P1, Part - 3

12 2 0
                                    

Rahim - nahi mere pass paise the par maine use nahi diye.
Farhan - jab paise the to diye kyu nahi.?
Rahim - maine socha k mujhe mujhe wapas nahi dega... Is liye.
Farhan - socha..?? Aakhir tum paise diye bina hi kaise decide kar sakte ho tumhe nahi lotayega..? Aise to tum uspe Ilzam (Blame) laga rahe ho k Salman ek dhokeBaaz (fraud) hai..
(audience ki taraf face) Yahi waja hai k Aaj insan ek dusre se khauf khata hai. Kyu k use ye sochne ki bimari jo hai. Aur ye bimari aisi hai jiska ilaj karna mushkil hai.

Dosto agar koi humse paiso ki madad mang raha hai to ye na socho k wo wapas dega k nahi kyu k dene wala wo upar hai. Balke hume to ye sochna chahiye k usne hume is qabil samjha.. Hume kisi ki madad karne ka mauqa to mila.
Warna dunia me aise kitne log hai jo har kisi k pass nahi jaate madad mangne.

Insan sabse pehle har baat ko negative me leta hai. For example,

Ek admi hai use bhuk lag rahi hai agar kuch na khaya to mar jayega. Tabhi use ek Samose ki dukan dikhi to wo sochne laga..,
' kahi Mai iska Samosa kha k mar gaya to..??
Zarur usne andar kuch milaya hoga...'

Kyu..?? Aakhir kyu??? Hume to us waqt upar wale ka Shukr ada karna chahiye k usne humari bhook dur karne ka zariya dikhaya. Bhook lagi hai kuch na khaya to aise bhi maro ge to ye kyu sochna kuch milaya hoga..?

Hum isi tarha logo pe Ilzam laga dete hai bas soch k aur hume pata bhi nahi chalta.. Aur logo pr bina waja Ilzam lagana Gunah hai..
Rahim - ha Farhan tu sahi keh raha hai.. Mujhe aisa nahi karna chahiye tha.. Aage Mai iska khayal rakhunga.
Farhan - koi nahi, chalo bahar ghum aate hai.

( 2no bahar Aate hai, tabhi kuch ladke baate karte hue....)

1st boy - ye sawal padh le aayega hi aayega.
2nd - nahi aaya to..?
1st  - Mai keh raha hu na aayega to ayega.
Farhan - tum galti kar rahe ho..
1st  - galti kaisi..??

♥ Touching Dramey Where stories live. Discover now