Meeting

483 10 22
                                    

Vikas: Ideaaaa....... main Sourav ko phone karke poochta hu ki koi event hai kya

Vikas calls Sourav

Sourav: hello...

Vikas: Ha Sourav main Vikas

Sourav: Aree Vikas kaisa hai?

Vikas: Mein theek hu. Accha meri baat dhyan se sun, koi event hai kya jaha main jaa sakta hu

Sourav: Haan parso ek event hai orphanage me agar tu jana chahta hai toh jaa sakte hai.

Vikas: Ok thik hai aur tu na kaise bhi karke udhar Shilpa ji ko bhi bula lena.

Sourav: Shilpa ji kaun hai bhai aur main kaise bula sakta hun kisi ko bhi.

Vikas: Mera matlab hai Shilpa Shinde jo hai na unhe bhi uss event ke liye manana hoga.Kaise manayega mujhe nahi malum lekin tujhe ye karna hoga.Mein tujhe unka number bhej dunga.

Sourav: Ok mein try karta hu. Chal bye.

Vikas: Ok bye.

Sourav calls Shilpa.

Shilpa:Hello

Sourav: Kya mein Shilpa Shinde ji se baat kar sakta hu?

Shilpa: Mein Shilpa bol rahi hu.Aap kon? aur  kya baat hai kahiye

Sourav: Ji mein Sourav bol raha hu,ek orphanage mein ek event hai poem writing and reciting competition and prize distribution ceremony, so hum sab chahte hai ki aap iss event mein aaye as a Chief Guest.I hope aap ko koi problem nahi hogi.Yaha pe bahut se bacche aapke fan hai, unhe bohot accha lagega aapse milke.

Shilpa: Thik hai mein aaungi.

Sourav: Ok mam mein aapko sari details mail kar raha hu.Thank you mam.

Shilpa:Thank you.

Sourav informs Vikas that Shilpa agreed to come.

Vikas becomes really happy.

ON THE DAY OF THE EVENT

Vikas becomes very excited as he's about to meet her after such a long time.

On the way to the orphanage,the tyre of his car gets punctured. His driver says its difficult to get mechanic.Vikas gets off the car.He tries to stop every car he sees on the way.Finally,a car stops.

The car which stopped was of Shilpa.Both Shilpa and Vikas get surprised and also happy after seeing each other.

Shilpa(shockingly): Aap yaha road ke beech mein kya kar rahe hai?

Vikas: Mein yaha road ke beech mein ghoomne thodi aaunga.

Shilpa: Maine kab bola aap ghoomne aaye hai.Agar aapko nahi batana hai toh thik hai.Aapne car roka isiliye mein ruki warna mujhe toh ek event attend karna hai.Mein toh chalti hu mera time waste ho raha hai.

Vikas: Ek minute....suniyena woh meri car ki tyre puncture ho gayi isiliye maine aapki car ko roka. Mujhe bhi ek event attend karna hai(he is acting as if he does not know they are going in the same event.) 

Shilpa: Accha aap bhi ek event me jaa rahe ho.Kaha hai aapka event?

Vikas: Ek orphanage jaa raha hu.

Shilpa: Sachme aap orphanage hi jaa rahe ho na kyunki main bhi ek orphanage me ja rahi hu. Waise kya naam hai uss orphanage ka jaha aap jaa rahe ho?

Vikas: haan sachme jaa raha hu uska naam hai Heart and Home Orphanage.

Shilpa: Kyaa...mein bhi wahi jaa rahi hun

Vikas: Kya bol rahe ho. Majak toh nahi kar rahe ho na.

Shilpa: Nahi toh.

Vikas: Toh kya hum saath mein jaa sakte hai.Mera matlab hai kya aap mujhe waha tak chod doge.

Shilpa: Ok, aaiye baithiye na.

Vikas: Thanks a lot.


The Life of  Two Mature ColleaguesWhere stories live. Discover now