Part 15 (Nikah-e-Ishq)

247 13 22
                                    

Larkharati hon tou roo parta hai,
Mein ny girna hai tou us shakhs ny mar jana hai...

Aaj Momina ki mehandi thi, ghar ki ekloti beti ki khushi thi sb kaise na khush hoty...
Toofan aya hoa tha mehmano ka or har 1 apni apni tayyari ma masroof tha...
Khamoshi thi tou sirf momina k kamre ma, wo mehandi ka peela or maroon suit pehne balun ma gajra lagaye, haathun ma choriyan pehne mehandi sy bhare haath liye gum sum si bethi thi....
Or is khas moqy pr bhi wo bht khas lag rahi thi..
Momina! Log jisko ruk k dekhne pr majbor hojaty thy, jo apni zaat ma 1 jadu liye phirti thi , jiski zaheen ankhain har waqt chamakti thin , jo muqabil ko khamosh kar dene ki salahiyat rakhti thi, waqt k haathun sb kuch khoo chuki thi...

Chup chup si rehti hai ab kuch nahi kehti...
Wo pagal si larki ab khoo chuki hai...

Apne khayalun ma gum achanak darwaza bajne ki awaz sy wo choonk gai thi...
Uth k darwaza khola...
Samne Ali khara tha, chup chap usy dekhta raha tha...
Phr khud hi murr k chala gaya tha, ye sb itna achanak hoa k momina kuch bowl hi nahi paai, aisa lagta tha k jaisy wo bs usy dekhna aya hoa...
Or momina ko wo khafa khafa sa laga tha....

Tum achy larky ho ya mujhko achy lagty ho,
Chehre sy udaasi dorr karo na, tum hansty achy lagty ho...

     ****************************

Aaj Momina ki baraat hai....
Parlour sy aa k wo apne kamre ma bethi hoi thi, jb baba usk pas aye thy..
Masha ALLAH bht piyari lag rahi hai meri beti... :-)
Unki ankhain bhi num thin...
Momina !
G baba...
Mujhsy naraz ho meri guriya?
Nahi tou...
Ansoo thy jo na chahte hoe bhi beh nikle thy...
Wo baba k kandhy pr sar rakhe roone lagi thi...
1 baat yaad rakhna Beta !
Tumhara baap tumhare liye kbhi koi galat faisla nahi kar skta, tum bs mujh pr bharosa rakho...
ALLAH tumhain khush rakhe..
Or bahar kisi ny awaz di thi unhain tou wo chaly gaye thy...
Jb baba ki izzat k liye ye sb kar hi liya hai tou ab Ali k liye 1 ansoo bhi bahana is izzat ki touheen hoga , momina ye sochte hoe khud ko chup karwa gai thi...

Or betiyun ko ye baat smjh leni chahiye k maa baap unk liye kbhi bura nahi karte, waqt or halat k taqazy dekhte hoe hi har kaam hota hai... Jo karta hai ALLAH karta hai tou tum ma sy kon hai jo usk khilaaf jaye?
      *************************

Nikkah ka waqt hogaya tha, molvi sahab k saath Baba or Babar bhi thy...
Momina bint e mirza aapka nikaah Shah Nihaal Ali sy kia jata hai kia aapko qabool hai.?
Ali????
Uffff ALLAH wo kaise bhool gai..
Wo kaise itni bari baat bhool gai...
Kaise usk dimag sy nikal gaya...
Kia wo apne gham ma itni magan thi k wo ye bhool gai...
Usne jhatke sy sar uthaya tha, samny babar bhai usy shararat sy dekh rahy thy...
In logon ny mil k mujhy bewaqoof banaya...
(Ali ka pora naam Shah Nihaal Ali tha, naam bara hone ki wajah sy sb usy Ali hi kehte thy or ahista ahista uska asal naam sb bholte gaye thy ya shayad momina ny kbhi dihan nahi diya tha wo shuru sy ali hi kehti ai thi)
Usne Babar ko ghoora tha, or ab ki bar babar hans pare thy..
Bhaeee jaldi haan bolo warna hum jaa rahy hain...
Babar ny usy chaira tha..
Qabool hai or wo itni taizi sy boli thi k sb hans gaye thy, usne zaban dantun ma lay li thi...

