P R O L O G U E

476 47 16
                                    


Our Journey isn't perfect but it's ours..  And I'll stick with you till the end !

Zulaym's POV:

Tw tumhe aese maza ata hay na? Right? You enjoy being touched by different people at random places... Ohh, I meant not so random places!

" Zu..Zu..Zulaym... Ye kya kr rhe hain aap? "

Zulaym ne usske seene se dupatta utar phenka aur apne chehre ko uske shano pr tatolne laga..

Maahrit ki ankhon mai khauf saaf dikhai de rha tha, halanke wo aesi lrki na thi ke apne samne aane wali kisi bhi museebat main ghbrahat ka shikar ho kr thak jaye... Lekin yahan baat uske husband ki thi. Wo husband jo isse beinteha mohabbat krta tha magar iske liye ye shaadi sirf ek contract thi.

I want you to go and wear this , and I won't listen a no! Go!

'' Zulaym? Pls meri baat sunye... Ap jante hain na hmari shadi sirf ek contract thi, tw phr ap kiun seri..  "

Haan main ho rha hun serious kiunke main tumse betahasha mohabbat krta hun aur tum andhi hogyi ho apni kamyabi ke piche, apne dreams ke piche, tumhare liye sab kuch srf tum tum aur tum se shuru ho kr tum pr hi khtm hota hay. Yahan tak ke tum ne apni maa ki akhri khuwahish poori nahi ki!

Ab main tumhe dikhata hu ke khuwahish ko poora na hone dene se ktna dard hota hay!!

Ye keh kr zulaym ne aik zordaar jhatke se maahrit ko bed pr dhakela aur khud apne shirt ke buttons kholne laga.Uspr hewaniat taari thi ya phir wo uske mohabbat ka ubalta hua janoon tha,ye wo khud bhi nahi pehchan pa rha tha.Kiunke junoon ke agay koi bhi jazbaat zyada der tak apne qadam jamaye tikk nahi pate, wo jahariat ka roop dhaar lete hain ya phir wo junoon pagalpan aur nafrat main badal jata hay.

Uske hath maahrit ke jism se istrah bandhe huay thay ke wo usse chah kr bhi nahi hatta pa rha tha. Aur phir dekhte hi dekhte maahrit ne usse aik anjani quwwat ke saath door dhakela jispr wo bed se niche gira, magar kuch hi lamho mai khud ko smnbhalta hua maahrit ke mazeed qareeb aane laga. Iss bar uski ankhon main taish tha,nafrat thi aur ghussa tha... Mohabbat ka tw door door tk naam o nishaan nahi tha. Uss ne zbrdsti apne honton ko maahrit ke honto se mila dya aur usse deewana'waar choomne laga. Insb se ghbrayi maahrit iss baat se blkl anjaan thi ke aane wale waqton main yahi sab usko bohat dukh pohnchane wala hay... Itna ke shayad wo kbhi bhi himmat se apne apko jorrne ki koshish na kr payegi...

Mujhe Tumse Aqeedat Hay | J.Series |Where stories live. Discover now