Part 20: Double or Nothing!

1.4K 140 33
                                    

February 13th 2018:
WEDDING HALL:

Simmi, Param, Toshi, Bhalla Ji, Vishwa, Madhavi, Bala, Kiran, Adi and Ruhi are standing transfixed trying to absorb what they are seeing in front of them: Mihika dressed as a bride standing right in front of them while Raman is dressed in a Sherwani standing about 50 feet behind her. Both of them have Varmalas around their necks.

While Simmi and Param are beaming with smiles, having a whispered conversation celebrating their victory everyone else is stunned into silence-the Bhallas are happy yet taken by surprise, the Iyers are in complete shock. Mihika and Raman do not say a word or move but just keep staring at them trying to gauge everyones reaction. Just then Shagun and Mani walk in.

Shagun: Kiran, kya hua humein yahan achanak kyun bulaya?

Kiran is unable to fund words to explain what they are seeing so she simply points at Mihika. Shagun and Mani then notice Mihika dressed as a bride and within seconds they spot Raman standing not very far behind her.

Mani: Yeh sab kya hai?

Param: Arey jo dikh raha hai wahin hai aur kya! Raman ne Mihika se shaadi kar li!

Simmi: Dekho Mummy Ji maine kaha tha na aapse sab theek hi hona hai end mein! Jinka janmon ka saath hota hai woh ek ho ke rahte hai!

Toshi: Haan Puttar. Woh toh thik hai par yeh ki kiya tune Raman? Humein aise shaadi karne ke baad bulaya? Puttar hum toh chahte hi the ki yeh shaadi ho jaye. Tu pehle bata deta toh hum aashirwaad dene aa jate.

Param: Arey Mummy Ji woh kehte hai na- jab Miya-Biwi raazi toh kya karega kazi! Bus wahin hua hai yahan par bhi. Inki shaadi mein kuch log bekar ke archan dal rahe the toh in dono ne socha hoga ki duniya ko bina bataye shaadi kar lete hai. Kyun Raman? Yahi baat hain na?

Bhalla Ji: Woh toh think hai par aise...

Simmi: Oh ho Papa Ji! Aapke blessing aur hum sub ke good wishes toh unhe milne hi hai na- chahe hum Shaadi ke time hote ya chahe hum abhi shaadi hone ke baad aye hain. Matlab ki baat yeh hai ki Raman Bhai ki life phir khushiyon se bhar gai- unki dulhan ban ke sabse badi khushi jo aa gai hai unke life mein aur hamare ghar mein!

Param: Par yeh dekh na Simmi- lagta hai Mihika ki judaai ka dard abhi se Mihika ke family se saha nahi ja raha. Dekh na sab kitne dukhi hain.

Simmi: Arey aap sab aise kyun ho gaye? Aap na bilkul chinta mat karo

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

Simmi: Arey aap sab aise kyun ho gaye? Aap na bilkul chinta mat karo. Bus Mihika ko khushi khushi vida kar do! Use hamare yahan koi kami nahi hogi. Sari khushiyan milegi. Kyun Bhai sahi keh rahi hoon na main?

The Iyers just stare dazed and talk in shocked whispers.

Vishwa: Yeh kya kiya Mihika ne?

Madhavi: Raman ko toh kuch yaad nahi but Mihika toh sab janti hai na. Phir woh aisa kaise kar sakti hai?

Hamari Adhoori Kahaaniजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें