Tulu-e-aaftab ne ek nayi subha ko dastak di...aasman k badalo me se nikal kar aaftab apni jagah par pahonch gaya...sab k ghar bhi chahel mahel se uthe...koi office k liye ready ho ra tha toh koi university k liye...
Dastoor e duniya k hisaab se sab ready ho rahe the....jaha saari duniya taiyaar ho rahi thi waha par Hoor bhi tayyar ho rahi thi apna school uniform pahen kar..apne bed par maths problems solve kar rahi thi..utne me awaz aayi "beta aajao...Nashta taiyaar hai" ji Mama...kahe kar hoor apna bag lekar kamre se bahar aayi aur apne qadam barate hue dining table par aayi aur sab ko kaha "Assalamualaikum" Abbu aur ammi ne salam ka jawab diya "Walaikumasalaam" utne me Shayan aaya aur khaana shuru kar diya..Hoor ne apne nazre niche jhukaaye aur usne bhi apna nashta khana shuru kiya...utne me waha se Noor aayi aur Abbu ammi ko salaam kiya...aur kehne lagi shayan "sirf mae tumhari wajeh se college me sab se late hoti ho..waha se Shayan bhi kaha dikh raha hai koun late aata hai so...jhattt se Noor ne jawab diya "ha! aj late hui toh kya hua..zyada shaan mat maar ha! Roz tum late hote ho" phr ammi ne Kaha zyada baatein nhi kara karte naashte ke waqt..chalo sab jaldi jaldi apna nashta qatam karo aur apna apna bag leke ghar se niklo..
Shayan apne room me jaakar apne bike ki chaabi le aayi...aur fouran hi parking section se apni bike nikal kar gate ke saamne le aaya..phir shayan aur noor college ke liye nikal gaye..
Noor aur shayan ka bond bachpan se hi bahot strong raha hai..un dono hamesha best friends ki tarah raha karte the..
Hoor ka bond uski elder sister yaani Sarah se tha jiski shaadi ho chuki thi aur Ayan kisi se bhi zyada close nhi tha woh hamesha apne dosto ke sath hi hota tha.
Hoor apne ghar se nikli aur uske ghar ke theek saamne Rushna ka ghar tha..usne rushna ke ghar pe dastak di phr woh dono sath me school ke liye nikal pare..aur raaste me apne hone wale maths test ke baare me discuss karte hue school ko aa pahonche...
Hoor aur rushna ka school ghar se kch hi mile par tha dono hamesha sath jaya karte..bachpan se hi dono baheno ki tarah raha karte the..
Hoor aur Rushna..school me daakhil hue aur apne saare dosto ko salaam karke apne seats par baith gaye..
Interval tak aisi taisi waqt bith gaya..lekin interval sab hi class walo ko srf ek baat pareshan kar rahi thi ke maths ka test kaise guzre ga..aur yeh pehle maths ka test tha unki 10th class ka...aur sab ko awal marks laane ki khwaish thi lekin jaisi hi..maths teacher class me daakhil sab apne books band karte hue apne test ke liye bag me se test papers nikal rahe the..Lekin utne me hi waha se English teacher aayi aur Maryam ko thaira kiya aur kisi ladhke ke baare me sawalat aur jawabat karna shuru kiya...saare class waale hairaan the lekin dil hi dil me sabko khushi bhi thi ke maths test postponed ho jaye ga..
Ek ek sawal ka maryam jawab deti rahi..phir saare sawalat jawabat ke baat maryam ko principal k cabin kan le jaya gaya...
Jaha maryam principal ko apne jawabat de rahi thi..usi waqt class me yeh qulasa Hua ke maryam ka boyfriend hai sab class walo ke hosh udh gaye...
Lekin sana apne best friend ki yaani maryam ka sath de rahi thi...woh zor zor se keh rahi thi ke.."yeh maryam ki zindagi hai uski zindagi uska boyfriend uski marzi...in sab me school walo ko koi haqq nhi ke woh uski zindagi me dakhal andaazi kare".
Yeh sab baatein social teacher ne sun liye aur sana ko last warning di ke woh is tarah ki baatein dubara na kare..
In sab mamulo me hi school ki chutti ho gai..aur sab apna bag pack karke ghar jaane ki taiyaari kar rahe the...aur jab sab school se nikal rahe the sab ki nazar principal ke cabin ki taraf thi lekin kisi ko bhi koi andaza nhi tha ke Kya baatein andar chal rahi thi...
Hoor aur Rushna saara raasta srf maryam ko leke guftugu kar rahe the..utne me hi ghar aagaya aur dono apne ghar ko chale gaye...
Hoor apne kamre me aakar fresh hogayi aur apne homework nikal kar karna shuru kar diya lekin uske dimaaq me sirf maryam hi chal rahi thi....ki koi apne ghar ki Izzat ko chod kar kise aur se mohabbat kaise kar sakti hai woh bhi aise shaks jise uski mulakat kuch hi din pehle hui thi..
YOU ARE READING
Ishaar E Mohabbat
Teen Fictionaankho k waar dil ko zakhm de gaye.. aankho ki khamoshi dil ko awaaz de gayi... jo honth khaali the lafzo se.. unhe alfaaz de gaye... jo samjhte the hum mukammal hai... woh hamein adhoora kar gaye...!!!❤ Yh shayari toh sirf ISHAARA hai kahani ka... ...