Udaasi

236 18 7
                                    

Chalo bataun tumhain nishani udaas logon ki..
Kbhi gour karna ye log hasnte bht hain..

Momina Mirza 1 aisa naam or 1 aisi shaksiyat hai jo insan ko rukne pr majbor kar dy, uski zaat ki kashish har 1 ko apni taraf khenchti hai...
Yehi wajah thi k wo har jagah bht jald nazrun ma ajati...
Zindagi ki uljhanain suljhate suljhate jb khud ko ganwa k beth gai tou koi tha jisne usy uski zaat ki sari sachiyun samait liya.....
      ***************************
Momina?
G bhai.?
Mein kal friends k saath picnic pr jaa raha hon.. Baba ko bata dena.
Tou aap bata den ye baat ?
Yaar tumse keh raha hon na bata dena bs, mujhsy wo sari detail pochengy... Bhai ny ghussy sy kaha
Tou bhai achi baat hai na aap unhain mutmaen kar dena...
Tumne batana ho tou bata dena warna mere pas time nahi itna....
       Baba baat sunen? Momina ny unhain khane k beech ma kaha..
G beta bolen?
Wo bhai kal friends k saath jaa rahy hain picnic pr , tou keh rahy thy aapko bata dun..?
Bata dun mtlb usko mujhsy ijazat leni chahiye thi, lkn ye aaj kal ki aulaad kahan sunti hai specially ye tumhara bhai majal hai jo mujhy ehmiyat dede, ab jaa raha hai tou jaye or ye khana lay jao...
lkn baba khana tou kha len phr medicine bhi leni hai..
Mein ny kaha na tumse abhi jao yahan sy...
Momina wahan sy ansoo peeti hoi uth gai....
Aisa nahi tha k wo sb koi zaalim thy,haan bs apni baat ka zariya momina ko banaya hoa tha, behain koi thi nahi or wo bht choti thi jb ammi ka initiqal hogaya tha aise ma dadi ny usy smbhala phr jb dadi ka intiqal hoa tou jaisy har zimedari momina pr agai, wo bhai ki baat baba ko batati tou baba ka paigham bhai tk pochati or is sb ma wo har baar toot'ti... Koi baat manta ya nahi, haan lkn usko zaror suna deta tha jaisy sari galti usi ki ho..
Ye batain choti lagti hain lkn dil pr asar bht karti hain or jis pr guzarti hai us sy behtar koi nahi jaan skta..
      ************************
Bhabi khana ban gaya.? Momina ny apni bari bhabi sy pocha...
Nahi beta g hum nokar nahi hain, bachun ny pehle hi tung kar k rakha hai upper sy tumhari bhook hi khatam nahi hoti... Bhabi ny jawab diya.....
Acha thk hai koi baat nahi mein bana leti hon aap sunni ko smbhalen..
Wo muskurate hoe wahan sy chali gai..
Momina chahti tou bht acha jawab de skti thi lkn wo ghar ka mahool kharab nahi karna chahti thi.. Warna 1 waqt aisa bhi hoa karta tha k agar koi machar bhi pas sy guzar jaye tou wo us sy bhi larne lag jaati..
        *************************
Baba medicine li aapne.?
G beta lay li.. Ab aap bhi sojao subha sy uthi hoi ho..
G so rahi hon bs ye assignment complete karlun..
Din bhar ghar k kaam sy faarig ho k raat ko parhna uska shoq or majbori dono thy..
Baba dekhte sb thy or bht dafa bolte bhi thy lkn wo khud chup karwa deti thi, bhai ka mood kharab hota tou ghar ma ajeeb si tension rehti thi or baba k liye tension thk nahi thi...

Wo apni taraf sy pori koshish karti k unhain khush rakhe...
Apni college ki batain sharartain share kar k hansati rehti...
Haan lkn aaj tk koi usy smjhne ka dawa nahi kar skta wo khuli kitab ki tarah maloom hoti lkn jb qareeb jao tou lagta har safhy pr paheli ho, khud ko or apne ehsasat ko is tarah chupa k rakhti thi..
  *******************************

To be continue.....
~Mona Shaikh~

wo 1 larkiWhere stories live. Discover now