Main Chahne Walo Ko Mukhatib Nahi Karta
Aur Tark-e-talluq Ki Main Wazahat Nai Karta
Main Apni Jafaon Pe Nadim Nahi Hota
Main Apni Wafaon Ki Tijarat Nahi Karta
Khushboo Kisi Tash'heer Ki Mohtaj Nahi Hoti
Saccha Hu Magar Apni Wakalat Nahi Karta
Ehsas Ki Suli Par Latak Jaata Hu Aksar
Main Jabr-e-musalsal Ki Shikayat Nahi Karta
Main Azmat-E-Insaan Ka Kayal To Hu 'Mohsin'
Lekin Kabhi Bandon Ki Ibadat Nahi Karta.
Keep Voting/Comments and do Share with your friends. Or Tamam Ahle-Imaan ko Mahe Rabbiul-Awal ka Chaand Mubarak.
आप पढ़ रहे हैं
єнѕααѕ-є-мσнαввαт
PoetrySuna Hai Kalam-E-Ishq Mein Bada Takabbur Hai Tumhe Takrao Kabhi Humse Humari Mehfil Mein Cha'nd Minto Mein Tumhara Guroor Tod Denge.... #1 Highest Ranking in poetry More than two times #2 in ranking More than 7times #3 in ranking more than 3Times ...