...Toh ab tak aapne padha ki Aarav ka pehla din school me kaisa gaya. Aarav behad khush tha ki uska pehla din school me acha gaya aur usne kuch naye dost bhi bana liye. Ab Aarav ko school jaane ki kaafi utsukhta (excitement) hone lagi. Lekin yeh utsukhta ab aur bhi badne wali thi kyunki Aarav ke saath hone wala tha kuch alag aur badiya.//
Aarav school pohunch chuka tha aur class me baitha hua tha. Ki tabhie uski nazar ek ladki pe padti hai, Aarav kuch der tak usse dekhta rehta hai phir baad me apne doston se baat karne lag jaata hai. Aapko bata dein ki Aarav ki tarah hi uss ladki ne bhi waha Class 11th mein new admission li hoti hai aur uss ladki ka naam hai Mehak Aggarwal. Mehak dekhne me decent si ek achi ladki thi jo ki padne mein kaafi achi thi aur Medical ki padhai karne ke liye aayi thi. Lekin humare Aarav itni jaldi kaha ladki ke chakkar mein padne wale the...Aarav ne usse ignore kiya aur apne doston se baatein karne laga aur itni hi der mein Chemistry ki class bhi shuru ho gayi aur Chemistry teacher Aashutosh sir bhi class me aa pohuche... Ab Aashutosh sir waise the toh theek thaak teacher lekin unhe chemistry se jayada logon ki history me utsukhta rehti thi. Aashutosh sir ne attendence lene ke baad bacho (students) se pucha ki...
Aashutosh sir: Kya baat hai mujhe kaafi saare naye chehre dekhne koi mil rahe hain...toh aap mein se kuch new admissions bhi hain. Toh uthao woh bache jo iss saal yaha aaye hain
Sir ke kehne par new admission wale bacho ne hath khade kar diye. Phir kya tha Sir ne Aarav ki taraf ishara kiya aur bola...
Aashutosh sir: Han tum stand-up! Kya naam hai aapka bete?
Aarav: Sir Aarav Sinha
Aashutosh sir: Kitne marks the aapke board mein?
Aarav: Sir 82%
Aashutosh sir: 82% toh theek thak hain par Science student ho toh mehnat karni padegi aage warna itna competition hai kaise thik (survive) paaoge.
Aarav: Ji Sir.
Aashutosh sir: Hmm theek hai baith jao. Aur kiski new admission hai?
Aashutosh sir iss baar Mehak ko dekhte hain aur kehte hain...
Aashutosh sir: Han bete aap, aap khade ho jayiye. Kya naam hai aapka
Mehak: Sir Mehak Aggarwal
Aashutosh sir: Kitne marks the bete aapke boards mein?
Mehak: Sir 94%
Aashutosh sir: Very good... Aur bataiye bete papa kya karte hain aapke?
Mehak: Sir woh Doctor hain
Aashutosh sir: Toh bete aap bhi doctor banna chahte ho?
Mehak: Yes sir
Aashutosh sir: Very good bete...baith jayiye.
Toh ab Aarav ne ladki ka naam sunn toh liya tha magar khair usne itna dhyaan na dete hue apna kaam karna shuru kar diya. Libraray mein baithe hue Aarav ne Pankaj se pucha...
Aarav: Yaar woh kitni decent hai na.
Pankaj: kon???
Aarav: Woh kya naam hai uska...haan...Mehak
Pankaj: Acha tujhe kaise pata ki woh decent hai yan nahi?
Aarav: Tune dekha nahi... Kitni shant kitni alag thi woh
Pankaj: Han woh isiliye kyunki school me jab pehla din hota hai toh sab shant aur alag hi hote hain
Aarav: Nai yaar usme kuch baat alag thi
Pankaj: Dekh hum Medical students hai aur kisi se bhi itni attachment achi nahi
Aarav: Attachment?? mein kaha kisise attach ho raha hu
Pankaj: Han toh phir uss ladki ki itni baatein kyun kar raha hai
Aarav: Arrey nai yaar mein toh bas aise hi.
Aarav ne keh toh diya tha aise hi magar iss baat se ab woh aur kitni der inkaar karta ki ab usse Mehak pasand aane lagi thi. School ki chutti hui. Ab Aarav ko intezaar rehta tha school jane ka taaki woh Mehak ko nihaar sake lekin Aarav aur uske sapne ke beech thi dewaar jiska naam tha Sunday. Ab kal hai sunday toh ab Aarav ko ek din aur intezaar karna hoga Mehak ko dekhne ke liye. Jaise Jaise waqt aage bad raha tha Aarav ki bechaini aur badne lagi thi. Ab school jaana Aarav ko acha lagne laga tha ...Woh kehte hain na ki jo aapko pasand ho toh uske liye school jaana bhi aapko acha lagne lagta hai... Ab neend ke pyaare Aarav ko neend bhi na aaye bas ab woh usi intezaar mein tha ki kab subha ho aur woh school jaaye... Samay (time) hota gaya aur subha ho gayi aur humare Aarav ji aaj kuch jayada hi jaldi uth gaye the school jaane ke liye. Yeh hona bahut aam baat hai kabhie dekhiyega jab aapko koi dil se pasand aane lagega toh aapke sath bhi yehi sab hoga... Par yaha Aarav nikal chuka tha school ke liye aur aaj ek alag ki khushi nazar aa rahi thi Aarav ke chehre par.
Aarav school toh pohunch gaya par kuch jayada hi jaldi pohunch gaya school me uske siva aur koi bhi nahi tha...Aarav jaake class mein baith jaata aur man mein muskurane lagta hai. Ab woh iss soch mein tha ki aakhir Mehak se baat shuru kaise kare kyunki pehle kabhie kisi ladki se baat karne mein woh itna nahi gabraya.
Aarav baitha hi hua tha ki tabhi class mein aati hai Mehak. Aarav ko toh maano yaakein hi nahi hua par ab kare bhi toh kya...usne socha tak nahi tha ki Mehak itni jaldi school aa jayegi.
Mehak class mein aayi aur usne apna bag desk pe rakha aur baith gayi.
Aarav ke dil ki dhadkanein ab itni tez ho gayi thi ki woh khud bhi unhe sunn skta tha. Aarav ko kuch sujh nahi raha tha ki ab woh kya kare...
Ab dekhiye na Aarav bhi wahi aur Mehak bhi, Mehak kuch kahegi nahi aur Aarav ko kuch samaj nahi aa raha ki woh kya kahe. Ab aisi situations mein humesha dost hi kaam aate hain toh kya iss case mein bhi kuch waisa hi hoga... Kaise hogi Aarav ki baat shuru Mehak ke sath. Kaise shuru hoga in dono ka chapter yeh janiyega Chapter 3 yaani Part:3 mein... Tab tak ke liye kijiye relate apni kahaani se...
(To Be Continued)
आप पढ़ रहे हैं
FIRST TRAGEDY
Short Story'FIRST TRAGEDY' is a story of a High School Guy who fell in love with a girl of his class. He was always a bit confused if he's in love or it's just his attraction towards her. Find out in the story for more.