Toh yeh kahaani hai ek ladke (student) ki jiska naam hai Aarav Sinha ... Jo Class 11th me padta hai. Baat unn dino ki hai jab 10th ka result out hua aur Aarav ne naye school me admission lene ka faisla le liya. Usne St. Peter Higher Secondary School, Lucknow me admission le li. Medical Science me dilchaspi (interest) ke chalte usne Medical stream le li. Yeh jagah Aarav ke liye bahut nayi aur alag thi aur yaha uska koi jaan pehchaan wala yan koi dost bhi nahi tha. Classes shuru hone me abhi 3 din ka waqt tha.
Agar Baat karein Aarav ki toh Aarav khud me hi rehne wala ek ladka tha use logon ke sath jayada ghulna milna pasand nahi tha...yehi wajah thi ki woh jayadatar akela hi rehna pasand karta tha.
Ab Aarav ki classes shuru hone wali thi aur Aarav apna bag set karne laga tha. Kuch hi der baad Aarav school pohunch gaya. School me woh sabse anjaan tha. Tabhie uski mulaqaat hoti hai Pankaj Sabarwal se. Pankaj bhi ek Medical student tha aur sath hi uss school ka NCC commander bhi. Pankaj Aarav ke paas aaya aur usse pucha...
Pankaj: Hey !! Tum yahan naye lag rahe ho pehle kabhie nahi dekha tumhe yaha...new admission??
Aarav: Yah!! My name is Aarav aur maine yaha medical stream me admission li hai.
Pankaj: Tumse milke acha laga waise mera naam Pankaj hai...Waise me yeh batate hue hairaan nahi hounga ki mein medical student hu
Aarav: Waise konsi class hai tumhari??
Pankaj: 11th aur mein jaanta hu ki tumhari bhi 11th hi hai
Aarav: tumhe kaise pata?
Pankaj: Koi jaadu nahi hai isme bas yeh school yan toh 10th se pehle admisiion deta hai yan phir 11th me, 10th ke niche wale student tum lagte nahi aur 12th me tumhe admission milegi nahi toh bacha 11th...
Aarav: Intelligent lagte ho
Pankaj: Waise koi nayi baat nahi hai humari society ki nazar me medical wale kuch jayada hi advance hote hain par mujhe aamtaur pe koi intelligent kehta nahi... Pata nahi logo ko NCC commander se itni kya dikkat hai...
Aarav: Tum NCC commander ho???
Pankaj: han!! iski bhi lambhi kahani hai kher tum jante nahi yaha ke rules thode se strict hain aur class me late pohunchne walo ko achi khaasi punishment milti hai aur mein janta hu ki tum pehle hi din class me late nahi jaana chahoge.
Aarav: Han bilkul... toh chalein phir
Pankaj: Kyun nahi...chalo.....//
Aur Aarav aur Pankaj apni class ki taraf nikal jaate hain...Class me pohunchte hi Pankaj Aarav ko apne doston se milwata hai...
Pankaj: Aao Aarav... Yeh hai apni gang Ronit, Shubam, aur Paramveer
Aarav: Heyy!! Waise Paramveer naam mujhe pasand aaya... toh Paramveer tum Punjab yan Chandigarh se??
Paramveer: na Punjab na Chandigarh ..me Meerut se hu...par tumne aisa kyun pucha
Aarav: Nai naam sunke mujhe laga ki shayad Punjabi ho...Par personality ke vipreet naam rakha hai tumne apna...
Paramveer: Mere bas me hota toh mein apna naam Robert Downey hi rakh leta but kya karein humne yeh haqq apne maa-baap ko de diya
Ronit: Acha chalo ab sab apni apni seats sambhaal lo Aashutosh sir aate hi honge.
Aarav: kon Aashutosh sir?
Shubam: Chemistry teacher hain...bhut strict hain...
Pankaj: Han chemistry shod ke baaki kuch bhi puch le sab bata denge tujhe...
Sabhie hansi mazak karne lagte hain aur aaise hi school ki chutti ho jaati hai....
Toh aisa raha Aarav ka aaj ka school ka din ...par Aarav iss baat se ajaan tha ki uski zindagi mein ek alag mod aane wala hai jiska naam hai Mehak Aggarwal.
(To Be Continued)
आप पढ़ रहे हैं
FIRST TRAGEDY
Short Story'FIRST TRAGEDY' is a story of a High School Guy who fell in love with a girl of his class. He was always a bit confused if he's in love or it's just his attraction towards her. Find out in the story for more.