"Zindagi Tasveer bhi hai aur Taqdeer bhi...
Farq to sirf Rango ka hai,
Mann Chahe Rango se Bane to Tasvir,
Aur,
Anjaane Rango se Bane to Taqdir.""Meri Taqdeer k Panne aaj berang the...
Muze Pata nahi tha aake kya hoga
but
ek umeed abhi bhi thi.... "
.
.
.
Mai abhi bhi canteen Mai tha,
Usike bare Mai soch raha tha...
Udaas sa...
Aur Usi udasi ko Maine khushi k rumaal se dhak diya,
aur lecture Mai chala gaya..." Aap kitni bhi koshish karlo khud ko sambhalne ki!!!
Par jab ek tarfa pyaar tut jata hai na,
tab naa hi chehre pe hasi aati hai
na aankhon Mai aansu...
Tute huye sapno k bokhalaye tufaan ko andar hi andar chup karana padta hai...
Agar koi puchhe ki kaise ho?
Toh muskurake jawab bhi Dena padta hai ki accha hoon ...
Ladka hona easy nahi hai...
Hum Utne hi sensitive hote hai jitni ki ladkiya...
Hume bhi Dard hota hai,
Bas farak ek hi hai
ki hum Apne aansu kisi ko dikha nahi sakte... "
.
.
.
Mai Usi khayalon Mai chalte chalte mere class k andar aya..
ab Mai fir se surprise tha!
kyunki mera koi friend aaj lecture Mai nahi tha...
" Vaise Aaj unki jyada jarurat thi muze... Sahara Dene k liye... "Mai andar Aya aur seedha last bench pe jaake baith gaya...
Vaha Sabhi meri pehchan wale toh the,
Par aaj mere best friends sath nahi the toh Sabhi chehre ajnabee se lag rahe the...
Aaj akele hi muze is gum k samundar Mai tair k kinare tak Jana tha...Lectures khatam huye,
sab students Ghar jaane lage...
Mai bhi ek ek karke apni books bag Mai dalne laga...
Muze yaad tha aditi ne college k baad bulaya hai help karne k liye...
Mai Jana toh nahi chahata tha,
But use na bhi kaise bolta...?Mai college ki seediyaan utar k neeche aa gaya,
aur college k campus mai ek garden tha
Vaha jaane laga...
Aditi ne muze yahi bulaya tha...Mai jaise jaise kareeb pohch raha tha, mera dill aur baichen sa ho raha tha...
Socha use Bata Doon ki Mai aaj use madat nahi Kar sakta!
But tabhi,
Vaha trees k peeche se kuch balloons udte huye muze dikhe...
Muze kuch samaz nahi aya isliye
Mai aur aage Jane laga Taki muze Pata chale ki vo kaha se aa rahe hai...
Aur tabhi Mai chalte chalte Ruk gaya...
us paid k neeche ek bada sa birthday cake tha
Aur mere sare friends....
Aur fir Vo sab
Muze dekh k
Gaane lage....
"happy birth day to you.... "Aisa surprise muze pehali baar mil raha tha...
Vaha Aditi bhi thi, meri taraf dekh k hasne lagi...
Aur mere sare friends bhi has rahe the...
Vaise ye Plan unhone hi banaya tha! (laugh)Ekdam se mera mood change ho gaya.
Kuch pal pehele udaas Mai,
Ab bohot khush tha...
Usi khushi Mai,
Maine cake cut Kiya,
aur baari baari sab ko khilaya...
"ha Aditi ko bhi "(blush)Thodi Der baad Maine notice Kiya,
vo canteen Wala ladka!
Ha ha uska boyfriend,
Vo bhi vahi tha!!
Inside me:-(" Ab ye kya Kar raha hai yaha ")
Aditi k baju Mai bada chipak k khada tha(huh)
.
.Der ho Rahi thi, toh sab muze gifts dekar Ghar ja rahe the,
Aur aditi, Mai aur uska vo boyfriend (huh)
Hum teeno baaten Kar rahe the
" Vaise muze us ladke se baat Karni nahi thi, but kya kare formality!!! ".
Mai soch raha tha unhe akela chhod du
But tabhi us ladke ne kaha
.
.
.
" chalo didi Mai chalta hoon, muze bahar bhi Jana hai "!
.
.
.
Wait, what???
Usne didi kaha????
Inside me :- (" ye kya chal raha hai twist pe twist ")
Ab Mai khud confuse tha, samaz nahi aa raha tha ki kispe bharosa Karu...
Vo ladka chala gaya...
Aur time waste kiye Bina
Maine aditi se puchha
Me:- vo tumhara bhai hai???? "
She:- nahi! Bhai jaisa hai mere apartment Mai rehta hai!!! ( apna mobile purse mai rakhte huye usne kaha)
Me :- toh tumne muze kyu Bola ki vo tumhara boyfriend hai(Mai uski taraf bechaini se dekh raha tha)
She:- Maine bas kaha tha ki vo friend se badhkar hai...
Yahi fir Maine zooth kaha hoga,
Ya fir tumne kuch galat suna hoga!"Ye Sunkar Aaj muze pehli baar ehasaas hua ki ladkiyonko samzna aasan nahi hai...!
Vaise Usne muzse zooth toh Bola tha
Par ye zooth muze accha laga... "Sab chale gaye the garden Mai bas hum dono hi the...
Vo akeli thi isliye Mai uske sath chala gaya use Ghar tak chhodne...!
Hum chalte chalte baaten karte uske Ghar k taraf jane lage...
Vaise uska ghar jyada door nahi tha!
Baaton baaton Mai usne bataya,
Uska ek boyfriend tha, but dono ka breakup ho gaya
Wajah thi loyalty ki,
ladke ki aur bhi girlfriends thi...
"Yaha wahi hua jo hamesha se hote aa raha hai
Ek acchi ladki ko ek bura ladka mila
Aur badnaam saare ladke ho gaye... "
.
.
.
ab hum hum lagbhag uske Ghar k pass aa gaye the.
uske apartment k gate k samne hum Ruk Kar baate Karne lage...!
Maine baaton baaton Mai use date k liye puchh hi liya
Usne muze dekha...
Muskurayi...
Usne mere haath Mai Mera birthday gift thama diya Aur vo firse muze happy birthday kehkar chali gayi...
.
.
.
Sooraj doob raha tha aur Mai use gate k bahar se dekh raha tha
Thodi door jaake vo peeche mudti aur muskurake k apartment Mai chali gayi
.
.
.
Maine usne diya vo gift open Kiya
.
.
.
Us Mai
.
.
.
.Ek letter tha...
.
.To be continue...
YOU ARE READING
LOST IN PAST
Romanceromantic comedy which is inspired by true incidence © written by Sanju Gawade