Stage tk aty hoe dupatte k sayee ma 4run bhai or bhabiyan usk aas pas thin, or dekhne walun ny dekha tha k jo apne maa baap ka kaha rakhte hain wo is tarah chaand ki tarah chamakte hain... Khushi chupaye na chupti thi apne bhaiyun k hisaar ma jb wo stage pr arahi thi tou har ny masha ALLAH kaha tha...

  Rukhsati k waqt sb sy milte hoe jb wo baba k galy lagi tou wo usk kaan ma kehne lagy...

Akhir bachun ko ye kiun lagta hai k maa baap unk haal sy waqif nahi, mein sb janta tha beta bs sahi waqt ka intezar tha aaj mein bht khush hon k mein ny apni beti ko sari khushiyan dedi hain...
Mere pas rehte hoe tum bht bar rooi hongi , lkn 1 baat yakeen sy kehta hon Ali tumhain kbhi roone nahi dega...
Jao beta ALLAH hawaly...
Ye kehte hoe baba ny usy khud sy alagaa kia tha...
    ***************************

Wo kamre ma bethi Ali ko soch rahi thi pichly dino wo kitna rude rahi thi us sy ab kia karegi..
Ali andr agaya tha salam karne k baad wo sanjeedgi sy kehne laga...
Mujhy naafil parhne hain , tum change karlo...
Or momina uski narazgi sy waqif thi isliye chup chap uth gai thi..

   Wo jis sy naraz tha, usi ko paa lene k baad shukrane k nafil adaa kar raha tha...
Jaisy hi salam phera peeche sy awaz ai thi...
Shah Nihaal Ali !
Usne peeche dekha tou wo jai namaz bichaye usi ki imamat ma nafil parhne k baad sakoon sy uska naam lay rahi thi...
Or wo jo soch raha tha, k us sy naraz rahega khoob larega, usne itna tung kia ab thora haq iska bhi banta hai isliye wo rude hoa tha lkn momina ko is tarah dekh k sari narazgi bhool raha tha is sy pehle wo kuch karta foran moou morr gaya tha...
Momina muskura di thi..

Mujhy patw hai aap naraz hain mujhsy, hona bhi chahiye...
lkn mein galat nahi thi, mein kaise aapsy apne jazbat zahir kar deti jbk mera aapsy koi mehram rishta bhi nahi tha or sb sy barh k mujhy baba bht azeez hain, mein nahi chahti thi k meri wajah sy unhain koi takleef ho...
Or aaj jb mera aapsy mehram rishta ban chuka hai tou mein khuda ko Hazir o nazir jaan k jai namaz pr bethi aapsy apne ishq ka aetiraf karti hon...
Mujhy aapsy Ishq hai Shah Nihaal Ali...
Or mujhy apni akhri saans tk aapk saath rehna hai...
Dheeme lehjy ma kehti hoi wo roo paari thi Or Ali ny agay barh k usy thaam liya tha...
Itna khoobsurat izhar?
Aise bhi koi karta hai bhala, usne tou sare shikwe 1 hi pal ma khatam kar diye thy...
Baat suno larki , ye akhri dafa tha jo tum rooi hon , aenda 1 ansoo bhi nikla tou jaan lelunga :-*
Mein tumse bare bare dawe nahi kar skta , mujhy patw hai logon ny tumhare saath kia Kia hai.. 1 wada hai mera mein kbhi log nahi banoga, har pal tumhare saath hon or kbhi roone nahi dunga..

I love you Shah Nihaal Ali...
I love you too jaane Ali...

The End
~ Mona Shaikh~
Mohabbat or bharose ki ye kahani apne ekhtitam ko pochi...
Shayad mein itna acha likh nahi paai jitna socha tha, bht sari jaghun pr khud sy uljhi bhi k ye nahi likhna tha lkn khair jo tha jaisa tha likh chuki hon.. Aap logon ko jahan koi galti dikhe comment ma foran bata den ye meri pehli koshish hai ye tou nahi kehti k perfect hai, insan hon galtiyan hojati hain aap logon k feedback ka intezar rahega..
Fi Amanillah :-)

wo 1 larkiWhere stories live. Discover now