An Unexpected Incident

6 1 0
                                    

Kuch din bad exam bhi katam hone hi wala tha...lekin!!!!
.
.
.
.
Yesa ho jayega kisiko bhi nhi pata tha.Ek dum se sabko ek bada sa jhatka laga...
Jis ladki ke sath hum log acha time spend kiye the..jo ek achi friend thi woh yesa kuch karegi...abhi bhi agar uss bare me sochti hun to mujhe ek dum se sock lagta he...
.
.
.
Aap log bhi janna chate honge ki yesa kya hogaya tha???Kyun mene iss story ka title Broken Trust rakkha he!!!
.......
.
.
Mathematics ka exam khatam hua..Acha gaya tha paper.
.
.
Sonali hum logon ke sath hi thi. Phir 2 din ke baad aur ek exam ka paper tha to hum log soche ki chalo bahar hi lunch karlenge phir baad me apne apne ghar jake dusre paper ki teyari karenge.

Lunch complete hoga. Sab apne apne ghar jane ke liye nikala pade. Sonali jo he woh Rasmi ko boli mujhe aj Chachaji ke yahan drop kar dena kyun ki mummy papa ghar pe nhi he woh nanaji ke ghar gaye hen..kal ayenge..to aj me Chachaji ke ghar jaungi.

Thik he chal me tujhe Chachaji ke ghar pe drop kar dungi tu tension mat le..
.
.
Exam preparation going on.....
.
.
(On the day of exam for 2nd paper)
Hum log exam hall me pahunch gaye..thodi der ke baad exam start hone wala tha. Par sonali ka kuch pata nhi.woh nhi aai thi exam dene ke liye.
.
Exam acha gaya tha sabka..
.
.
Rasmi tujhe pata he kya sonali kyun nhi ayi he exam ke liye. kya hua he tumhe kuch boli he kya?
.
Uski tabiyat to sahi he na..Aunty ko kuch hua to nhi he na???
.
.
Rasmi ko bhi kuch pata nhi tha..Hum log phir sonali ko call kiye..

Chachaji call recieve kiye aur bole sonali apne ghar chali gai he kal se aur phone jo he woh yahan bhul gai he. Aj shaam ko ake le jayegi. Hum log aur kuch unse puche usse pehle hi unhone call cut kar diye the..

Hum logon ko kuch ajib sa laga.

Raat ko sonali ka call aya tha rasmi ko. Kya hua tu exam dene ke liye kyun nhi aai thi? Tabiyat to sahi he na teri? Aunty ka tabiyat kyesa he kuch tension wali baat to nhi he na? Tu kuch bol kyun nhi rahi he tujhe kuch puch rahi hun na...

Mummy ki tabiyat sahi he kuch nhi hua he..Mujhe fever hogaya he aur me exam dene ke layak me bhi nhi hun..abhi dawai li thi..
.
.
.
Woh exam dene ke liye nhi aai..aur hamara 4th paper bhi complete hogaya tha..

Last paper ki teyari chal rahi thi..

(On the last exam day)

Hum log apne paper ache se de ke hall se nikal rahe the..Soche ki chalo last time liye ek chota sa party arrange karenge aur sonalli ko bhi bulayenge..
.
.
Party tha 2 din ke baad..
Sab koi party me present tha bas ek sonali ko chod ke..
.
.
Rasmi call ki sonali ko..

Tring...

Tring..

Tring....

Tring....

Koi response nhi mila...
Phir kuch time ke baad sonali ki call ai.. Sunna me jina nhi chati hun me achi beti nhi ban pai na achi behen aur na achi dost.

Tu yese kyun bol rahi he kya hua he..mummy ko phone de mujhe aunty se baat karni he?(Rasmi)

(Sonali) Tum ye baat kisiko bhi nhi batayegi mujhe promise kar.Mere pass aur kuch option nhi he ye karne ke alwa. Me kisi ko muh dikha ne ke layak nhi bachi..

Phir phone disconnect hogaya aur switched off.

Subha hua to hum log uske ghar me gaye aur aunty ko sonali ke baare me puchne lage..Aunty bole sonali mujhe patry me jane ke liye bolke ghar se nikli thi kal raat. Phone switched off he isiliye mujhe laga ki sayad woh tum logon ke saath hogi. Woh abhi tak ghar wapas nhi ai he..

Woh tum logon ke sath nhi he kya? Hua kya he tum log kya chupa rahe ho mujhe?(sonali ki mummy)

.
.
.
Aunty woh hum logon ke sath nhi thi..kal raat ko uska call aya tha aur phir switched off .. isiliye aj hum log subha subha aye he ki kya hua he jaane ke liye..

.
.
Sab koi tense me he...
.
.
.

Sonali ghar pe bhi nhi thi aur na hi uski phone me call karna possible tha...

Hum log police complain kiye.. usse dhundne ke liye nikal pade..
.
.
(Around morning 10:00)

Pass me ek railway track tha..jo ki humare collage aur sonali ke ghar se thoda najdik tha..
.
.
Sonali!!!!! Ye kya kardi tumne.. me aur rasmi !!!!!!
.
.
Hum log call kiye police ko aur sab koi wahan agaya..
Hum logon ko pata nhi tha ki yesa kuch ho jayega..

Pass me ek dairy mili..

Me diary uthai aur padhne lagi..(Sonali har kuch apne diary me likhti thi. Woh kabhi kisi ko usse chune nhi deti thi..)
.
.
.
Diary me kuch yesa likha tha jo hum log sapne me bhi nhi soche the...

आप प्रकाशित भागों के अंत तक पहुँच चुके हैं।

⏰ पिछला अद्यतन: Feb 23 ⏰

नए भागों की सूचना पाने के लिए इस कहानी को अपनी लाइब्रेरी में जोड़ें!

Broken Trust???जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें