MEETING

12 1 0
                                    


/Toh bhaisaab ab tak ki kahaani yeh rahi ki Aarav ne Pankaj ko mana liya iss baat ke liye ki woh biology ke notes jo Mehak ne mangwaye the woh usse de de aur khud apne NCC practice session mein chala jaaye taaki uski baat bann jaye aur woh Mehak se baat-cheet shuru kar paaye. Yaha tak toh theek tha. Ab raat se baadal hatte aur ek khusnumha subha hui. Aarav taiyaar hokar school ke liye nikal pada. 

School pohuncha toh usse Pankaj dikha aur usne Pankaj se notes le liye.

Pankaj: Bhai dekh notes toh meine de diye par tu yeh inn sab cheezon me jayada involve mat ho jaana apne academics pe bhi dhyaan dena hai hume...theek hai!

Aarav: Theek hai bhai mein samaj gaya acha ab tu jaa yaha se kahin Mehak aa gayi aur usne tujhe dekh liya toh saare kiye karaaye pe paani phir jaayega.

Pankaj: Ok bye....baad mein milte hain phir

Itna kehkar Pankaj waha se nikal gaya apne NCC session ke liye. Ab dost ke liye classes mein naa jaana aur NCC session karte rehna. Pankaj apni dosti toh nibha raha tha saath hi usse yeh bhi darr tha ki kahin Aarav inn sab cheezon mein hi na kho jaaye jiska uspar aur sath hi uske academics par fark pade.

Par Aarav ko kaha yeh  baat itni jaldi samaj aane wali thi, woh toh bas apni hi ek alag duniya mein tha, Abb usse kaun bataye ki iss kachhi umar mein ishq, pyaar, mohabbat jaise shabd kitna bada bawaal macha sakte hain.

Class ka waqt hone chala students class mein jaane lage, tabhi unhe bataya jaata hai ki Biology ki teacher School camp ke baare me students ko kuch batana chahti hain aur sabhi students camp ke baare mein jaanne ke liye chale jaate hain sivaaye Aarav aur Mehak ke. Aarav aur Mehak abhi bhi class mein hi hote hain, aur Aarav iss intezaar mein ki ab Mehak usse Pankaj aur notes ke baare mein puchegi aur unki baat-cheet shuru ho jaayegi. Mehak Aarav ke paas aati hai aur Aarav se puchti hai...

Mehak: hii, aap Pankaj ke friend ho na toh kya aaj Pankaj nahi aaya mujhe usse notes lene the

Aarav jo chahta tha waisa ho raha tha par humare Aarav sahab thode ghabraa rahe the aur unki haalat kharaab hone lagi thi, aur sochne lage ki ab baat kaise karu, tabhi Aarav Mehak ke sawaal ka jawaab deta hua kehta hai....

Aarav: aaa, woh Pankaj toh aaj aaya nahi lekin usne notes mereko de diye the aur kaha tha ki agar aap maango toh aapko de du

Aarav apne bag se notes nikaal kar Mehak ko de deta hai

Mehak: thank you, maine new admission li hai isiliye yeh notes mere liye bahut important hain. Pankaj ko bhi thanks keh dena meri taraf se

Aarav: Mein keh dunga, main bhi new admission hi hu kuch ki dino pehle admission li hai maine bhi.

Mehak: Toh aapko adjust karne mein difficulty nahi ho rahi, waise bhi mein suna hai admission se pehle yaha classes lagi thi students ki toh ab unke notes woh syllabus yeh sab manage kaise kar rahe ho aap

Aarav: han woh toh hai par uski itni problem nahi hai, Pankaj ne sab notes banaye hain mein usse le lunga, agar aapko bhi koi aur notes ki zaroorat ho toh main Pankaj ko keh dunga woh notes de dega.

Mehak: Thanks, mere chahiye honge toh mein pakka bol dungi

Aarav: Waise aapko school ka environment theek toh lag raha hai na.

Mehak: han school ka maahol toh acha hai bas mein yahan jaanti kisi ko nahi toh isiliye adjust hone mein time toh lagega hi.

Aarav: koi baat ni, adjust ho jayoge aap...waise bhi ab aap mujhe aur Pankaj ko toh jaan hi gayi ho toh baaki aage bhi adjust kar hi loge.

Mehak: Mujhe bhi yehi lag raha hai.

Bas itna keh kar dono chal diye apne apne raaste, Aakhir aaj woh din aa hi gaya jab Aarav aur Mehak ki baat cheet shuru ho gayi. Ab Aarav ko toh yehi lag raha tha ki aage sab acha hone wala hai par kya pata aage chalkar yeh kahaani kya mod lene wali thi !!!

Ab classes shuru ho gayi ek-ke-baad-ek aur Aarav bhi apne hi khayaalon mein khoya tha ki ab usse Mehak se baat karni hai aur Mehak ki good books mein aana hai.

Ab kisi se dosti badhaane ka ek bada hi mangal avsar hota hai jise hum pyaar se kehte hain Friendship Day. Toh ab kal hai Friendship Day aur Aarav ko intezaar hai kal ka aur ho bhi kyun na aakhir iss din bahuton se sapne pure ho jaate hain aur kaafi log niraash bhi ho jaate hain. Ab humare Aarav ke saath kya hota hai woh toh aapko pata chal hi jaayega. Tab tak sochiye ki aage kya hota hai //

                                                           (To Be Continued)


FIRST TRAGEDYजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें