Chapter 14

772 55 30
                                    


Hum yousuf e zamaan thay , abhi kal ki baat hai
Tum hum pe meher'baan thay , abhi kal ki baat hai
Wo din bhi thay , ke hum hi tumhari zabaan pe thay
Mozoo'n e dastaan thay , abhi kal ki baat hai..!

MOHSIN NAQVI

💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕


Moomal Chapter 14

Moomal dharakte dil ke saath usay be yaqeeni se dekh rahi thi , lekin Zain ، Zain wahien khamosh khara uske chehray ko tuktuki baandhay aisay dekhta raha tha , jesay usay dunya bhar ki fursat hasil ho. Jesay wo usay apni nazron main humaisha ke liye qaid kar dena chaahta ho.

Ye sach tha ke jawani main qadam rakhne ke baad se usne kafi larkion se rishte rakhay , kayi aise kaam kiye jo koyi bhi mangetar bardasht na kar sake ,lekin itne saalon main kabhi Moomal ne ek baar bhi us se shikayat nahi ki , shayad uski nazar main unka rishta kisi shikayat ke layak bhi nahien tha.

Aur ye ahsaas Zain ko mazeed in kaamon pe uksaata ke shayad Moomal kabhi to us se lare gi , us pe apna haq jataye gi. Lekin aisa kabhi nahien huwa.

Aur isi liye , Moomal se rishta hone ke bawajood usne kabhi khud ko in cheezon se nahien roka , aur sub ke saamne uski image ayaash aur dil phaink banti gayi , lekin usay baqi sub se koyi farq nahi parta , usay jiski soch se farq parta tha , wo to sire se usay nazar andaz kiye huway thi , jesay wo uski nazar main parta hi na ho. Jesay uski nazar main uski koyi ahmiyat hi na ho.

pehle wo ye sochta tha ke chaahe Moomal use kitna bhi nazar andaz kare , lekin ek na din usay Uska hi hona hai , lekin wo nahien jaanta tha ke ek din Moomal us se chheen li jaaye gi. Agar usay ye maaloom hota to wo kabhi Moomal ko khud se door honay nahien deta.

Jub pehli baar usay ye khabar mili ke Moomal ka nikah Huzaifa se kar diya gaya hai , wo aape se bahar ho gaya tha , usay kuchh samajh nahien aa raha tha , uska dimaag sirf khoon kharaaba chaahta tha , wo usi waqt karachi jaa kar us Huzaifa ka qatal kar dena chaahta tha jis ne us se uski Moomal chhen li thi. Lekin uske Baba ne usay ghar se ek qadam nikalne se bhi rok liya. Lekin uska taish thanda nahien huwa , balke wo uski zid main badal gaya , aur ab wo kisi bhi haalat main Moomal ko Huzaifa se wapas chhen lena chaahta hai , chaahe uske liye usay kuchh bhi karna pare.

kyunke wo janta tha ke Moomal ki Huzaifa se shadi uski apni marzi se nahien par uskay nana ki marzi se huwi hai , jise wo kisi bhi qeemat par qabool nahien kare ga.

Wo har wo koshish kare ga jis se wo Moomal ko dobara se apne naam kar sake.

"Kya huwa Moomal , mujhe is tarhan kyun dekh rahi ho jesay main kuchh dair main tumhara qatal karne waala hoon..." Zain ne bhunwe charhaate huway poochha , lekin uski muskrahat abhi bhi uskay honton par thi , jesay wo usay tease kar raha ho.

Moomal ne khud ko sambhalte huway gehri saans li , lekin uska poora badan ghabrahat ki wajah se sard par chuka tha. "Tum ne jhoot kyun kaha ke chachu ghar par hain...? Mujhe is tarhan rokne ka kya matlab hai. jubke wo tumhi thay jo thori dair pehle mujhay hiqarat ki nazron se dekh rahe thay..?" Moomal saada lehjay main boli , lekin uski aankhain saaf tor par Zain ko mudaiyana tor par dekh rahi thien.

"Moomal... agar meri jagah Huzaifa tumhare saamne khara hota , to kya tab bhi tum us se itna khauf zada hoti , jesa ke abhi ho rahi ho. " Zain ko waqayi Moomal ke is tarhan khuaf zada honay se thais pohnchi thi.

"kya tumhari nazar main main itna gira huwa shakhs hoon jo is moqay ka faida uthaun ga..? Kya bachpan se aaj tak maine kabhi bhi tumhare saath koyi ghalat harkat ki hai.Kya humara rishta itna kamzor hai ke tumhain mujh pe zara sa bhi yaqeen nahien..?." Muskrahat ke saath shuru huwi baat Udas aur qarb zada lehje main khatam huwi thi.

Moomal , ek La haasil ishq موملWhere stories live. Discover now