"Takleef... "

21 1 0
                                    


Alishbah: mjhay bat krni chahiay Wasik say... esay kesay naraz hosktay hain jis bat may kahi bhi meri ghalti nhe hai.. mjhay ignore nhe krsktay may in k ghr chali jati hun.. nhe!... ye sahi ni rahay ga.. mjhay insay office may bat krni chahiay.. office may aram say hojaegi.. aaah! ye bhi nhe.. call he sahi hai.. han! call he krleti hun.. 

(Alishbah call krti hai.. lgatar koshish k bad bhi wo call nhe uthata... )

Wasik: itni mushkil say jan chutti hai ab phr say nhe... (khud say kehta hai.. calls ati rehti hain leken uska dil nhe pighalta.. )

Alishbah: behtar hai may Whatsapp pr message krdun.. is say mjhay maloom hojaega k ignore kr rahay hain ya asal may inko maloom nhe meri calls or messages ka.. 

(Alishbah behad umeed say Wasik ko message krti hai.. abhi umeed nay qadam berhaya he hota hai k Wasik apnay pairon say kuchal deta hai... )

Alishbah: ye to online hain.. to seen kiun nhe krtay?

Wasik: ye yahan bhi shuru hogae.. apna last seen he bnd krdeta hun.. 

Alishbah: inko kia lgta hai? in sub say mjhay maloom nhe hona? k ignore kr rahay hain.. aaah! Wasik may apko kesay btaun mjhay kitni takleef hoti hai.. mera ye dil phat jata hai.. sans jesay ruk jati hai.. dam ghut jata hai.. meray pas koi nhe jis say may saaf lafzon may apki behisi ki dastanain sunaun.. koi nhe jis ko may apna zakhm dikhaun.. koi nhe jis ko apna dil cheer k khol k dikhaun k may kitni takleef may hun.. kash! may tum jesi hoti, logon ko apnay liay ehsas or jazbat k sae may ghernay wali.. ek wakti dariya jo srf kuch mudaton k liay masoom machliyon ko apna adi bnata hai or jub unko uski adat hojati hai to apni bari or mazboot lehr say unhain khushki ki taraf zoor say patakh deta hai.. wo machliyan tarapti, sisakti mar jati hain.. zehn may yehe khayal hota hai k dariya ka qasoor nhe ye to pani ka bahao tha jo unhain yahan lay aya...

"Mjhay ishq k dhagon may piro kr us nay...

sari mehfil ko dikhaya, boht pur zoor tamasha.. "

___________________________________________________

"Wae kismat k na ras ae mohabat hum ko...

hayee! taqder k wo bhi na humaray niklay... "

"Bezameer" or "Behisi" jesay alfaz bnay he is bnday k liay hain... meray jazbat ka kul hisa is k qadmon ki dhol may kbhi is k pairon say agay jata, kbhi pechay... mjhay apna adiee bna kr mjhsay mohabat k badlay apni bewafai k tarazu may ek taraf meri mohabat, meray jazbat, meray ansuu dal kr dusri taraf apni sakhtiyan rkhden.. natija may he jeeti.. meri mohabat ki koi miqdar nhe the phr bhi tolnay chalay thay.. rafta rafta is bat pr yakeen krlia is nay bhi k may jeet jati hun, to mjhsay badla lenay k liay ye dusri aurton ki baten krta hai, jub may mazboot bn jati hun to ye phr say wahi mohabat ka drama krnay ajata hai.. may phr say pighal jati hun.. us ko or us k jesay mardon ki yehe khoobi hai, ye aurton ko kuch mudaton k liay apnatay hain, jub tanhai may andhera in k zameer ko apni adalat may bulata hai, to ye un aurton k pas bhag jatay hain.. wo nadan samjhti hain mohabat may aya hai or agr mohabat nhe bhi hai to koi bat nhe is ka sath mil jae to bhi kafi hai.. ye phr subha hotay he unko dhudhkaar kr chala jata hai or wo sochti rehti hain mera "Qasoor" kia hai? may apni bat krun to is ko is jaga lanay wali may khud he the... mohabat kuch nhe hoti.. ye srf mardon k khail hain.. jin may khubsurat, aam shakal o surat ya koi bhi larki aali shaan he kiun na ho har jati hai.. ek mujasma samjh kr us ko ghr k kisi konay may phek detay hain.. ghurur esa k samnay wala bat krnay say bhi dar jata hai.. seena tan kr esay chaltay hain k bhool jatay hain in k qadmon may kisi k khuab, kisi ki umeed kuchal gae hai ya kuchal jani hai.. in ko srf apnay qadmon say matlab hai, in ki manzil.. in k iraday.. or hum?.. hum kuch bhi nhe.. hum to wo patay hain jo khizaan k mosam may darakhton say jhar jatay hain.. or un pr chalnay wala unko murdar samjh kr bar bar kuchalta hai.. jub kuchal diay jatay hain to abhi maramat hui he nhe hoti k phr say koi akr masal deta hai.. barbar tot jatay hain, bikhar jatay hain.. leken kisi say sawal nhe.. koi shikwa nhe... in mardon may ye ehsas " Behisi" ka ehsas khud he say nhe aya hota, in k pechay boht saray log hotay hain, jo inko is hal pr pohncha detay hain.. inka ghurur tofaan ki tarah hota hai, jo apnay sath sath dusron ko bhi apni lapait may lay leta hai...


Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
"Hudud e Mahdood... "Where stories live. Discover now