Part 11

276 9 4
                                    

Dekh kar meri ankhun ko 1 sahib e ilam bole...
Teri sanjeedgi batati hai, tujhy hansne ka bht shoq tha...

Shadi ko 1 mahina guzar chuka tha, momina ki zimedari thori kam ho chuki thi dono bhabiyan bht achi tarah ghar smbhal rahi thin...
Asfer bhai ki wife sadaf bht khud sar thi (zahir hai pasand ki thi)...
Faraz ki wife sonia apne kaam sy kaam rakhti thi, ziada baat chit nahi karti thin wo..
Ye khayal k bhabi k any sy momina ka akela pan dorr hojaega galat sabit hoa, momina pehle sy ziada akeli hogai thi...
Baba or babar bhai hi thy jo uska har tarah sy khayal rakhte thy...
Sadaf bhabi k ankhun ma yehi sb chubhta tha phr unhain support bhi hasil thi apne shohar ki saath ma phuppo or khala ki bhi jo pehle hi momina sy khaar rakhti hain..

Hoty hain na kuch log , jo na khud khush rehte hain na kisi dosre ko khush dekh skty hain...

Din ahista ahista guzar rahy thy, ba zahir tou sb thk tha lkn jb dil ma hasad ki aag jal rahi ho tou wo sbko jala k rakh deti hai...

Ali aya hoa tha , Babar bhai ko apne uni ma admission ka bata raha tha tou unhain achanak khayal aya..
Momina idhar ao!
G bhai?
Ali ka admission tou hogaya hai tumne kia socha hai...
Ali uski shakal bht ghour sy dekh raha tha black colour k suit ma saath net ka dupatta sar pr liye make up sy pak wo bht piyari lag rahi thi, upper sy uski ankhain ufff pehle kam piyari hain jo ye larki udaas ho k or khoobsurat bana deti hai...
Ali dil hi dil ma soch raha tha..
Kuch nahi bhai mein admission nahi lay skti...
Momina ny inkaar karte hoe kaha..
Uski baat pr dono ny hairan ho k usy dekha..
Wo bht bright student thi, or chemical engineering karna uska khuwab tha, ab wo peeche kaise hat skti hai...
Kiun beta kia hoa?
Babar piyar sy usy beta keh diya karte thy..
Wo mujhsy parha nahi jaega ab..
Wo nazrain jhuka k boli tou ali ka sara sakoon barbad kar gai thi...
Idhar dekho momina kisi ny kuch bola hai.?
Babar sadaf bhabi k andaz pehchante thy, ehtiram ma unhain kuch bolte nahi thy lkn momina ko protect karne ki har tarah koshish karte thy..

Kiun nahi parha jaega..?
Bhai patw nahi mujhy , bs dadi k baad dil nahi chahta kuch bhi karne ko or mujhy nahi lagta k ab pehle ki tarah focus kar paungi parhai pr...
Wo ansoo chupati wahan sy chali gai thi..
Peeche babar ny ali ki taraf dekha tou usne ankhun ma unhain tasalli di thi...

*****************************
Kia mein andr askta hon?
Ali ny momina k room ka gate knock karte hoe kaha...
G ajaen...
Dekho mein koi speech karne nahi aya mujhy itna batao k agay kiun nahi parh rahin?
Momina bs usko dekh k roo di thi.. Ye 2sri bar tha jb wo ali k samny rooi...
Ali ny bhi usy roone diya wo yehi chahta tha, dil halka hoga tou sb kuch khud bataegi phr wo handle kar lega, haan mushkil kaam tha usy roote dekhna lkn filhal yehi zarori tha...
Ali...
Aaj bht dino baad wo bheegi awaz ma uska naam lay rahi thi...
Ali jo sofy pr betha tha bht mushkil sy khud ko wahin rok paya..
Warna dil tou chahta tha agay barh k sare gham chura lay is larki k jo usy khud sy ziada azeez thi...
Aapko patw hai bhabi ko acha nahi lagta mein zara si dair kamre ma beth jaun unka mood off hojata hai, or aap jante hain na mujhsy naraz nahi kia jata kisi ko bhi..
Wo ghussa hoti hain tou asfer bhai ko keh deti hain phr bhai ki nazrain mein bardasht nahi kar skti...
Admission lay liya tou pora din ghar sy bahar rehna hoga assignments, seminars hazar cheezen hoti hain...
Kia ye sb bardasht hojaega bhabi ko?
Or sb sy bari wajah mein waqai ab parhai ko wo tawajjah nahi dy skti , dadi k hoty hoe baat or thi ab kuch or hai...
Wo bolte bolte chup hogai thi..
Bahar babar bhai khare sb sun rahy thy , unhain patw tha wo ye sb unhain nahi bataegi kiun k wo bht masoom thi usy dar tha k ksii ko bhi bata dene sy ghar ka mahool disturb hoga, haan ali ki baat or hai wo tou isk bachpan ka sathi hai..
Wo andr a chuky thy, momina ny unhain dekha tou 1 shikwa bhari nazar ali pr daali..

wo 1 larkiWhere stories live. Discover now