Chapter 12

928 60 13
                                    

Vote , vote , vote , vote ,vote , vote ,vote,
Mohabbat ke ilawa paas apne kuhh nahi hai FAIZ
isi dolat ko hum qismat ke maare baant lete hain...!

FAIZ AHMED Faiz

***********

Moomal chapter 12

Apnay baray maamoon ke ghar pohanchte hi Moomal aur Rabia ko unki cousins ne gher liya aur tab se wo unke saath hi thien aur lunch bhi unhon ne saath hi main kiya. abhi wo dono Maham ke kamre main sub larkion ke darmyan bethi , Maham aur baaqi sub cousins ke mayoon ke dresses dekh rahi thien.

"Moomal pata hai jub khala ne Maham se poochha ke wo mayoon main kitne din bethna chaahti hai to is ne kya jawaab diya..?" Razia bhabhi jo Maham ke bare bhaai Ameen ki bewi thien unhon ne Maham ki taraf ishara karte huway usay tease karnay ke andaaz main kaha.

"Kya..." Moomal ne dilchaspi letay huway poochha.

"Maine kaha ke main saat din bethon gi mayoon main , khush..! " Razia bhabhi ke jawab dene se pehle hi Maham ne khud hi bata diya , aur uske chehre par koi sharam bhi nahi thi. Balkay wo khulay dil se muskraa rahi thi.

"Saat din...!? Ye konsa shoq paal liya tumne , wo bhi may ke mahine main , saat din tak garmi main to tumhara tandoor ban jaaye ga.!" Moomal jise shadi ki date ka to pata tha wo Mayoon ki date se be khabar thi , Maham ki farmaaish ka sun kar wo honqon ki tarhaan Maham ko dekhte boli.

" tum itni heraan kyun ho rahi ho..? Konsa maine bahar dhoop main bethna hai.. yahan Ac main bethi hongi , koyi masla nahien hoga , balke socho ye saat din sub kitna maza karen ge. Tum sub ko to moj masti ke liye extra din mil gaye na. Pareshan honey ki to koyi baat hi nahien hai. Tum log to bus mazay karo." Maham ne apna difaah karte huwe unhain tasweer ka doosra rukh dikhaate huwe lalchaaya , jis par ab Moomal bhi kuchh lumhe is mutalliq sochne lagi aur phir uske honton par bhi muskrahat phail gayi.

"Ye bhi sahi hai , wese Mayoon aur Mehndi ka function to saath main hai na..? Ya is main bhi tabdeeli ki hai...?" Is baar Rabia boli.

" nahien ye dono function saath hi hain.."Razia bhabhi ne muskraate huwe bataya. Jis per Moomal ne sukoon ka saans liya.

" wese ye saat din mayoon main bethne ka shoq kyun jaaga.? Aaj kal to sub ek din main hi mayoon ko nibta dete hain aur tum itne din akhya (ek naqaab ki tarhaan ka kapra jo chehre pe baandhte hain) pehen kar bethi raho gi..?" Moomal ne ab bhi heraangi se poochha. Baaqi sub khamoshi se Moomal aur Maham ko sun rahien thien.

"Bachpan main daadi kehti thien ke jub dulhane saat din mayoon main bethti hain to unke chehre chand ki tarhaan chamakte hain , bus tab se meri bhi yehi khuahish thi ke jub bhi meri shadi hogi main bhi saat din mayoon main bethoon gi." Maham ne khush dili se bataya jis per Razia bhabhi aur baaqi sub uspar hansdi jubke Moomal ki muskrahat halki si pheeki par gayi thi.

Kyunke ye khuahish sirf Maham ki hi to nhaien thi. Ye khuahish kabhi Moomal ke maasoom dil ne bhi ki thi.

Lekin jin haalaat main uski shadi huwi , uski har khuahish kahien kho gayi.

"Achha ye chhoro tum batao tum konsa colour pehno gi mayoon main..?" Razia bhabhi ke poochhne par Moomal unki taraf mutwajja ho gayi.
******

Us raat baahar sehan main larkion ne ek bari dari bichha kar gaanay bajaane bethien aur naye puraane saare gaanon ki band bajaa di gayi.

Moomal is sub ke beech apnay ghum bilkul bhool kar Maham ki khushi main khush ho gayi. Wese bhi usay khud se zyada apnay rishton ki khushion ka khayaal zyada hota hai.

Aur doosri taraf Huzaifa tha , aaj din se hi uska mizaaj bigra huwa tha. Pehle to sub usay uski shadi ki mubarak baad detay rahe aur phir usay uski shadi ke baad hone waalay hungaamon se aagah karne lage , aur ye sub sunne ke baad Moomal ke khandaan se uski nafrat main mazeed izaafa ho gaya tha.

Moomal , ek La haasil ishq موملWhere stories live. Discover now