himmat nai te ke mein apne bacche ko ek maut se Battar Zindigi du. Kash mein usko uske Papa ka naam de pati… usko ek Khubsoort bachpan dete. Usko wo himmat dete jo Mujh me nahi te. Kash mein Apne Bacche ko bata pati ke Kamjor lamho me Behek kar koi ghalat kadam na utha lena. Muje pata ha Maut har pareshani ke Dawa nahi ha.. lakin Kisi apne ke Bewafai laelaj hote ha... Jab tak yeh Khat tumare pass pauchega mein Tumare Pauch se bahoot dur ja chuki honge. Zinda Rehte to har pal ek naye maut marte rehte. Kash tum yeh Samaj pate ke ek larki hona Kitne Muskil ha. Aur Kitne Muskil ha ek Kacchi umar me Maa banna.