Lost In Past :Chapter 2: TRUTH AND DARE

133 12 6
                                    

"Toh last chapter Mai apne is story ki heroine ko dekha..
..
.
.
ha wahi wali jisne hug Kiya tha...
Hamare college ki brown eyes wali ladki.
Vaise uski ankhen poori bhi brown nahi hai...
Beech Mai thodi thodi black bhi hai...".
.
.
.
khubsurti k mamle Mai vo bhi kuch Kam nahi thi...
Halke se sunehare baal, gulab ki pankhudiyo ki Tarah gulabi hoth jinpe hamesha muskurahat rehti thi...
Ankhon Mai halka sa kajal lagati thi...
Vo jyada fashionable clothes toh pehna nahi karti,
par chehre ko Chand ki Tarah aur julfon ko badal ki Tarah istmaal karna use achhi tarah aata tha...
.
.
"Are yaar Mai fir Se bhool gaya iska naam batana...
Vo kya hai na Mai jab bhi uske baare Mai sochta hoon toh uski yaadon kahi kho jata hoon ...
.
.
.
.
Oh ha!!!  Toh ab apni heroine ko bhi ek name  de date... 
Thik hai socho!
.
.
.
.
..what?
Muze Pata tha ye bhi tumse nahi ho payega
Thik hai uska name hum 'Aditi' rakhte hai"
.
.
.
Vaise Maine promise Kiya tha ki Mai bataunga ki aditi ne muze hug kyu Kiya
Vaise story itni khaas nahi hai fir bhi sunlo"

Actually aditi and uske friends waha truth and dare khel Rahe the. Aur samne jo pehla ladka ayega use hug karne ka dare use mila tha...
"Vaise Mera timing accha tha".
Toh vo aati hai aur muze hug karti hai...
Toh humne last part Mai yaha end Kiya tha so story Mai vapas aate hai... "
.
.
.
Aisa Mera sath pehli baar  ho raha tha. Kisi ladki ko hug karna vo bhi use, jise Mai janta bhi nahi tha...
vaise muze us waqt accha toh lag raha tha
Par us se bhi jyada Mai shock tha...
Tabhi usne mere kaan k pass halki si awaj Mai kaha
"Sorry!  Dare tha... "
Aur itna bolke vo aise chali gayi jaise kuch hua hi na ho...
Mai abhi bhi uski bare Mai soch raha tha...

" Vaise muze truth n dare kuch jyada pasand nahi hai par is incidence k baad is game k liye meri respect aur badh gayi ".
.
.
.
Next day se  vo Har roz kahi na kahi dikhne
Lagi...
Kabhi kanteen, kabhi bus stop,  kabhi ground, kabhi Hod k kabin Mai..

" Hod k kabin Mai?  "
" But vo toh mere branch ki thi hi nahi.. "
"Vaise hamara hod muze bohot pasand tha.
Pata nahi kyu?..
jab bhi Mai use dekhata,
mere muh Mai gaaliya hi aati thi...
Shayad Mai uski respect Karta tha?
Pata nahi ..."
But point ye tha ki akjal vo muze Har kahi dikh Rahi thi ...
Shayad Meri ankhen use hi dhundti Rehti thi...
Din beet Rahe the aur Mai bas use dekhata hi Rehta tha..
Aur mere vo teen chashmis friends...
ha vahi  vahi
vo teen kamine ladke  jo last part Mai ladkiya dekh Rahe the.
Muze uske naam se chidhane lage the...
Huh unhe aur kuch Ata bhi nahi tha...
"Vaise Mai bhi yahi karta tha unke saath".
.
"Karma works yaar "
.
" ab bohot ho chukka! , kitne din sirf dekhata hi rahega? Communication is the lifeline of any relation. When you stop communicating, You start losing your valuable relations!"
"Aisa kisi mahapurush ne muzse kaha "...

" Actually vo mahapurush Mai hi tha.
aur Maine hi ye khud se kaha(laugh) .

So Maine decide Kar Liya next day us se baat Kar k hi rahunga..

   (***Next day***)

Maine Mera fav shirt pehna.
red Wala...
kisne kaha tha,
ki ladkiyonko red color pasand Ata hai...
Gel legake acchi Tarah hair set kiye...
Accha Wala body perfume lagaya...
Roz 5 min Mai ready hone Wala Mai aaj 30 min tak mirror k samne hi tha
"ab Pata chala ladkiyoko tayar hone Mai time kyu lagta hai ."
acchi Tarah ready hoke Mai college chala gaya...

    Aaj vo kahi dikh nahi Rahi thi...
Mai class Mai chala gaya...
last bech pe baith Kar sochne laga ki Mai us se kya kya kahunga... Aur kaise kaise kahunga...
Din beet raha tha...
Aur vo kahi dikh nahi Rahi thi.

   Mai aur pareshaan ho raha tha..
Aur isi pareshani Mai lectures Kab Khatam huye Pata nahi chala...

Shayad vo aaj college aayi nahi thi...

"Jab aap kuch kiye Bina hi haar jaate ho toh bohot bura lagta hai"
Mai ab puri Tarah nirash tha (shoulder down)
Aur college k Bahar Jane laga...
.
.
.
But tabhi
..
.
.
    Ek Thandi Hawa ka zhoka Aya aur use k peeche aditi uski bestie k sath baate karte huye samne se aa Rahi thi...

"Aaj vo kafi khubsurti bhi lag Rahi. Vaise vo Har roz khubsurt lagti hai.. But Aaj kuch jyada hi (blush) "
.

Vo jaise jaise pass aa Rahi thi,
mere saanse badhne lagi aur dhadkane tez hone lagi thi...
.
.
.
" Pata nahi kyu vo slow motion Mai chal Rahi thi
Jaise ki waqt hi Tham sa gaya ho."
.
.
.
Vo jaise jaise aur najdik aa Rahi thi
Mere background Mai time bomb ke countdown ki awaj aa Rahi thi beep.. beep..
AND COUNTDOWN STARTS...
10..
9...
8..
"mere dimag k sare khayal jaise ki yaha waha kud Rahe ho "
7..
6..
" Maine decide Kar Liya tha ki Mai baat karke hi rahunga "..
5..
4..
3..
"hey Maa Shakti de"
2..
1..
"maine saans andar leke poore confidence k sath use pukara "
0..
"heyy!  Aditi"...
(Heart beats..)
...
...
.....
....
...
Waqt jaise ki Tham sa gaya tha..
Mai uske Taraf aise dekh raha tha jaise koi chhota baccha  koi toy mangte huye apne  papa ko dekhta hai..
...
....Mai uske reply ka wait Kar raha tha ki vo seedhe bhagte huye , khush hoke mere pass ayegi...
Par..
....
...
...
par vo Bina meri Taraf dekha mere samne se chali gayi...
...
..
.
"aisa kabhi hua hai ki aap kisi se be intaha pyaar karne lage ho. Use apna life partner Banana chahte ho,shadi, yaha tak ki hone wale baccho tak ki planning apne kar rakhi hai aur vo apko reply toh door Bina dekhe hi chali jaati hai. ... Kasam se Dill tut jata hai.. "

To be continue....

LOST IN PAST Where stories live. Discover now