Alishbah( Farha ): Samad Chacha! ye is bachay ko kia hua hai?
Samad (driver): beti! is bachay nay us admi say pesay mangay thay..
Alishbah (Farah): to srf pesay mangnay pr is bachay ko esay mar raha tha?
Samad (driver): nhe! bachay ki bat nhe sun raha hoga, to usnay mukhatib krnay k liay hath lgaya hoga.. shahyad hath pakar lia ho.. to isliay bs..
Alishbah (Farah): han! shahyad yehe hua hoga.. ye pan ki dukan pr kharah ho gaya hai.. panch das rupay say is ka kia jaega.. acha ap esa kren k mjhsay kuch pesay lay k is bachay ko day aen..
Samad (driver): acha! jesa ap ko thek lgay..
(is sub manzar ko dekh k Alishbah ka dil boht udas hogaya tha.. saray rastay us ka dimagh aj k manzar ko bar bar us ki nazron k samnay dohrah raha tha.. )
___________________________________________________
Alishbah (Farah): Asalam o Alaikum!..
Sadia: Walikum Asalam! wesay had krti ho tm bhi... kitni dair say apki rah dekh rhen hun may madam..
Alishbah (Farah): bs yar!.. aj alhamdulilah! Shazil Bhai or Umer, Pakistan agae hain.. un k sath masroof the.. phr rastay may kuch dekhlia..
Sadia: kia dekh lia?
(Alishbah, sara majrah Sadia k samnay bayan krdeti hai.. )
Sadia: lo bhaee! tm itni choti si bat ko dil say lgae bethi ho..
Alishbah (Farah): choti si bat? agar dekha jae to in ghareebon ki zindagi ka fesla in ki ghurbat or ghareebi krti hai.. agar halaat behtar hogae to shahyad koi sukun ajae, warna wahi puranay din.. ghurbat may taraptay or sisaktay huay sari zindagi guzar jaegi.. or ye kia lafz hai "Ghareeb" ? or inko kiun day dia gaya hai? ye bhi humaray jesay he to log hain.. inko ghareeb kehnay k bajae humain khud ko ghareeb kehna chahiay.. jin k dilon may ehsas or insaniyat jesay jazbay mojud nhe.. in ki zindagi, in k bachpan mehroomi may guzar jatay hain.. jub baray hotay hain to in ki jawani mehnat o mushakat may guzar jati hai.. ab burhapa ata hai.. to is may bhi sukun k chand lamhat nhe miltay.. sari zindagi rukhi sukhi may guzaar denay k bad, ab burhapa tarah tarah ki bemariyon may guzar jata hai.. mjhay in pr taras nhe ata or na he humdardi hoti hai.. may or mjh jesay log jo istetaat rkhtay hain " Behiss" hain.. hum logon ka zameer mar chuka hai.. jin k zameer he murda hon, unko kisi ka dukh dekhnay say bhi nazar nhe ata.. hum jo lakhon apnay uper kharch krsktay hain, wo inko ek rupay bhi ziada day nhe sktay.. hazaron pan khareed kr apni janon ko nuksan may to dal sktay hain, pan or cigarette may kharch krsktay hain leken wahen bethay barabar may dukan k us ghareeb bachay ko nhe day sktay jo bari hasrat say nazrain jamaen dekh raha hota hai.. us masoon ki shakal say bakhoobi nazar arha hota hai k is nay kafi raton say pait bhar k khana nhe khaya.. najanay kub say bhooka hai.. mehngay say mehngay hotels may jub jatay hain to "tip" k nam pr pesay dena to jesay zimaydari hai humari.. leken usi hotel k bahr agr koi pesay mang lay to humari shan may kami ajati hai.. in ko day dia to humari dolat or khazano may kami hojaegi.. mera dil krta hai k may apna or is duniya may basnay walay logon say sawal krun, apna or sub ka zameer jagana chahti hun.. k humaray aspas rehnay walay log bari mushkilat ka shikar hain.. hum jin maslon ko masla kehtay hain darhakeekat kuch bhi nhe..
Sadia: tm na pagal hochuki ho.. mjhay samjh nhe ata jesay jesay tm bari horhe ho tmhari akal kam kiun hoti ja rhe hai.. ek chotay say wakiay say tmhara dimagh jaga say hil gaya hai.. or ab tm esi baten yaheen rok do kiun k mjhay in fazul baton may koi dilchaspi nhe.. itnay dino bad mulakat hui hai.. kub say tm ghr nhe ae the.. ab ae ho to mood kharab na kro apna..
YOU ARE READING
"Hudud e Mahdood... "
FantasyThis story is second part of " Mehwar" .Which is previously Uploaded. This part is about the Daughter and the Son ( Farah and Umer ) of Ahmer Hassan and Zarnish A. Hassan... The life of their kids... and the journey of hurdles.. lots of suspense, Fa...