Shaam bhi ho gayi , dhundla gayien aankhain bhi meri
Bhoolnay waalay , main kab tak tera rasta dekhoon..Toot jaaoan ke pighal jaayen meray kachay gharay
Tujh ko dekhoon ki ye aag ka darya dekhoon..PARVEEN SHAKIR
***************************
Moomal : chapter 6" Rubi tum samajh nahien rahi ho , main jaanta hoon ke mujhay tumhain aitbaar main lenay ke baad shadi karni chaahiye thi , lekin yaqeen maano , meray paas aur koyi raasta nahien tha. Main kisi bhi surat main inkaar nahien kar sakta tha. " Huzaifa ne ek baar phir Rubi ko qaail karna chaaha. Lekin Rubi uski kisi bhi baat pe yaqeen karnay ko tayaar hi nahi thi.
" raastay thay Huzaifa! Agar tum chaahtay to to tum apni cousin ke liye kisi ko bhi dhoond saktay thay , tumhain khud us se shadi karnay ki kya zaroorat thi.!"
" wo meri cousin hai , bachpan se wo meray saath bari huwi hai , main usay kisi ke bhi hawaalay nahien kar sakta tha..!" Rubi ki Moomal ko kisi ke bhi saath baandh denay ki baat Huzaifa ko bohat giraan guzri thi. Jiska izhaar usnay bila jhijhak kar diya.
"Theek hai phir .... ab to tumhari cousin ke liye sub theek ho gaya hai na...? To tum dono khush raho. Mujhay akela chhor do..! " ab ke Rubi ka lehja gussay se karakht ho gaya tha. Itna kehkar wo uthnay lagi.
" Rubi ruko!" Huzaifa ne ek dum se uska haath pakar liya aur usay jaanay se rok liya.
" Huzaifa chhoro mera haath...!" Rubi ne us se apna haath chhuraana chaaha. Lekin Huzaifa ne uska haath aur mazbooti se pakar liya aur khud bhi apni chair se uth kar uskay nazdeek khara ho gaya.
" nahien...! jub tak tum meri baat ka yaqeen nahien kar letin ke maine tumhain koyi dhoka nahien diya , tabtak main tumhain kahien jaanay nahien doonga." uski num aankhain dekhtay huway Huzaifa ne mazboot lehjay main kaha.
Uski ziddi tabiyat se wo bakhoobi waaqif thi , wo jaanti thi ke Huzaifa us se pyar karta hai , lekin kitna...? Ye shayad wo dono nahien jaantay.
Rubi ko khamosh dekh Huzaifa ne ek baar phir narm lehja ikhtyaar kiya. "Rubi , main sirf tumsay pyar karta hoon , Moomal aur meray beech kuchh nahien hai , hum sirf achhay dost hain. Aisa kuchh nahi hai jesa tum samajh rahi ho. "
"To phir he saabit karo Huzaifa!..." Rubi ne uski aankhon main aankhain daaltay huway sakhti se kaha.
Huzaifa ko uska matlab samajh nahien aaya tha. " kya saabit karoon.....?" Usnay na samjhi se poochha.
" saabit karo ke tumharay aur tumhari us cousin ke beech koyi rishta nahi hai." Huzaifa ab bhi samajh nahien paaya tha ke wo konsa saboot chaahti hai. Apni shadi ke doosray din wo uskay saamnay khara us se apnay pyar ka iqraar kar raha hai , kya ye saboot kaafi nahien....?
Rubi ke liye Shayad ye kaafi nahien tha. " mujhse shadi kar saktay ho....?"
Huzaifa beyaqeeni o heraangi se usay dekhnay lagaa. Us se shaadi karay...?
Ye sach hai ke Moomal aur uska rishta sirf kaghaz tak mehdood hai , aur Moomal to usay Rubi se shadi ki ijaazat tak de chuki hai. Lekin.. , itni jaldi...?
Moomal kya sochay gi... Uskay sub ghar waalay...? Un sub se wo kya kahay ga..?
Moomal se shadi se pehlay wo sub se Rubi ke mutalliq koyi zikr tak karnay ki himmat nahien kar paa raha tha ,kyunkay wo jaanta tha ke uskay Dada se lekar uski behn tak , ghar ka koyi bhi fard uskay showbiz ka hissa honay par razaamand nahien tha. Lekin phir Moomal ki wajah se uskay baba ne usay Is ki bhi ijaazat de di.
YOU ARE READING
Moomal , ek La haasil ishq مومل
RomanceRanked1#in halal Ranked 1# in urdu اب اصل اردو میں بھی Kisi larki ki zindagi main sub se ahem din konsa hota hai..? Jub uska nikaah hota hai , jub wo kisi ki dulhan banti hai...aur agar jub uska shohar wo shakhs ho , jo uski pehli aur aakhri mohabba...